Dilwale utha laye!

343 41 22
                                    

Ramesh-Toh tu mujhe talak degi? Aur jayegi kahan tu. Iss baar toh yeh bhi nhi keh sakta betiyan tujhse seekhi hai. Tu unse seekh aayi. Pehli woh Anokhi. Fir woh Babli. Ab yahi baki reh gya tha. Dono ki dono besharam hai. Woh Babli usne Vineet jaise ladke ko divorce dia. Anokhi shadi chodke bhag gyi. Kahin nahi choda hume. Dono ki dono besharam, namak haram ladkiyan hai.

Rama-Bas Bhalla ji. Dono acchi ladkiyan hai. Dono aapka naam roshan karna chahti hai par aapko toh sirf dikhta hai samaj!

Ramesh-Waah! Ab tu bhi uss beti ke naam pe kalank Nikki ki tarah baat karne lagi hai!

Anokhi overhears this. She gets teary eyed.

Rama-Nhi. Woh iss duniya ki sabse pyari beti hai. Koi aur hota toh palat kar iss jagah aur apni maa ke baare mein sochta bhi nhi. But meri Nikki ko mein yaad hoon. Woh toh pari hai meri.

Anokhi-Maa!

She goes and hugs her mom.

Ramesh-Tum dono nikal gye! But Rama ko maine nhi jane doonga. Kabhi nhi dunga talak usse.

Babli-Nhi doge toh domestic violence a case kar denge.

Ramesh-Achaa?

Babli-Haan court ke chakar katte rho fir aur aakhir mein jail. Soch lijiye aap. Divorce dekar jaane dijiye inhe.
Pyaar nhi karte naa aap inse. Toh Jane dijiye.

Ramesh-Iss liye thodi rakha hai. Ghar ka kaam nikalvane ke liye rakha hai.

Ahir-Thanks uncle ji. Ab yeh recording court mein kaam aayega.

Ramesh-Tum kaun ho inn baton mein bolne wale? Oh Anokhi ne aashiq pal rakha hai.

Shaurya-Excuse me. Mein hoon uska aashiq. Anokhi ke kuch standards hai yaar.

Ramesh-Dekha Rama yeh sba karne gyi thi Nikki. Padhai karne nhi.

Shaurya-Excuse me! Uska character certificate banane ka hak nhi hai aapko.

Ramesh-Aur tujhe bhi nhi kuch bolne ka hak. Awaragardi kisi aur ke sath Jake kar. Ab toh Anokhi tumhari khair nhi. Anokhi tu andar chal. Bohot hua.

Anokhi-Nhi aane wali. Bohot khush hoon mein. Sirf mumma ko lene aayi hoon.

Ramesh-Haan woh toh hogi hi ladko se fursat kahan. Kaise fasaya hai tune isse ki yahan tak aa gya hai tere peeche. Aisa kya kar diya tune iske liye! Aur yeh bhi nalayak hi hoga. Iss ghar walon ne iski parwarish nhi ki hogi jaise hum teri nhi kar paye.

Anokhi-Ek second! Shaurya ke baare mein kuch kehna ka hak kisne diya. Woh iss duniya ka best insaan hai. Aur hum dono ek doosre se bohot pyaar karte hai.

Ramesh-Do-teen ka hi hota hai yeh sab. Fir tu rote hue yahan aayegi.

Anokhi-Nhi yeh mera soul mate hai. Matlab ek insaan jiske sath mein saari life hoon aur jo mere sath saari life khada rahega. But yeh sab baatein able samjh ke bahar hai. Mumma aap chalo. Saman lete hai aapka.

Shaurya looks at Anokhi. The way she expressed her love for him made him a bit emotional.

Ahir-Uncle ji side hatiye. Inhe saman lene dijiye.

Ramesh-Nhi jaane doonga usse.

Ahir-Achaa aashiq se toh aapka intro ho gya but ab thoda police wale se bhi kar lo. Mein hoon Acp Ahir. Abhi hato yahan se warna aapko arrest karke le jana hoga mujhe.

Ramesh-Kis jurm mein?

Ahir-Arre wahi domestic violence.

Ramesh-Kya?

Dating DiariesWhere stories live. Discover now