This diary entry is written by Kamya when she acted for hurting her foot and drew back her name from Dance Competition so that Naina could take part in the competition.
Hi,
Mera naam Kamya hai!
Umm...maaf karna aaj pehli baar maine diary apne haath mein pakda hai, pehli baar apne man ki baat yahan likhne jaa rahi hun...isiliye pata nahi ki shuruwat kahan se karun. Waise hun toh main humesha se hi bohot stylish type ki ladki, jisko books wagerah mein bilkul interest nhi hai, par aaj tumhari zaroorat pad hi gayi. Ek secret bataun? Main na sabke saamne waisi hi rehti hun jaise upar se dikhti hun, yaani ki sabko yahan wahan ki baatein batati phirti hun, style aur fashion ke baare mein gyaan bhi deti hu... Aur Hema aur Shruti to bahut gaur se sunte hain meri baatein. Waise aisi aur bhi baatein hain, par phir kabhi bataungi. Filhaal toh baat ye hai ki, jab saare na...yaani jo mere saath rehte hain, wo thode emotional type ke hain. Sab log din bhar pyaar, dosti, parivaar, saath...inhi sab ki baaton mein lage rehte hain. Aur main, main toh kabhi kabaar hi in chizon mein padhti hun. Actuallly baat ye hai ki, main kisi ke saamne emotional hona nahi chahti, isiliye mere dil ki baat bohot kam log hi jaante hain, jo mere bohot se bhi bohot kareebi log hote hain. Baat ye hai ki, inn sab chizon mein main itni jaldi open up nahi ho paati, toh...kisi se ye saari baat share hi nahi karti. Lekin, aakhir kaar main bhi toh insaan hun, emotions toh mere andar bhi hain. Isiliye ek tarika nikala ki main kisi aur ke saamne apne zazbaat nahi laa sakti toh kya hua? Tumne se toh share kar hi sakti hun na. Isliye aa gayi...mere man mein jo bhi hai, wo tumse kehne. Aur mujhe pakka yakin hai ki tum itminaan se sunoge, aur mujhe uncomfortable bhi nahi hoga.
Haan toh suru kahan se karun? Umm...aisa karte hain, main tumhe apne life ke sabse important kuchh kisse batati hun. Toh main, yaani ki Kamya...school ki sabse stylish ladki, jo ladkon ko bhav kabhi nahi deti thi. Aur lagbhag saare ladke mujhpe marte the. Arey main apni taarif nahi kar rahi, par jo sach hai wahi keh rahi hun. Hehe!!! Par baat toh sach hai na? Aur ye sab jab hota tha mere aas paas toh mujhe na kisi ladke ko tawazzu dene ka man nahi karta tha, kyunki mujhe lagta tha ki koi bhi mere layak nahi hai...sayad. Abhi abhi na, kuchh hi mahine pehle ki baat hai, actually jab humara 11th suru hua aur kuchh din beet chuke the classes ke, tab ki baat hai...ek ladka aaya humare school mein. Naya tha, aur Nainitaal se aaya tha. Ekdum handsome sa, bilkul Salman types aur jaise hi meri nazar uspe padi, usse main dekhte hi reh gayi. Aur main hi kyun, school ki lagbhag har ladki uspe pehli hi nazar mein hi flat hogayi. Aur, humare class ki ladkiyan toh kuch zyada hi phisal gayi usepe. Itna tak hua tha ki koi bhi ladki use rakhi nahi badhna chahti thi.Unn sab me se ek main bhi thi. EK baat pata hai tumhe, ki main uski taraf suru mein hi attract kyun ho gayi? Kyunki aaj tak itne saare mere ladke mere pichhe pade the par wo ek hi akela tha jisne mujhe bhav tak nahi diya, chup chap side se nikal gaya bina dekhe. Pehle toh mujhe laga ki kitna akdu hai, par phir bhi yahi toh uski adaa thi. Pata hai kayi baar maine koshish ki...ki uske paas jaaun. Itne efforts lagaye maine; kabhi apne ghar par bulaya saath mein movie dekhne ke liye, toh kabhi school mein uske sath pakdam pakdai khela, par buri tarah nakam rahi. Ek baar to woh khud hi mere paas baithne aaya tha mere bench par, par na...Shaanti teacher ne usse wapas bhej diya.
