Chapter 35

1.3K 130 172
                                    

Here is your next part, Enjoy ☺️❤️


Karan and Preeta were going to Luthra house by their car

Preeta was silent, They were still in car, but after a certain time, For Karan it was unexpected that Preeta was this quite

Karan ( mentally ) : yeh babydoll itni shant kyu hai ? Bol kyu nahi rahi kuch ? Are at least jhagda hi krle par bole toh sahi, isko itna shant dekhne ki aadat nahi hai mujhe, isse pehle hum jab bhi dono ek sath the bat toh krte hi the, chahe shanti se ...Shanti se toh kabhi bat nahi ki humne .....But still ya fir wo jhagda hi krti rehti thi ...jhagda nahi par hamare opinion itne clash hote the toh hamari tu tu mai mai hoti thi

Karan continues and was making faces as if he will do when he will talk according to dialogue : arghhhhh.....Yeh ladki ne mujhe pagal bana diya hai, uski itni aadat ho gayi hai ki uski aawaj sune bina mujhe chain nahi milta, bajarbatti bolo kuch ...Yar The Karan Luthra, most handsome man in Mumbai, best cricket player, jispar Mumbai ki ladkiya fida hai wo apne sath, apne side mai baitha hai ...Are mujhe dekho, yeh bahar kya dekh rahi hai ...gadiyo (car)ko aur pedo (tress)  ko ...Bad choice babydoll....Very bad choice ...

But he realised something and again in mind : are par iska toh wo dost Aarav Malhotra hai, jo khud iske aage piche krta hai, agar mai most handsome man in Mumbai hu ...Toh ....Toh wo toh most handsome man in the World hai ..Aur use iss bat ka award bhi mila hai, mujhe koi award nahi mila hai cricket ke siwa , par uss Aarav ko toh cricket mere jaise nahi aata hai ...Fir kya hua ..Baki sari chijo mai mahir hai wo, aur agar mujh par Mumbai ki ladkiya fida hai toh wo Aarav par toh puri duniya ki ladkiya fida hai, ...Yaar yeh Aarav ne dharti par janam hi kyu liya ?....Waise hai wo achha, koi bhi ladki use pasand karegi ...Pasand karegi kya ...Pasand karti hai in fact usse pyaar krti hai jabki woh toh kisi ko bhav nahi deta ....Par kitna pagal insaan hai ...Jo ladkiya use bhav de rahi unhe chod diya aur jo use bhav nahi de rahi yani ki meri babaydoll uske piche pada hai ...Isliye wo banda mere liye toh bura hai

Karan  makes crybaby face : agar babydoll ke pass itna perfect option hai mere bad toh wo mujhe notice krna important kyu samjhegi, isliye woh bahar pedo ko taad rahi hai ...Par unse toh jyada hi achha hu mai yarr, par kuch bhi ho Pyaar mai toh wo mere hai so it's not important ki wo Aarav bura hai ki achha hai ....

Karan still in thoughts : ek min, ek min ....Maine uss Aarav ko khud hi blame kiya aur khud hi defend kr diya .....mai pagal ho gaya hu ...

He again looks at Preeta who was still looking outside the window

Karan again in mind : yar mai itna kuch bol gaya par yeh hai ki ...Ise kuch farak hi nahi pad raha ( he realised his folly ) kaise sunegi yeh ...mai toh man mai hi bole ja raha hu ...Par ..Par she loves me na ...Toh use sunayi dena chahiye mere man mai jo chl raha hai ...puchta hu usse

Karan to Preeta : toh fir kya socha hai ...Kuch reply karo

Preeta gives him confused look : kya ...Kya bola tumne ? Kis bat ka reply du ?

Karan : areeyyyy ...mai itni der se bole ja raha hu, tum bas sun rahi ho, toh mene jo bola uske bad tumhara kya khayal hai ?

Preeta : pagal ho gye ho kya ?

Karan : toh tumne meri puri conversation mai se bas yahi suna ki maine khudko pagal bola tha

Preeta gives him weird look again : kya ? ...Tum pagal ho yeh mujhe pehle se pata hai, isliye mene yeh bola, aur tum jo abhi aisi batein kr rahe ho na ...Lagta hai kuch nasha kiya hai tumne ...Idiot

Karan : tumhe lagta hai ...mai nashe krta hu ?

Preeta : wo pata nahi par uske effects dikh rahe hai mujhe ....Kya bole ja rahe ho ? Tum itni der se achhese shant baithe the na ? Achha lag raha tha mujhe, abhi tumne apna muh khola aur bakwas krne lage ho ...Chup rho ek dum nahi toh mai gadi se kud jaungi

Fear Of LOVE : Trust Issuesजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें