This chapter is written on the behalf of our Rakesh sir who poured his heart out to his beloved wife, Rama, in the form of this Diary Entry.
RAMA,
Kaisi ho tum? Samajh nahi aaraha ki kaise suru karun. Khair, aaj ki baat se hi suru karte hain. Rama, Tumhe toh yaad hi hoga ki aaj mera janamdin hai. Yaad hai tumhe; hum donon mere iss khaas din ko kaise manaya karte the? Humlog subah subah mandir jaate the, bhagwaan ke saamne maatha tekte the aur tum... mere liye poore duniya ki khusiyan maang leti thi. Aaj ka din bas isi wajah se khaas hota tha mere liye kyunki tum mere paas hoti thi.
Aaj bohot zyada man horaha tha tumse baat karneka. 21 saalon mein pehli baar tumhare jaane ke baad, tum itna yaad aarahi ho mujhe. Aur wajah wahi hai.... aaj ka din. Tum soch rahi hogi na ki 21 saalon mein aaj asia kya badal gaya ki mujhe tum itna yaad aarahi ho. Aaj din bhar mere chehre se muskaan kam hi nahi ho rahi. Aur uski wajah hai tumhari beti. Haan Rama, tumhari beti aur damad ne aaj mujhe janamdin ki surprise party di. Aur party hi nahi, unhone mujhe gift mein pata hai kya diya? Ek car. Aaj usi beti ne mere iss din ko khaas bana diya jiske janamdin ko main aaj tak manhoos kehta raha.
Rama, main jaanta hun ki tum mujhe kabhi maaf nahi kar paaogi. Maaf karogi bhi kaise? Jis tarah se main aaj tak Naina ke saath pesh aya hun, aisa toh koi bhi baap apni beti ke saath nahi karta hoga. Tum jaanti ho Rama; tumhare jaane ke baad main bilkul akela pad gaya tha. Hum donon ne humesha se ek sukhi parivaar ka sapna dekha tha, jahan tum, main, Arjun aur humari pyaari si gudiya ho. Par uss sapne ke saath tum mujhe iss duniya mein akele chhod ke ek din.... bas chali gayi. Mujhe aaj bhi yaad hai, tum kaha karti thi ki humari beti ek pari ki tarah hogi, wo pari jo hum sabke jeevan mein dheron khushiyan bhar degi. Lekin maine hi use pehchan ne mein der kardi... Bohot der kardi. Main abhaga bas usko aur uske janamdin ko kosta hi reh gaya. Main karta bhi kya? Uss din tum jo chali gayi mujhe chhod ke. Mujhe bas itna dikha ki tum mujhe chhod ke jaa rahi ho. Lekin ye kabhi dekhne ki koshish nahi ki maine ki jaate jaate tum meri jholi mein kya daal ke jaa rahi ho. Maine use aaj tak ek bojh ke alawa kuchh nahi samjha. Humesha yahi sochta reh gaya ki ladki hai, sar pe ek bhaari bojh hai, ek din shaadi karke bhej dunga aur meri zimmedari khatam hojaaegi. Par kabhi main ye nahi dekh paya ki wahi ladki...wahi beti mera naam roshan karti aarahi hai. Jo saare gun main humare bete Arjun mein dhundta tha, wo gun humari Naina mein bhi humesha se the. Par main hi kabhi wo sab dekh nahi paya, use pehchaan nahi paya.
Aaj tumse ek baat aur kehna chahta hun main.... Ya aisa kahun ki mujhe bhi ye baat sach lag raha hai aaj. Tumne bohot achha kiya ki humari Naina ke parvarish ki zimmedari tumne mere bajaye Bela aur Aanand ko diya. Sayad tum pehle se jaanti thi, ki main ye nahi kar paaunga. Bhabhiji aur Bhaisahab ki fizul baaton mein main iss kadar aa gaya ki maine apni beti ko apne se hi alag kar diya. Arjun ke pyaar mein itna andha ho gaya ki apni beti ko apni safalta pe ek gold medal tak lete huye dekh nahi paya. Wo jab apne unn chote chote hathon se badmashiyaan aur sharartein karti hogi, main wo bhi kabhi nahi dekh paya. Usse jab khelte hue chot lagti hogi toh usse wapas uthneka aur fir se khelne ka sahara nahi de paya. Wo jab bhi tumhe yaad karke roti hogi toh usse apne gale se lagakar kabhi ye nahi keh paya ki BETA MAIN HUN TERE PAAS. Wo humesha koshish me lagi rahi ki wo aisa kya kare, ki main uske sar pe ek baar pyaar se haath pherun, aisa wo kya kare ki ek baar main uski man se taarif karun. Main aisa nahi keh raha ki uske koshishon mein kabhi koi khot thi. Khot toh mere soch mein thi humesha se, jisko kabhi ye nahi dikha ki uski beti uski kitni izzat karti hai... Usse kitna pyaar karti hai.
