Reopening

348 36 13
                                    

Babli-Anokhi tu kaisi hai? Raja wali baat ne tujhe disturb kia hoga naa.

Anokhi-Di ab kya hi kahun. Kya umeed kar sakte hai aise insaan se. Koi umeed nhi hai.

Babli-Anokhi aur papaji?

Anokhi-Unse bhi kuch umeed nhi hai.

Babli-Nikki tu ro mat ab.

Anokhi-Di tu bhi toh ro rhi hai naa.

Babli-Toh kya karun. Humare papa ne mujhe support nhi kia. But tujhe bhi support nhi kia. Itne din ho gye but fir bhi kabhi unhone Hume call kia kya?

Anokhi-Di. Sun ek baat hai. Papaji ko dekha tha maine.

Babli-Kya! Aur yeh baat tune kyu nhi batayi kisiko.

Anokhi-Di Papaji aaye the aur woh chale gye honge.

Babli-Yeh kab hua?

Anokhi-Kal.

Babli-What?

Babli-Aur yeh baat tu ne kisse nhi kahin? Agar woh tujhe yahan se le jane aaye toh?

Anokhi-Nhi karenge di.

Babli-Tujhe kaise pata.

Anokhi-Khud bola unhone ki agar mein unke sath nhi aayi toh woh kabhi uss ghar mein mujhe jaane nhi denge. Mumma se bhi Milne nhi denge.

Babli-Aur tune?

Anokhi-Mumma kabhi nhi chahegi di. Agar mein wapas chali jati toh mumma ke sacrifices ka kya? Waste ho jata sab. Di mujhe bohot guilty feel ho rha hai. Di maine galat kia kya? Mumma hume kitna miss karti hogi naa?

Babli-Haan Nikki but tune bola naa we can't waste her sacrifices.

Anokhi-Di jisne humare liye yeh sacrifices kiye uska kya? Hum unhe bhagake nhi laa sakte?

Babli-Tujhe lagta hai mumma manegi?

Anokhi-Di Teri naukri hai you can support her. Woh tere sath reh sakti hai. Soch naa di.

Babli-Haan yaar. Mumma sath mein hoti toh kitna achaa hota.

Anokhi-So?

Babli-But mumma ko layenge kaise.

Anokhi-Divorce papers sign karwana padega papaji se.

Babli-Nikki dekh hume inn sab mein bolna chahiye? I mean mumma agar dur hona chahe I will support it but agar mumma nhi hona chahe toh hum unhe convince karne ka try karenge but force nhi karenge.

Anokhi-Dekhte hai di.

Shaurya-Kya planning chal rhi yahan? Do behno ke beech.

Anokhi-Shaurya mujhe bhagana hai!

Shaurya-Kisko?

Anokhi-Apni mumma ko.

Shaurya-What! Like tumhe apni mumma ko bhagana hai? Waise kiske sath bhagana hai? Ladka kaun hai? Pehle mein verify karunga ladka tumhare mom ke liye sahi hai yaa nhi phir bhagayenge.

Anokhi-Shaurya!

Babli-Shaurya ji!

Anokhi-Koi ladka nhi hai. Bas papaji ke uss ghar se nikalna hai.

Shaurya-Ok not a problem. Shaurya bhi hazir hai. So what's the plan.

Anokhi-Pehle mumma ko convince karna padega.

Babli-Toh kaise hoga yeh sab?

Anokhi-Video call. Uske eliva koi option hai?

Shaurya-Achaa. Woh apne damad ki baat nhi talengi. Leave it to me.

Anokhi gives a look.

Shaurya-Waise unhe damad ke baare mein pata toh hai naa? No way. You didn't tell her?

Anokhi-Shaurya itna simple nhi hai. Papaji ki nazar humesha rehti hai. Meri baat kitne Kam baar hoti hai tumhe pata hai. Upar se Raja bhaiya Ghar pe pade rehte hai. Papa ki aankhen hai woh ghar pe. Upar se kaise mein mom ko kahoon haan?

Shaurya-Hhhmmm.

Anokhi-Tum Dil chota mat karo. Iss baar bata denge aur milva bhi denge. Theekh hai? Ab khush? Ab focus karo.
Divorce ke papers arrange karne honge. Di tu number dhoondh. Lawyer ka.

Babli-Haan mein ek accha lawyer karvati hoon.

Shaurya-You know mere mind me ek accha lawyer hai. Mera dost hai. He is a big shot lawyer. Woh help kar sakta hai?

Anokhi-Arre you mean Sabbarwals ka legal advisor se? Hum unko involve nhi kar sakte. Sabko pata chal jayega and then?

Shaurya-Anokhi ab woh waise nhi hai. Badi maa toh mujhse zyada tumse pyaar karti hai. Uss din jab mein apna phone neeche chodke kamre mein aa gya tha aur tumhare calls aa rhe the. Badi maa ne mujhe danta ki mein apna phone kaise yahan wahan chod sakta hoon. Aur tumhara important call kaise miss kar sakta hoon. Ab Saturday raat ko tumhara favourites mein se hi kuch Banta hai. So abhi Sabbarwals 2.0  ko humare iss cheez se koi problem nhi hogi.

Anokhi-Fir bhi Shaurya. Sab ko kheechna zaroori hai?

Shaurya-Achaa. But Anuj mera doosra dost hai. Woh bhi achaa lawyer hai. In fact usne last month pehle bhi koi aisa hi case handle kia tha. So.... 

Anokhi-Ok. Done. Ek problem toh solve ho gyi. Ab bhagna kab hai?

Babli-Arre Anokhi Holi pe bhaga ke laye. Dono bhang ke nashe mein honge.

Shaurya-Holi? Last year bhi nhi mana paya. Pata nhi Anokhi kab rang lagayegi mujhe.

Anokhi-Achaa! Red,Lavendar, Flesh teen rang laga chuki hoon. Uska kaun hisab lagayega.

Babli-Anokhi! Tu naa! Shaurya Sabbarwal meri Nikki ko kuch zyada hi bold nhi kar dia aapne?

Shaurya-Arre woh toh pehle se thi but express karne ke liye sahi banda nhi tha.

Babli-Aap naa!

Shaurya-Mein naa bada hi charming hoon. Pata hai!

Babli-Bade hi teenager types ho! Kaun kahega ki yeh.....

Shaurya-What do you mean?

Babli-Kuch nhi.

Shaurya-Babli tum naa kadar nhi karti hot, intelligent bando ki.

Babli-Shaurya ji zameen pe aayiye aur lawyer ko call kariye. Mein aur Nikki maa ko kaise tackle kare sochte hai.

Shaurya-Ok saali!

Anokhi-Shaurya mafi mango.

Shaurya-Arre saali ko saali nhi kahunga toh kya kahun.

Anokhi-Di nhi bula sakte!

Shaurya-Achaa di aapki agya manunga. Khush?

Anokhi-Hhmmm.

Shaurya leaves.

Anokhi-Di I hope sab theekh jaye.

Babli-Hhhmmm. Nikki. Mumma ne bohot dukh dekha hai ab woh khushi dekhen.

I know took a long break from this story because I wasn't sure about the direction to take. But here it is finally! I am going to give some regular updates on this as this book is going to close soon hopefully...... Please do comment. Yeh thodasa boring chapter hai but you know something more fun is going to come up soon-Like how they help Rama escape from the marriage.........

Dating DiariesWhere stories live. Discover now