( I like the conversation part in cafe.. so I am not gonna add anything there... I am gonna start the story from today's episode 3/09/2021... Add some extra tadka to our Sairat conversation... This OS continues till Virat's transfer drama and ends with confession in my style 😉... Let's start)
Virat after opening up the cafe matter in front of the family leaves to his room... Not concentrating much on Samrakhi conversation as we all know pakhi kabhi nahi sudarne vaali... Let's not talk about her... She is gonna be a dialogue less Candidate in my story...
In sairat room....
Sai enters the room and finds virat reading a book... She tries to gain his attention by studying loud and making sounds by closing the cupboard hardly... But he is not even looking at her... She got irritated and asks him...
Sai: aapko koyi aur cafe nahi mila pakhi didi ke saath jaane Keliye...
Virat: kyu... Cafe tumne kareedh liye.. aur tumhe kya agar mai apne dosth ke saath kahi bhi jau tho...
Sai: dosth...hmm... Sachme aapke beech sirf dosthi hai...
Virat: shayad maine abhi abhi aur parivaar ke samne bhi yahi kaha..
Sai: lekin aapke kahi hui baath aur jo maine cafe mein dekha un dono mein Mel nahi hai
Virat: dho log agar haath pakde hue hai tho yeh jaruri nahi ki unke beech dosthi se badkar kuch hoga... Apna yeh filmy soch apne paas hi rakhna
Sai: Filmy soch... Acha... Agar aap mere jagah hothe tho aap kya karthe.. aap aise react nahi karthe...
Virat doesn't respond...
Sai: mai aapse hi sawal kiya hai... Aur aise konsi interesting story pad rahe hai jo itne guse jaa rahe hai...
Still virat doesn't respond and sai snatches his book...
Virat: kya hai... Book dho...
Sai: nahi... Aap jawab dijiye...
Virat tries to get book but sai is moving away not allowing him to take the book... He stopped hi trials...
Virat: kya hai...
Sai: jawab dijiye... Agar aap mere jagah hothe tho kya karthe... Ajinkya aur mujhe saath dekhkar aapne aur jyada katarnak reaction diya tha... Yaad hai aapko...
Virat:haa yaad hai... Humesha yaad rahega... Jindagi bhar guilt hoga mujhe ki maine aisa kyu react kiya jiske vajah se tum... (Tears in his eyes)
Tumhe vaise situation mein dekhna pada... ( Wiping his tears out)...
Mere aisa react karne ka vajah hai sai lekin tumhara aise gussa hona yeh sabke vajah hai kya tumhare paas?
Sai: vajah... Kya vajah thi aapki...
Virat: yahi... Ki mai possessive hogaya tha tumhe lekar.... Yeh baath maine tumhe hospital mein bataya bhi tha...
Lekin tum... Tum tho mereliye kuch feel nahi karthi tho tumhe mere aur pakhi ko saath dekhkar ya phir kisi aur ladki ke saath dekhkar kyu farak padna chahiye Sai....
Sai has no answer for it... She herself doesn't know why it hurts when she them together... Even Shivani bua asked her the same question... Why...
She is lost in her thoughts while virat tries to take the book from her hands while she holds it back answering Virat...
Sai: mujhe koyi farak nahi padta aur naahi padega... Aur yeh shaadhi deal hai tho aapko bhi fark padna nahi chahiye...
Virat: agar mereliye yeh shaadhi sirf deal na hua tho... Use badkar hai tho...
Sai: kya matlab hai aapka...
Virat: tumhe mera matlab tab samajh ayega jab tum mere pakhi ke risthe ko alag nazariye se dekho tho...
Sai: alag... Matlab kaise dekhu virat sir... Batayiye... Aap unse pyaar karthe hai... aap dono chupke Cafe me milne gaye hai jo samrat dada ko dokha dene jaisa hai...aur Cafe mein apni aage ki jindagi ke baare mein hi baath karne gaye honge.. lekin aap unhe accept nahi karenge kyunki voh samrat dada ki patni hai... Aur agar divorce bhi hua tho aap pakhi didi ko isi ghar mein lana hoga jiske vajah se ghar ka izzath nahi rahega... Isiliye... Isiliye aap us risthe ko sirf dosthi ka naam dhe rahe ho... Hai na...
