Pal jo beet gaye

575 61 47
                                    

Din bit-te gaye,
Saal naye aate hain
Hum naye logo se milte gaye,
Kuch se toh hum bichadte bhi gaye.

Wo din aa gaya tha ab,
School ka aakhri din
Sunne mein shabd bohot chota hain shayad
Par uss din pata chalta hain
Zindagi mein sab kuch humesha saath nahin rehta.

Aansu ki dhaar beh rahi thi
Uss din
Kehte hain, ladkiyaan zyada roti hain
Par uss din koi fark na dikha meri aankhon ko.

Bas dikha toh, kisi ko khone ka dar
Jo sabki aankhon mein jhalak raha tha
Aansoo aankhon se beh Rahe the,
Aur dil ro raha tha.

Pal jo beet gaye,
Pal jo chut Gaye
Wo kabhi wapis nahin aate
Ek padhe hue panne ki tarah reh jaate hain.

Doston, padhai, teacher ki daant se badhkar
Zindagi mein kuch aur aa gaya,
Zindagi itni asaan aur ek hi cheez tak simit nahin
Ye samjh aa gaya.

Ek Afsana (✓)Where stories live. Discover now