Dinner time...
Everyone gathered at the dining table... Sairat are missing... Virat then comes down and joins them...
Ashwini: godu...sai nahi aayi?
Virat: bas aathi hi hogi aai...
Bhavani: ab kya uske aane tak bhuke rahe Virat?
Virat: aap aisa kyu keh rahe hai kaku?
Sonali: aur nahi tho kya virat... Subah tumne tho hum sab warning dhi thi na ki hum tumhare sai se ache se peshay... Isiliye vahini pooch rahi hai ki hume intezaar wait prateeksha karni padegi ya phir hum kha sakhthe hai...
Virat: bilkul kha sakte hai... Aur aap log aise pooch rahe hai jaise pehle kabhi aapne sai ke bina khana khaya ho na ho... Vaise bhi aapko sai ki khane ki chintha kabse hone lagi... Sonali kaku... Isse pehle tho aap logon ko sai ki khaane ki chinta ya phir uski sehath hi chintha tho kabhi nahi hui...
Ninad: Virat... Yeh kaise baath kar raha hai....
Virat: baba... Jab maine seedhe shabdo mein spasth kaha hai tab ulta samajh rahe hai tho mai bhi ulte shabdho mein hi baath karunga na..
Tab shayad samajh aaye...
Omkar: tumhare kehne ka matlab kya hai Virat...aur tum apni biwi ki side lene Keliye parivaar ke khilaaf vahini ke khilaf kuch bhi bholthe jau aur hum kuch kahe bhi na...
Mohit: baba... Dada ne kaku ke khilaf kuch kaha kab tha...
Sonali: thu goppo bas...
Virat: Mohit ko chup kyu kara rahe hai sonali kaku... Maine kisike khilaaf kuch nahi kaha hai...
Pakhi: lekin virat... Badi maami ko dhamki tho dhi hai na tumne... Kya voh galath nahi thi?
Virat: pakhi... Maine dhamki kab dhi... Mai bas chetha raha tha...
Samrat: aur is baath ko itna badaya kyu jaa raha hai... Jabse aaya hu tabse dekh raha hu sai se problem hi kya hai... Sabke khushiyon ke baare mein sochthi hai... Samajhdhaar hai...
Pakhi: lekin utni hi jidhi aur badthameez hai Samrat... Bado se baath karne ki tameez nahi hai use... Jabse ghar mein aayi hai tabse har roj kuch na kuch hotha aya hai... Har roj badi mami ko ulti jawab dethi rehthi hai... Aur ab virat bhi uski jaise hotha jaa raha hai...
Virat(bit loud):bas...... Please.... Maine aap logon se sirf yeh kaha ki agar voh sahi hai tho mai uska saath dunga aur saamne jo koyi bhi hoga yeh nahi dekhunga... Yahi kaha na... Iskeliye aap itna thamasha kyu kar rahe hai... Isme dhamki kaha hai... Kya aap logon ko lagtha hai aap humesha galath hothe hai aur sai hi sahi hothi hai? Batayiye...
Pakhi: badi mami galath kyu hongi virat..
Virat: tho meri ek statement ka itna fark kyu pad raha hai sabko... Aap galat hothe tab ki baath bhola tha... Agar aap galat nahi ho tho mera baath ko lekar itna discussion kyu....
Noone haa anything to say... Virat caught a perfect point to bash them...
Samrat is doubtful about pakhi's behaviour and her thoughts for sai....
Virat: aur meri baath se poora parivaar affect nahi hue hai... Is ghar mein aadhe se jyada log sai ko samajh chuke hai aur usse pyaar karthe hai...
Maine subah bhi yahi request ki thi ki aap sai ko dekhne ki nazariya badhal dhe... Bas... Aur kuch nahi...
Shivani: Veeru... Agar yeh log samajhna chahthe tho kab ka samajh chuke hothe... Chod na yeh saari baatein...
Ash: godu.. chup ho jau... Sai aa rahi hai...
All became silent....
