Virat: haan haan.. aisi bhol rahi ho ki mai I love you bholu tho badle mein tum bhi I love..( before he completes)
Sai: I love you Virat sir...
Virat is just lost in those words... He lost hope that he would ever hear them from her... Those words are called magical words as the three words describe the love for eachother... Listening them from Sai virat is spellbound... his eyes are filled with tears... He himself doesn't know what is he feeling currently.. is he happy... Excited.. surprised or shocked... All together he asked again for confirmation...
Virat: k..kya.. kya kaha... Phirse... Phirse kaho... Please...
Sai steps forward bit closer to him...
Sai: maine kaha... Ki mai... Aapse pyaar karthi hu... I love you Virat sir... Jaise aap mere Bina reh nahi payenge vaise hi mai bhi aapke bina reh nahi paungi... Aaba ke jaane ke baadh mai akeli thi... Aapne mujhe parivaar diya... Aai samaan pyaar karne vaali saas... Bhai jaise saath dene vale Mohit aur samrat dada..shivani bua jaise dosth...devi tai jaise behen...ab tho baba bhi mujhe apnane lage... In sab ke bavjoodh mai akeli hi hu virat sir... Yeh baath mujhe aapse dhoor rehkar patha chala hai... Aapke bina mai adhoori hogayi hu virat sir... Aapne pehli hi ek nayi zindagi di thi meri jaan bachakar(suicide ke baad) meri zimmedari bhi li... Mujhe parivaar diya aur phir.....aap kudh mere zindagi ban gaye hai...
Virat never thought that he would hear something like this from sai..
He kept staring at her with teary eyes... Just listening to her with utmost attention as if it's about an important mission details and he should not miss any single point of it...(hahaha again a bad comparison I guess... No problem... I know you guys are too good that you will adjust with it) Sai is expecting some lines or some reaction in return for her confession...
Sai: kya hai... Aisa ghur kyu rahe hai... Mai kabse bholi jaa rahi hu aur aap.. aise statue ki tarah khade hue hai... Kuch tho boliye... Virat sir...
She shook him....virat comes to his senses... He just hugs her so tight as if there is no tomorrow... Sai hugs back..
Virat: sorry sai... Mai... Mere paas shabdh kam pad rahe hai aaj is vakth... Bhohot kuch bholna chahtha hu par ... Par khushi ke maare kuch bhol hi nahi pa raha... Bas yeh pal poori tarah se jeena chahta hu... Yeh pal... Jaha tum ... Meri ho... Sirf aur sirf mere...
Their hug tightened even more....
They broke the hug...They cried out of happiness... And consoled eachother...
Then sai remembers samrat's words...
Sai: haww.... Mai tho bhul hi gayi...
Virat:(in low tone) bhulakkad jo ho...
Sai: kya... Kuch kaha aapne..
Virat: mai.. nahi.. nahi tho... Vaise kya bhul gayi...
Sai: samrat dada ko inform karna tha call karke... Aai baba Pareshan ho rahe honge... Mai call karlethi hu...
She calls Samrat, aai and baba and informs that she reached safely and also met virat... Meanwhile virat kept admiring her... He looked at sky
Virat(in mind): Bappa... Aapka kitna bhi shukriyadha karu utna kam hai...
Aapne tho mera pyaar mujhe dhila diya... Kisne expect kiya tha ki sai aisa kuch bholegi... Maine tho nahi kiya... Mujhe lagtha hai ki aapne bhi nahi ki hogi... Thank you bappa Sai ko meri life mein bhejne keliye...
After the call sai saw virat smiling and looking at sky... She goes near him..
Sai: bappa se baath kar rahe hai...?
Virat looks at her like how she knows.
Sai: mai kaise jaanthi hu? Yahi soch rahe hai... Hai na? Mujhe bhi yeh adath hai... Kabhi kabhi aapki burayi karni ho na tho unse karthi hu...
Virat: aylaa.... Mai humesha tumhari tareef kartha hu unse patha hai.. aur tum ho ki apne pati ka burayiya karthi ho...
Sai: bas bas virat sir...itna bhi jyada acting nahi karni chahiye....virat sir mujhe bhohot tej bhook lag rahi hai... Please kuch khiladijiye...
Virat: haan... Chalo paas mai ek dabaa hai vaha chalthe hai...
They go there order something... And sai starts eating as usual Virat admiring his baiko...
Sai: aap bhi khau na... Aapko dekh kar aisa lag raha hai ki aap teek se khana nahi kha rahe the... Sach kaha na?
Virat: aise bhol rahi ho jaise tumne teek se time par khana kha rahi thi itne din... Huh?
Sai: chaliye ab khalijiye... Varna kuch nahi bachega...
They have the food and virat takes her to the quarters...
Virat: sai... Shaam tak ajaunga... Tum akele rehlogi na...?
Sai: ha virat sir... Aap jayiye...
Virat: ready rehna... Paas mein ek mandhir hai... Bappa ki... Vaha chalthe hai... Humara naya safar unki ashwirvaadh se karlethe hai... Teek hai...
Sai: teek hai...
He leaves....
At evening 5pm....
Sai gets a message from Virat...
" Dear wifie... Bas adha ghanta lagega pahunchne mein...tum ready rehna jyada der math kardena... "
Sai: mai der karthi hu? Dekhna ab..
Virat enter the house... He calls" sai.."
He enters his room... This time he entered his room with a wide smile otherwise he would be either depressed or angry... He saw his beautiful wife in saree that too with free hair......and.... he is out...😂😂 I meant he is lost in her beauty... She is facing the mirror... She held Safety pin with her lips and adjusting her pallu.... She saw him...she is holding her pallu on her shoulder and Takes out the safety pin and places it on the table which is in front of the mirror...
Sai: virat sir... Kya dekh rahe hai... Knock nahi kar sakte the kya
Virat: knock... Door khula hai tho knock kaise karu.... Aur maine tumhari naam bhi pukara tha sai tum jawab nahi diya... Mujhe kya patha tha ki tum... Ready ho rahe ho...
Sai:jaan liya na ab jayiye aap bhi taiyyar ho jayiye...
He took his clothes and saw her struggling to put the pin...
Virat goes near her and takes the safety pin from her hand...
Sai(irritated): yeh kya kar rahe hai... Ek tho yeh pin mujhe irritate kar rahi hai aur upar se aap.. aapko pin se khelne ki padi hai... Dijiye idhar...
Virat: shaanth... Khelne keliye nahi liya... Itna struggle kar rahi thi tho madadh karne keliye liya hai... Ghumo ab...
He tries to pin the pallu to the blouse.... But not able to...
Sai: itni der kyu laga rahe hai... Bade aaye madadh karne keliye...
Virat: yeh pin gusi hi nahi rahi hai tho mai kya karu...
Somehow he manages to put the pin but in that process he pricks himself...
Virat: ouch...
Sai: kya hua... Chuba? Kya virat sir... Dekh kar nahi laga sakte the?
She immediately places his finger in her mouth... Virat is just admiring her.. sai looks at him...
Sai: abhi bhi ghur rahe hai?
Virat: kya karu phir... Meri wifie ki mereliye parvah dekhkar na bas dekhthe rehne ka man kar raha hai...
Sai: bas bas ah virat sir... Kitni cheezy lines maar rahe hai aap... Jayiye aur taiyaar hojayiye....
Virat follows her orders and gets ready...
Virat: lo taiyaar bhi hogaya... Paanch minute mein aur tum abhi tak taiyyar ho rahi ho...
Sai: bas ho gaya virat sir...
Virat goes to her kneels down.... He presses her pleats.... She loved this gesture of him...
Sai: arre wah virat sir..Aapko yeh bhi patha hai.Vaise aapko yeh kaise patha.Kahi se seekha hai kya aapne🤭
Virat:😐 seekha hai kya ka kya matlab hai Sai... Bachpan mein aai mujhe bulathi thi apni saree ke pleats ko press karne keliye... Aur patha hai mai kitni dedication ke saath kartha tha😄... Ab chale...
Sai: haa...
They go to the temple... They pray for their new phase of journey...
Sai(in mind): Bappa... Aaj tak aap humare saath dethe rahe hai... Aur yeh saath humare aage ki safar mein bhi banaye rakhiyega.. please
Virat(in mind): Bappa... Pyaar tho mai bhohot kartha hu sai se... Lekin mujhe dar is baath ka hai ki mai apne gusse mein use bhohot kuch bhol jatha hu hurt kartha hu... Jaise pehle bhi kayi baar ho chuka hai... Bas yeh sab aage na repeat karu... Aapka krupa banaye rakhe...
Pandit blesses them...
Sai takes kumkum(sindoor) in her hands and shows it to virat... Virat is confused like what is she up to... She signs him to fill her maang... He smiles and does the same...
They light the diyas and pray for their bright future...
On their way back to quarters he stops the car at a place... Takes Sai to that place... The place is just beautiful... There is a bench... It's greenary everywhere...(simple imagine our Sairat first date... No food... Only the place)
They sit on the bench thoroughly enjoy the view for a moment...
