Nadaan dil

769 68 56
                                    

Dil naadan hota hain,
Aur dimag samjhdaar
Dimaag par waar ho toh,
Dil ho jata hain bekaraar.

Din toh roz jaisa hi chal raha tha,
School mein padhai hui
Thodi dosto se ladai hui
Aur fir din bas bit-ta gaya.

Apne school bus ke paas
Main Jaa rahi thi
Ek awaaz suni thodi jaani pehchani si
Sahi shabd hoga shayad- ruhaani si

Yun toh woh mujhse baat zyada karta nahin tha,
Wajah bhi honi chaiye na baat karne ki
Koi vaar-talaab karne ki.

Bin wajah toh wo mere paas aayega nahin,
Maine usse wajah puchi,
Mujhe yun rokne ki
Koi wajah toh hogi na mujhe yun tokne ki.

Wajah usne batayi ki-
Usse mera phone number chaiye
Ye baat sun kar
Mera naadan dil khushi se uchal pada.

Par asal baat ye thi-
Usse class group mein add karne ke liye mera number chaiye tha
Wajah jo bhi ho usse mera aur mera usse us din number zarur mil gaya.

Aur mera nadaan dil "had se zyada, khush bhi nahin hona chahiye har baat par" ye samjh gaya!

Ek Afsana (✓)Where stories live. Discover now