Virat controls his anger....
Virat: Sai... Maine jo bhola sach bhola...aur maine apni Jeeva ko dhoka dene ke baare mein soch bhi nahi saktha.. Aur mai yeh dosthi vali baath achanak se nahi kaha... Tumse bhi pehle keh chuka ki mai koyi purane commitments nahi nibha raha...ek saal purani baath Shaadhi ke vakth jo deal ki baath ki voh yaad hai tumhe lekin kuch mahino pehle jo baath kaha voh yaad nahi hai ....
Tumhari sui sirf shaadi ke deal vaali baath par hi atki hui hai... Aisa nahi hai ki maine baath clarify nahi kiya ho... Kiya hai bhohot baar ki pakhi aur mere beech kuch nahi hai... Atleast mai tho kuch feel nahi kartha... Lekin yeh baathen tumhe kaha samjhogi... Ghar ke saare logon ke man ki baath samajh jaathi ho pakhi ki baath bhi samajh jaathi ho sivay mere... Kabhi kabhi man kartha hai ki tanda paani tumhare sir par daal dho taaki tumhara gussa shaanth ho aur dimag chalna shuru ho jay aur mere baathe samaji lago...
He goes to the table to bring water jar and turns down over Sai's head... Sai bends down closing her eyes... But the jar was empty...( Imagine the scene from serial)
He tries again to take the book but doesn't give...
Virat: tumhi rakhlo... Nahi padna hai mujhe... Sone jaa raha hu...
He walks towards his side of bed and she follows him and sits on the bed.. he didn't know she was there he slept in her lap thinking he is sleeping on bed.. seeing her he gets shocked and wakes up... (Imagine from serial)
Virat: kya hai sai...Kyu satha rahi ho..
Sai: meri baath poori nahi hui...
Virat: aur kya baath karni hai tumhe..
Sai: aapne kya faisla liya hai...
Virat: kis baare mein...
Sai: cafe gaye the na bimaar hone ke bavjoodh... Kuch tho faisla liya hoga..
Haath pakad kar pakhi didi ko console kar rahe the... Aisa konsa faisla hai jo Pakhi didi aisi ro rahi thi..
Virat: phir se vahi baath... Acha meri ek question ka answer dho phir mai bataunga...
Sai: kya poochiye..
Virat: jab tumne hum dono ko haath pakde hue dekha tho tumhe itna bura kyu laga... Mujhe tumhari aankhon mein dard dikh raha tha... Kyu..
Sai again has no answer but to cover up she says...
Sai: yeh kaisi sawal hai... Aur mujhe kyu dard hoga jab aapkeliye mere man mein kuch feelings nahi hai tho..
This broke his heart again...
Sai: aap agar batana nahi chahthe tho koyi baath nahi... Math batayiye...
Virat: maine vahi faisla liya hai jo tum chahthi ho...
Sai: aapke faisle mein mai kaha se agayi...
Virat(in mind): tumse hi tho mere faisla juda hotha hai sai...
Sai: batayiye...
Virat: sai.. mera faisla hum charon ki jindagi mein shaanthi laye ... Yahi Koshish hai mera... Aur baath pakhi ki faisle ki... Tho voh aur Samrat decide karlenge... Mujhe us faisle se koyi lena dena nahi hai... Kyunki mujhe koyi fark nahi padtha jab tak voh faisla dono ki marzi se li gayi ho aur dono kush ho....
Ab tho mujhe sone dho please..
Sai: nahi...
Virat: nahi ka kya matlab hai..
Sai: aap yeh batayiye dawayi li ya nahi...
Virat: tumhe kya...aur mera dyaan hi kyu rakhna hai tumhe..