Hmm...Khair ab iss baare mein zyada nahi bolungi warna agar Naina ko pata chala na, toh meri bina sabun ke dhulai kar degi. Arey Naina...haan wahi Naina, jisse wo pyaar karta hai aur Naina bhi usse bohot pyaar karti hai. Mujhe ye baat kuch samay pehle hi pata chali jab Mumna Pandit iss baare mein ek dusre se baat kar rhe the, uss din samajh mein aaya ki Sameer aur Naina jo bhi ajeeb kiya karte the, ya jab bhi ek dusre ke aamne saamne hote the, tab kya chalta hoga. Uske baad main saari chizon ko jodne lagi, aur saari kadiyan milte chali gayi. Shayad uss din bhi wo mere saath isliye baithne aaya tha, taaki wo Naina ko jala sake. Aur jab usne mere hi ghar pe mere proposal ko reject kar diya tha na, tab usne kaha tha ki uski life mein already koi hai. Aur uss waqt wo baat mujhse hazam nahi hui thi. Par baad mein yakin aane lag gaya ki sach mein uski life mein koi hai, aur wo...Naina hai. Ek baat sachi sachi kahun? Sameer ki taraf na, bas mera ek akarshan tha jo kuch hi dinon baad khatam ho gaya. Wo mujhe aise pata chala ki jab jab Sameer jo jo karta tha, uss baat ka mujhko farak padna band hogaya tha. Aur uspar dhyaan bhi nahi jaata tha baad baad mein. Toh ye toh aakarshan hi hua na? Aur maine toh tumse pehle bhi kaha tha, main hi nahi balki poore school ki ladkiyan uspe marti thi. Par pyaar...pyaar usse sirf ek hi ladki ne kiya... Naina ne. Aur kewal pyaar hi nahi...sachcha wala pyaar. Isiliye toh ye samajh mein aagaya ki pyaar aur aakarshan ke bich ka antar kya hota hai. Aur sach kahun, bohot khushi hoti hai jab bhi donon ek saath hote hain. Sayad yahi toh sachche pyaar ka jaadu hota hai, jo sirf pyaar karne waalon ko hi nahi, balki uspe aas paas ke har insaan ka vyaktitva ko badal deta hai...achhe tarike se.
Dekha hai maine. Dekha hai ki kaise Sameer se bass ek baar milne ke liye Naina dance sikh rahi hai, kaise bass uske aaye khat ko Munna Pandit se lene ke liye kuchh bhi kar guzar rahi hai, aur kaise sayad raat raat bhar uske phone ke intezaar kar rahi hai. Maine use aisa karte dekha toh nahi hai, par yakinan aisa hi roz hota hoga. Aur toh aur jis Naina ko 1 mark kam laakar second aana ganwara nahi hota tha, wo Naina uske pyaar mein itni pagal ho gayi ki fail tak ho gayi. Sache pyaar ke liye log kya kya kar guzarte hain na? Kitna pyaara rishta hota wo jo do logon ke bich ban jaata hai. Jab pyaar karne waale ek dusre ke liye itna kar sakte hain, toh main unke prem kahaani mein ek chhota sa kirdaar kyun nahi nibha sakti? Aaj main chahti hun ki main bhi Naina aur Sameer ke iss prem kahani mein ek chhoti si bhumika nibhaun.... Villain ki nahi balki do pyaar krne walon ko milane ki. Isiliye toh aaj ye sab kiya maine. Delhi mein ek Dance competition hone wala hai jisme participate karne ke liye poore school mein se Kumud madam ne mujhe chuna hai. Par reh reh kar mera dhyaan Naina pe chala hi gaya. Maine dekha hai ki Naina iss competition mein bhag lene ke liye kitni utsahit hai. Par baad mein samajh aaya ki competition toh bas ek bahana hai, asli wajah toh Sameer se milna hai. Aur wo itni koshish kar rahi hai usse ek baar baat karne ki, usse ek baar milne ki...toh main kaun hoti hun do pyaar karne waalon ke bich mein aane waali. Isiliye aaj maine wahi kiya, jo mere dil ne kaha, jo mere dil ko sahi laga. Sabke saamne paer mein moch aane ka natak kiya aur paer pakad ke baith gayi. Waise toh main sayad itni mahaan nahi banti, par Naina ki ek aur achhayi ne mera dil jhat se jeet liya. Munna Pandit ne mujhe giraane ki bohot planning ki thi, ki main zor se gir jaaun aur mere paer mein moch aajaaye. Aur agar moch aagayi toh main dance kaise kar paaungi? Aur agar dance nahi paayi toh Delhi waale competition mein participate kaise kar paaungi? Arey yahi toh unke plan tha, par unka idea chala hi nahi. Na!!! Isme maine kuchh nahi kiya tha, iss baar toh Naina ne khud mujhe chot pohochane se mana kar diya. Wo Sameer se milna zarur chahti thi, par mujhe dard deke nahi. Toh phir kya tha, wahin par main uski fan hogayi. Par unko bhi itna lamba chauda drama rachne ki zaroorat nahi thi. Aakhir kaar, itni achi stylist ke saath saath itni achhi actor jo hun main (Hahahaha). Haan haan, mazak kar rahi thi. Iske baad ka toh suno! Aur jab main competition se hat gayi, toh Naina ko chance mila apne school ko represent karneka aur sach kahun toh use iss baat ki badi khushi thi usse ki wo Sameer se milne jaa rahi hai. Maine na Naina ko dance sikhane ka waada bhi kiya hai. Aur ek baat toh mujhe pata hai, Naina ne bass Sameer se milne ke liye iss competition mein hissa nahi liya, balki apne school ko jitane ka bhi pura josh hai usmein. Isiliye toh wo select hui iss competition mein.
