It's T and J time!

506 36 14
                                    

Reema-Yeh log dekh kya rhe hai?
Anokhi-Mission impossible dekhte waqt itna kaun hasta hai.
Reema-Hume toh bahar kar diya?
Anokhi-Haan naa. Chal dekhte hai.
They go and check the guys were watching Tom and Jerry. (Hence the title)
Anokhi-Tum log yeh dekhe rhe the?
Shaurya-Haan so?
Anokhi-Waah.
Yash-Don bhi Tom and Jerry dekhta tha usme weird kya hai?
Shaurya-Tu aur tere references Yash.
Pata hai Queen Elizabeth bhi dekhti hai aur Elon Musk ko bhi pasand hai.
Yash-Sach bhai?
Shaurya-Aur nhi toh kya?
He winks at Yash when Anokhi and Reema were seeing something else.
Reema-Tom and Jerry dekhne ke liye queen ka approval chahiye tum logon ko toh kya karte ho shopping ke waqt.
Royal tailor aake tumhare kapde silvake jata hai?
Shaurya-Arre mein toh bas reference de rha hoon.
(Btw I love don ok)
Anokhi-Literature review nhi hai ki hath mein reference thama do.
Shaurya-Thorough hona chahiye.
Anokhi-Achaa Mr.Thorough aapne kal mujhe sociology ke uss chapter mein "-----" topic nhi padhaya.
Shaurya-Arre woh topic padha dunga.
Anokhi-But bhul toh gaye.
Shaurya-Insaan hi hoon. Kabhi professor mode se boyfriend mein chala jata hoon.
Anokhi-Bahana hai aap sociology mein utne acche nhi ho.
Shaurya-Achaa tumhe bhi pata hai topper tha mein.
Anokhi-Haan magar sociology ke toh nhi.
Shaurya-Magar top 10 mein toh tha naa mein.
Anokhi-Mujhe kaise pata hoga.
Shaurya-Toh pata nhi hai toh bolo mat. I mean bol sakti ho kuch bhi pyar se. Log kehte hai ruthi ladkiyan cute lagti hai. Magar meri Anokhi toh sirf haste hue acchi lagti hai. Bas.
Anokhi-Achaa. Magar aap woh topic kara doge naa parson test hai isliye.
Shaurya-Haan meri responsibility hai. Pakka itna stress mat lo test ka. Ab dekhe Tom and Jerry.
Anokhi-Hmm.
Shaurya-Toh aao mere paas baitho.
Ahir-Hum bhi hai Shaurya. Tum itna pyar jata rhe the. Anokhi aayi nhi fisal gye.
Shaurya-Arre fisla nhi hoon. Uske kadmon nishaan pe bicha hua hoon. Uski chaav mein bikhra hoon hua hoon. Uske.
Ahir-Oh shayar ji bas.
Shaurya-Tumna, romance ka itna acha moment ban rha tha aur.
Ahir-Aur maine tod diya. Kyunki ab yeh episode jaldi khatam karna hai. Waise bhi neend aa rhi hai bohot.
Shaurya-Toh so jao naa. You need to rest. Chalo lait jao.
Ahir-Abhi bachon ke jaise sulaoge.
Shaurya-Attention doon toh problem nhi doon toh problem. Kya chahte ho.
Ahir-Arre. Attention ki bas adat nhi. Kabhi kabhi samjh nhi aata aur kabhi kabhi bohot accha lagta hai. Mere kabhi ache dost nhi bane. Life ki baki cheezon mein busy tha. Maa ka dhyan rakhne mein. Aur phir maa chal basi
toh kaam mein.
Shaurya-Aunty ki wishes hai tumhare sath Ahir.
Reema-Haan ussine tumhe bacha liya mere liye.
Reema gets emotional.
Reema-Ahir aunty door nhi hai. Unki memories hai unka pyar hai tumhare sath. Aur tum akele nhi ho hum sab hai.
Ahir-Haan woh toh hai. Aisa laga last kuch dino mein jaise tum sab mere sath hospital mein the ki maa ne bheja hai tumhe mera dhyaan rakhne ke liye. I know meri baatein thodisi emo hai. Magar bas laga aise. Thank you.
Yash-Arre bilkul thank you nhi. Ab rest karo. Aur tumhe itna attention denge tumhe aadat pad jayegi. Ab so jao.
Ahir-Tum dono ka test hai naa parson padhlo uske liye. Mere wajah se saare classes nhi kar paye tum.
Shaurya-Fikar not mein aur Yash yahan chipke rahenge.
Reema-Ahir kuch bhi chahiye bula dena.
Shaurya-Haan jaan.
Shaurya-Tum bhi usse jaan bulate ho?
Ahir-Haan.
Shaurya-Coincidence. Ab koi baatein nhi bas rest.
He helps him lie down. Places his arm on the pillow.
Shaurya-Theekh hai naa?
Ahir-Haan. Ab tum dono mere do taraf baithke aise ghurte rahoge.
Shaurya-Haan toh kya hai? Bachpan mein jab Yash beemar hota tab bhi aisi baitha rehta tha. Usko toh problem nhi hui.
Ahir-Bachpan mein alag hai phir bhi Yash tu mahan hai. Professor sab ke stares tab bhi Khatarnak the kya?
Yash-Arre nhi. Shaurya bhaiya apne books ke duniya mein hi rehte.
Ahir-Jaise Anokhi?
Yash-Haan magar ab toh ek ki kitaab mein khoye hai ek Anokhi  kitab mein .
Shaurya-Hmmmm. Duniya ki kitni kitabein padh lo. Pyar ki kitab woh toh best hai naa.
Yash-So toh hai. Magar ab no kitabein. So jao. Hum yahan wahan dekhenge theekh hai.
Both start staring here there on purpose and act is too bad.
Ahir-Ajeeb lag rhe ho tum. Theekh se act karo warna mat karo.
Shaurya-Ok
Ahir-Pagal ho tum dono. Professor saab bas zyada.
Shaurya-Ssshhh. Baat samjh nhi aati aankhen band. He puts his hand on Ahir's eyes.
Ahir-Waah bacha nhi hoon aise neend aa jayegi.
Shaurya-Just shut up and sleep.
Ahir-Ok sir!
He goes to sleep.....

Leave comments as to how you found this chapter.

Dating DiariesWhere stories live. Discover now