Sai: Kyunki aap nahi rakh sakthe isiliye... Subah bhi batake gayi thi ki aaram kare lekin nahi... Dekhiye kaise kamjhor lag rahe hai... Aur pakhi didi jo kehthi hai ki voh aapse pyaar karthi hai... Bimaar hone ke bavjoodh bhahar lekar gayi hai... aur Aap kabhi mere bathon ko ehmiyat dethe ho jo mai aapse expect kar rahi hu...
Virat: meri tabiyat kharab hai... Mai khud ka khayal rakh lunga... Tumhe chintha karne ki jarurat nahi hai... Aur ek baath puchu... Tum chahthi ho ki mere life mein tumhare ehmiyat ho ya...
Sai: nahi... Bilkul nahi... Mai unme se nahi hu jo ehmiyat keliye us insaan ke aage peeche ghume aur gidgidaye..(low tone) pakhi didi ki tarah...
Virat is also convinced with the last point but can't do anything to change pakhi's mind which stopped working.
Sai: aur mai aapka khayal isiliye rakh rahi hu kyunki mujhe normally concern hai apki health ki...
Virat: ohh... normal Concern... Tho yeh normal concern sadak pe jaathe har logon Keliye bhi hoga.. hai na..
Sai: mai kyu kisi ajnabi ke baare mein Sochu... Aap mereliye ajanbi thodi na ho.. aap tho mere...
She stops and he wants her to continue...
Sai: kuch nahi... Mai aapka kayal rakhungi matlab rakhungi bas....
She gets up and goes to cupboard to get firstaid box...
Sai: dekhiye tho nahi liya hai dawayi aapne... Bukaar bad jayega virat sir aur yeh katarnak bhi ho saktha hai...
Virat is irritated now by her confusion... He walks to her and says..
Virat: tumhara kuch samajh nahi aatha hai mujhe sai... Tum kudh aise baathen bhol dethi ho jo chubtha hai mujhe aur Kudh itni jyada chintha karthi ho... Kya ho tum... Konsi roop sach samjhu...
Sai: mera roop samne insaan par aur uski harkathe par depend kartha hai virat sir...
Virat: patha hai sai... yeh baath bakwas lag saktha hai lekin mai kabhi kabhi sochtha hu ki agar mai sachme mar jau tho... Kam se kam yeh tho pata chalega ki tumhe meri kitni parwah hai...
Sai closes his mouth... Tears forming in her eyes...
Sai: yeh aap kya bhole jaa rahe hai...humesha aise marne ki baath kyu karthe hai aap... Agar mai aisa kuch keh rahi hothi aapko kaisa lagega.. agar mai mar jau tho...
Virat removes her hand...
Virat: mai kudh jindha nahi rehtha...
Sai didn't expect such answer... She is shocked listening to that...
Sai: yeh... K..kya... Keh rahe hai aap
Virat: sach... Sach keh raha hu... Agar sai nahi rahegi virat bhi nahi reh payega... yeh saari baatein tumhe tabhi samajh ayega jab tum kudh samajhna chahthi ho... kisike jindagi ke ehmiyat banne Keliye kudki jindagi mein bhi use ehmiyat dena chahiye sai....
He takes the tablet and haves it and drinks water...
Virat: leliya hai... Khush?!
He goes to his side of bed and sits on it
Sai: agar reh nahi sakthe tho jaa kyu rahe hai dhoor... Transfer kyu le rahe hai...
Virat: tumhe takleef na ho mere harkathon se... Taaki tum apna poora dyaan padayi par laga sakho aur mai tumse koyi ummedhe na lagau... And please koyi aur sawal nahi... Mujhe sona hai...
Sai is left confused... She is puzzled with her own feelings... Everyone are suggesting her the same thing to see their relation in different way.. maybe that could help her understand her feelings....
आप पढ़ रहे हैं
Virat's transfer drama
FanfictionThis story revolves around Virat transfer drama in my style of writing... This OS will also end with confession but in a different style... peep in to join the story