Sai: kya hua... Itni sannataa kaise? Aur kisine khana bhi shuru nahi kiya
Mohit: kuch nahi vahini... Aapka wait kar rahe the...
Sai: ohh... So sorry... Voh mai kal classes miss ki thi na uska padayi kar rahi thi... Dher hogayi...
Pakhi: agar dher ho raha ho tho kisiko tho inform karna chahiye na sai...
Sai: ha pakhi didi... Lekin mujhe patha hi nahi tha na ki aap mera intezaar kar rahe hai... I am sorry...
Virat: sai... Sorry ki koyi jarurat nahi hai... Tumne kuch galat nahi kiya hai... Ab sabko khana khana bhi hai ya phir aise hi dekthe rehne...
( Wanted to divert the topic.. which Mohit and samrat understood)
Mohit: ha dada... Vahini bhi aagayi... Bhohot bhook lag rahi hai... Voh paas karona...
Ashwini, karishma,pakhistarts serving... Sai is about to serve...
Pakhi: rehne dho Sai... Tum bait jau aur khana khalo... patha nahi kisko kya bhura lag jay...Hum hai na yeh sab karne keliye...
Samrat is growing suspicious about pakhi's behaviour... Past few days she wasn't like this with sai... Then why now? Poor Samrat he doesn't know that past few days she was acting.. the present one is her original.. she couldn't hide it anymore as she couldn't handle the point that sai and virat proposed and accepted eachother... Virat gave her a death glare... He would have shouted at her but stopped seeing samrat....
Sai: aap aisa kyu keh rahi hai pakhi didi...
Virat: sai... Bait jau aur khana khau...
Sai: lekin virat sir...
Virat: Sai... Baito...
All have dinner and go back to their rooms... Samrat wanted speak but thought that he should observe her behaviour pattern even more...
In Sairat room....
Sai sat to study and Virat sat in that huge chair with a file seriously studying it.. sai is curious to know what happened before she came because she felt something wierd in everyone's behaviour... Few were controlling their anger and few were hiding something from her... by Pakhi's words she could confirmly say that something happened...
Sai: virat sir...
Virat: (without looking at her) mmm...
Sai: virat sir...
Virat:(without looking at her) bholo sai... Sun raha hu...
Sai: neeche kya hua tha mere aane se pehle...
Virat:(still not looking)kuch nahi hua hai sai.. apne padayi par dhyaan dho...
Baaki ke baathon ka chintha karne ki jarurat nahi hai...
Sai: kyu nahi hai... Kuch tho hua hai... Batayiye na please...
Virat gives no response...
Sai:virat sir...
He still gives no answer...
She goes to him and pulls the file from his hand...
Virat: kya kar rahi ho... Sai file vapas karo abhi...
Sai: kya order de rahe hai aap? Mai aapki hawaldhaar nahi hu...
Virat: jaantha hu... Sai important case ka file hai...vapas karo...varna....
Sai sits on his lap...(giving an angry look)
Sai: varna kya karange aap Gabbar...
Virat smiles....
Sai: has kya rahe hai....
Virat signs her to look at her position...
Sai sees herself sitting on Virat's lap and then immediately tries to get up...
Virat holds her not allowing her to getup from his lap...
Sai: kya kar rahe hai aap... Virat sir chodiya...
Virat: kamaal karthi ho sai... Tum kudh aake bait gayi aur mai tumhe jaane nahi dena chahta... bass
Sai: kya bass... Mai voh by mistake bait gayi... Jaan bhuchkar nahi... Ab choidye...
Virat: haww... By mistake bait gayi... Koyi baath nahi yeh wala mistake mujhe bhohooootthhhh acha lag raha hai... Aur mai... Nahi... Chodne... Vala...hu...
Sai: aap kuch jyada ajeeb nahi ho rahe hai....
Virat: hai na... Mujhe bhi lagtha hai... Lekin phir mai sochtha hu tho lagtha hai meri biwi se tho kam ajeeb hi hu...
Sai: mai ajeeb hu??
Virat: aur nahi tho kya sai... Itni achi moment aur tum spoil karne mein Thuli hui ho...