Main nahi jaanti ki kis wajah se Sameer ye school chhod kar chala gaya, kyun wo apne doston ko aur apni Naina ko chhod ke itna dur Delhi chala gaya. Par wajah chahe jo bhi ho, itna toh samajh mein aata hai ki jaise yahan pe Naina ka haal hai, usse kayi zyada Sameer dukhi hoga. Kyunki yahan toh Munna, Pandit, Preeti, Swati sab hain uske paas...par wo akela hai. Isiliye agar mere picche hat jaane se ye donon mil jaate hain, ek dusre ko dekh lete hain, toh isme kya harz hai. Toh bas, main pichhe hat gayi. Aur ab Naina jaaegi uske paas. Ohoo! Soch ke hi ek ajeeb si khushi ho rahi hai. Aur khushi hona swabhavik hai na, aakhir kahin na kahin donon meri wajah se milne waale hain. Pata hai main aur Naina na, ek dusre se sidhe muh baat tak nahi kiya karte the. Hum donon ki baatein bilkul mel nahi khaati thi, kisi bhi chiz mein. Pehle main kabhi bhi Naina jaisi nahi banna chahti thi, padhaku aur behenji types. Aur kabhi socha bhi nahi tha ki ek din mere isi faisle pe mujhe dubara sochna padega. Aaj dekhti hun toh bhagwaan se ek hi dua mangti hun ki bas, kisi lihaize mein mujhe bhi Naina jaisi bana de. Uske jaisa saaf man aur pyaar bhara dil mera bhi ho. Waise ye toh hoga ya nahi hoga wo baad ki baat hai. Par aaj se...aaj se Naina meri dost hai, ekdum pakki dost. Mere liye jaisi Hema hai, waise hi aaj se Naina bhi hai. Baaki baaton ka toh pata nahi, par Sameer ke dur jaane se ek chiz bohot achhi hui mere liye. Mujhe Naina jaisi sachi dost mil gayi.
Ab isse zyada nahi likh paaungi main, jitne bhi baat dil mein bhar ke rakhe the wo sab likh daala hai maine, pehli baar to itna kuch likha hai maine aur itni der study table pe baithi (Hahaha). Chalti hun ab, agli baar phir se agar kabhi tumhari zarurat padi, toh wapas aajaungi!
-Kamya
Inki dosti ki shuruwat to ho gayi. Par agar aapne apne kisi dost se kuch dinon se baat nahi ki hai to usse call krke baat zaroor karna. Yakeen maniye wo khushi ka pal jo aapko milega wo koi nahi de sakta hai.
Hum fir milenge ek aur ANKAHI DASTAN ke sath.
And yeah! Most importantly HAPPY BIRTHDAY TO RANDEEP 🥳🥳🥳🎂🎂.
Tab tkk ke liye,
Alwida!
-Anushka and Issabella 💕
![](https://img.wattpad.com/cover/278557487-288-k12830.jpg)
YOU ARE READING
Ankahe Dastan (ON HOLD)
FanficA COLLAB STORY BY ANUSHKA AND ISSABELLA. Kuch baatein ankahi reh jaati hain... Kuch DASTAN ANKAHE reh jaate hain. Everyone has a story to tell. All you have to do is to write it. ~Frank McCourt It's known to all of us that so...