Sai: wow... Virat sir... Bhohot sundar nazara hai... Hai na?
Virat: ha sai...( Looking at her smile) bhohot sundar hai...
Sai: aap yaha aathe the kya?
Virat:(looking at the view) haa... Station ke raasthe mein padtha hai na yeh jagah... Ek baar mood off tha tho yaha rukha tha thodi der... Aur... Humari anniversary ke pehle us night ki yaadhen thaja karli uske baadh quarters chala gaya....
Sai: virat sir aapse ek baath kahu...
Virat: ha sai...
Sai: I am sry virat sir... Maine anniversary ke time kuch jyaada hi bhol diya tha... Aur aapko aapki baath rakhne ka mauka bhi nahi diya... Bas apni hi kahaniya banake kuch bhi soch lethi thi... (Holding her ears) sorry...
Virat removes her hands...
Virat: arre sai... Sry ki koyi jarurat nahi hai... Mai bhi kam thodi na hu... Tumhe kuch baathon ke baare mein aur jyaada clarity di hothi tho itna sab shayad nahi hotha... Sai... Aaj tak mai tumhara strong support ban nahi paya... Tumne akele lad liya ghar valon ke thaano se gusse se... Aur kahi baar mai kudh tum par trust na dikhakar bhohot rudely behave kiya...
Aur Ajinkya ka voh incident... Sai mai sach me keh raha hu ki mai kabhi tumhare baare mein galath nahi socha shak nahi kiya... Bas us vakth mere possessiveness gusse mein badal gaya aur voh sab....
He gets up and kneels down in front of her...
Virat: in sab Keliye mai dil se maafi maangtha hu... I am so sorry sai... tumhe itna kuch sehna pada...Un sab ko badal tho nahi saktha... Lekin aage aisa kuch bhi na ho iska poora dhyaan rakunga...
Sai: aap utiye... Aur yaha baitiye...
Mm... Hum dono ki galatiya hai... Maafi bhi maang liya hai na... Ek baath kahu... Mujhe lagtha hai hum dono hi jidhi hai... Gusse mai hothe hia tho dusro ki baathe hi nahi sunthe isiliye itne jagde hothe rehthe hai...
Virat: true...
Sai: hum na sab share karthe hai... Baitke baath karenge... Atleast Koshish tho kar sakte hai na... Aur ek dusre par poora trust karenge... Agar koyi baath achi nahi lagi tho seedha akar pooch Lenge aur samne valaa sunenge... Teek hai...
Virat nods for everything...
Sai: kya hai... Sab Keliye apna sir(head) hila rahe hai...
Virat: isme bhi problem... Sai... Mai tumhare baathen sun raha hu... Aur samajh raha hu... Aur bhohot acha lag raha ki tum humare relation ko strong banane Keliye itna soch rahi ho... Vaise manna padega... Smart tho ho tum...
Sai: thank you... Ek minute matlab pehle aapko smart nahi lagthi thi...
Virat: maine aisa kab kaha... Bholo... Kab kaha...
Sai: acha teek hai teek hai...
Virat holds her hands...
Virat: is baar saath milkar humare rishthe ke orr bhi majbooth banayenge... Okay?
Sai: okay...
She places her head on his shoulder and still holding hands...
Sai: virat sir... Aap... Aap chal rahe hai na mere saath ghar...
Virat: tum chahthi ho ki mai chalu..
Sai lifts her head looks at him..
Sai: yeh kaisa sawal hua... Mai kyu nahi chahungi
Virat: acha shaanth... Maine... Mere senior se baath kiya hai transfer ke baare mein...
Sai: kya kaha unhone...
Virat: unhone kaha ki.... Ki...
Sai: arree.... Aage tho boliye...
Virat:(excited) unhone approve kardiya hai Sai... Bas kal kuch kaam hai... Aur parso jaa sakthe hai... Patha hai maine extra kuch cases solve kardiya tha isiliye maane varna mujhe sunane ka ek mauka nahi chodthe...
Sai: matlab hum parso vapas jayenge...
Virat: haan...
In excitement she kissed his cheek leaving him in shock... He looks at her... She blushes... He kisses her forehead... She places back her head on his shoulder holding his arm...
They enjoy the nature....Sorry if anything went illogical or cringe types... Hope you like it... I think I can write one more chapter and end it... Thanks for supporting... Please vote and shower your love for the story and also drop your valuable comments
आप पढ़ रहे हैं
Virat's transfer drama
FanfictionThis story revolves around Virat transfer drama in my style of writing... This OS will also end with confession but in a different style... peep in to join the story