Sai: kuch bhi...
Virat: ab mai tho nahi chodne vala jo bhi batana hai poochna hai aise hi rehkar poocho...
Sai: neeche kya hua tha mere aane se pehle...
Virat: vahi jo humesha hotha hai... Thamasha...
Sai: kisliye...
Virat: sai is ghar mein koyi badi vajah chahiye hotha hai kya thamasha karne keliye...
Sai: virat sir... Aap aisa kaise baath kar rahe hai... Parivaar hai aapke...
Virat: tho kya hua sai... Yaar pakh gaya hu roj ke thamashe se.. pehle tumhe chup rehne Keliye kehtha tha kyunki tum choti ho mujhe lagtha tha ki agar tum chup ho jaugi tho voh log kuch nahi bholenge... Lekin nahi mai galath tha... Tum nahi balki voh log chote bache jaise behave kar rahe hai Jidh kar rahe hai... Mere baathon ka ulta matlab nikhal rahe hai...bas itna hi tho bhola tha ki tumhe dekhne ka nazariya badhal dhe usme bhi problem hai... Isiliye unhe sab kuch clearly batha diya...
Sai: kya batha diya...?
Pulling her more closer...
Virat: yahi ki samne koyi bhi kada ho
mai tumhara saath kada rahunga har haal mein... Aur jab tak voh kuch galat karenge nahi tab tak mere kisi bhi baath se unhe farak nahi padna chahiye....
Sai: aap aisa kyu kar rahe hai... Sab aapne teek hojayega na... Jaise baba mujhe apnaliya vaise bhi thoda vakth de tho baaki log bhi apna lenge...
Virat: mujhe na lagtha hai ki mai tum ho tum mai hu....
Sai: heh?
Virat: tum purane virat jaise baath kyu kar rahi ho... Sai...dekho... Jo bhi hua hai kuch galat nahi hua hai... Sai mai is baar koyi bhi purani galatiya nahi daurana chahta... Bilkul bhi nahi... Please... Ab is baare mein bhool jau... Jo hoga dekha jayega... Teek hai...
Sai: teek hai... Ab tho chodiye...
Virat: nah...
Sai: kya nah... Mujhe padayi karni hai aur aap apna yeh file ka kaam karlijiye...
Virat: nah... Nah... Nah... Mera tho kaam karne mood chala gaya...
Sai: tho....
Virat: Romance karne ka mood hai...
Sai: chi... Kaise baathen kar rahe hai aap... Chodiye virat sir...
Virat: kya chi... Hey Bappa... Yeh kaisi unromantic biwi beji hai meri life mai...
Sai: vah vah vah... Kal tho bappa se meri tareef kar rahe the aur aaj dekho meri complaint...
Virat: aur nahi tho kya...😏
Sai tickles him and escapes from his grip... Placing the file on study table teases virat ..
Sai: chuda liya na maine....
Virat chases her and they roam the entire room... Climb on the bed...etc etc.. Just behaving like kids.... after a long time of chasing eachother they stopped... they are on the either sides of the bed... Virat sleeps on the bed...
Virat: mujhse nahi hoga ab...
Sai sits on the bed and says...
Sai: IPS VIRAT CHAUVAN ... Bas itni si energy... Very bad...
He pulls her hand and she falls close to him.... He raises his eyebrows and she blushes....
Virat: phirse pakadliya... Ab is baar nahi jaana dunga...
Sai adjusts her position sleeping next to him.. placing her head on his arm... And places her hand on his chest...
Sai: ab tho mai.... Kudh nahi janaa chahthi ...
They smile... He holds her closer to him.... They sleep peacefully....Hope you like it.... Iske baadh I have no ideas left.... But don't worry I am not gonna end.... As I said once I get to know tracks and ideas I will continue... Thanks for supporting and keep supporting and voting and drop your valuable comments too 😉
आप पढ़ रहे हैं
Virat's transfer drama
फैनफिक्शनThis story revolves around Virat transfer drama in my style of writing... This OS will also end with confession but in a different style... peep in to join the story