Waise toh tum jaaha pe bhi ho, hume wahan se dekh hi rahi ho... Main jaanta hun. Phir bhi main ye apne dil se keh raha hun. Jis beti ko main kabhi ek baap ka saya nahi de paya; aaj usi beti ne mujhe mera ghar, mera parivaar, mera sab kuchh de diya. Mere bohot se rishton ko bikharne se bacha liya. Sabki ki nazron mein girne se bacha liya. Aur toh aur ye bhi sikha diya.... Ki baap kya hota hai, kaun hota hai.
Aur Sameer.... Tumhara damaad, uski main kya hi baat karun? Jo beta aaj tak main Arjun ko banta dekhna chahta tha, Sameer aaj mera wahi beta hai. Ek wo bhi hai jisne mujhe samjhaya ki Naina meri zindagi mein kya maayne rakhti hai. Usne mujhe ye ehsaas dilwaya ki Naina ki zindagi mein main kya maayne rakhta hun. Bohot khush rakhta hai wo humari beti ko. Tumhe pata hai? Roz usse meri ladai hoti hai. Aur aaj se hi nahi; school se hi mujhe pareshan karne ki ek kasar nahi chhodta wo baalon ki dukaan. Har chhoti chhoti aur bachkaani baaton pe hum behes karne lag jaate hain. Aur Naina, wo hum donon ke beech phans jaati hai. Waise ek andar ki baat bataun? Kabhi kabhi na... main bhi maze lene ke liye use chidhata rehta hun. Bohot maza aata hai. Ab tum bologi ki damaad hai wo ghar ka aur damad ke saath aisi harkatein kaun karta hai? To tumhari jaankari ke liye bata deta hun ki damaad nahi, beta hai wo mera. Haq hai mera uspe.
Ek aur wajah thi aaj tumse baat karneki. Waise ye baat main pehle hi bata dena chahta tha tumhe, magar phir socha ki aaj se behtar kaunsa din kya hoga ye khushkabhri tumhe dene ke liye. Tumhe ye jaanke bohot khushi hogi Rama, ki tumhari beti bohot jald khud maa banne waali hai. Khushi ke aansu aagaye na tumhare aankhon mein bhi? Sach muchh Rama, aaj humari beti bohot badi hogayi.Bohot jald uske god mein chhoti si Naina khelgi. Ab tum kahogi ki chhoti Naina hi kyun? Chhota Sameer bhi toh ho sakta hai. Magar nahi.... tumhare damaad ne khud kaha hai ki usko ek pyaari si beti hogi toh isme main kya bol sakta hun?
Par sach Rama, main bhi bohot khush hounga agar humari Naina ho beti hui. Kyunki main Naina ka bachpan usme jeena chahta hun. Usse wo saara pyaar Nanu ban kar dunga, jo pyaar main Naina ko ek baap ban kar nahi de saka. Aur haan, sirf nanu bankar hi nahi; balki nani bankar tumhare hisse ka pyaar bhi dunga main use. Ye mera wada hai tumse... aur khud se bhi. Aakhir ab yeh parivar hi to meri ASLI KHUSHI hai.
Aaj ke liye bass itna hi... Kal fir milenge. Tab tak apna khayal rakhna.
- TUMHARA RAKESH
Okay! So, this Dastan ends here.
Hope you like it.
Cover credit goes to RRao_13. Thank you, Raksha for this beautiful cover 💕
We'll come back again with another ANKAHE DASTAN.
Until then HASTA LA VISTA.
Anushka and Issabella💕
YOU ARE READING
Ankahe Dastan (ON HOLD)
FanfictionA COLLAB STORY BY ANUSHKA AND ISSABELLA. Kuch baatein ankahi reh jaati hain... Kuch DASTAN ANKAHE reh jaate hain. Everyone has a story to tell. All you have to do is to write it. ~Frank McCourt It's known to all of us that so...