Back to Chauvan niwas

2.2K 141 11
                                    

Next day virat went to station completed all the formalities all the pending works and handed over the charge... Sai and Virat had spent beautiful two days there and the next day they planned to go back to their Chauvan niwas....
At night...
Sai and Virat are packing their things..
Sai is helping virat in packing... She opened the cupboard to get his clothes and sees the frames...
She takes the frames and brings them to virat and says...
Sai: tho mera shakh sahi nikhla... aapne humare kamre mein rakhe hue saare frames lekar aagaye...
Virat: tho kya kartha.... Mujhe laga ki in frames ka koyi jarurat nahi hai tumko isiliye lekar aagaya...
Sai: vah... Raath ko inhi frames niharthe hue soye honge hai na?
Virat: tumhe kaise patha...?
Sai:(imitating him) tumhe kaise patha.... Agar frames lekr aye hai tho jahir si baath jab bhi miss karenge unhi ko nihare honge na...
Virat: tum kya karthi thi...?
Sai: mai bhi photos dekhthi thi... Humare selfies hai aur college fest mein keechi hui ek pic bhi hai jisme aapka pyara sa smile hai...
Virat: wah meri wifie... Pati ko tareef kar rahi hai... Karo karo aur karo... Patni ke muh se tareef sunna... kitna sukoon miltha hai... Karo karo...
Sai: jyada udiye math huh...choti si tareef kari tho aap tho seedha nariyal ke ped par chad gaye...
Virat: yeh kaise statement hua...
Sai: maine naya banaya hai koyi problem...
Virat: nahi nahi mujhe kya problem hogi.... Aur lo mera packing bhi hogaya...
Sai:(excited)aur kal hum vapas jayenge...
Virat: tum chauvan niwas jaane Keliye itna excited kyu ho... Matlab... Tum kabhi vaha jaane keliye itna khush nahi hothi thi...
Sai: kyunki ab voh ghar mera sasural ban chuka hai na...
Virat: pehle bhi tho tha...
Sai: lekin mai nahi maanthi thi na...
Virat: tho ab maanthi ho ki voh tumhara ghar hai... Aur kabhi ghar chodne ki baath nahi karogi... Hai na?
Sai: haa virat sir... Ab mai apne hubby se dhoor thodi na reh paungi... Apne ghar mein apne pati ke saath hi rahungi... humesha... Aur aapko mujhe zindagi bhar jhelna padega...
Virat hugs her.... She hugs him back and rubs his back gently...
Sai: kya hua virat sir...
Virat: humesha tumhare muh se ghar chodne ki aur mujhe chodne ki baathe suna hai... Aaj humesha Keliye mere saath rehne ki baath sunkar bhohot acha lag raha hai.. bappa ne sach mein meri sunli Sai...
Sai breaks the hug and cupping his face... She says...
Sai: virat sir... Kal beeth chuka hai aur hum uske baare mein kyu soche... Aaj hum saath hai aur aane vaale kal mein bhi saath nibhayenge....

Next day....
They started off early and reached chauvan niwas by 11 pm...
All are gathered in the hall( Don't ask why they always stay in hall...😂 Who cares when our priority is Sairat)
Sai enters the house first...seeing her kaku started her taunts...
Bhavani: agayi maharani...
Sai: kya kaku... Aap mujhe itna miss kar rahi thi kya jo itne ache se swagath ki hai aapne...
Bhavani: mai aur tujhe miss karungi... Kabhi nahi ho sakta...
Sai: hoga kaku... Kabhi na kabhi tho hoga...
Ninad: sai... Vaha sab teek hai na.. virat kaisa hai?
Sai: unhi se pooch lijiye baba...
Ninad: matlab...?
Virat enters with luggage..
Virat: matlab... mujhse directly poochiyega ki mai kaisa hu
Ninad: Virat... Tum yaha... Teek ho na... Kuch hua hai kya
Virat: mai teek hu baba... Aur kuch nahi hua hai bas mai phirse... Phirse yaha transfer karvaliya hai...
Bhavani: vah... Tumhare department tumhe jab chaahe tab transfer karvathe rahenge kya.. ya phir is ladki ne kuch kiya?
Virat: kaku... Mere transfer mein sai kya karegi...
Sonali: arree... Kuch hi din days diwas pehle tho isne tumhara transfer hold pe rakhva di na... Tum gussa bhi hua tha... Yaad nahi...
Virat: yaad hai sonali kaku... Lekin mai rukha tho nahi na... Gaya tha na.. aur yaha vapas aana bhi mera hi faisla hai sai ne kuch nahi kiya...
Omkar: iski tarafdaari kyu kar rahe ho Virat... Sab jaanthe hai ki is ghar mein jo bhi ulta seedha hotha hai un sab ki vajah yeh devi hi tho hothi hai...
Virat: Omi kaka... (Before he complete sai stops him)
Sai: aap rukhiye virat sir... Kaku, sonali kaku, Omi kaka... Aapko lagta hai ki mai hi inke aise baar baar transfer lene ki vajah hu... Hai na? Aap na sahi soch rahe hai...
(Virat gave a look like 'what????')
Mujhse dhoor jaane Keliye inhone transfer apply kari... Aur chale bhi gaye... Aur peeche peeche mai bhi gayi unse baath kari aur mujhse dhoor rehne ki vajah khatam hogayi tho yeh vapas aa gay.... Bas... Yahi hai kahani.. samajh mein aayaa...
Kaku: kya bhola...
Sai: oo... aap samjhe nahi... Phirse bholu...
Omi: ek minute...kya Tum phirse vahi bholne vali ho jo pehle bhola hai...?
Sai: haan....
Sonali: tho phir rehne dho...
(Our entire sai gang are controlling their laugh... Pakhi is controlling her anger she can't show it out ...if samrat sees her angry then she has face his straight forward arrows... Oh sry questions 😂)
Sai: Aai... Mai bhohot thak gayi hu... Tho mai kamre mein jaa rahi hu... Aur jitne bhi sawal karne hai voh aap virat sir se kar lijiye...
Virat: mujhse?
Ashwini smiles and Sai leaves taking the luggage with her... Virat stops her..
Virat: mai lekar ajaunga... Tum jau...
Sai: nahi... Mai lekar jaungi... Vaise bhi aapko jyada vakth lag saktha upar aane mein inke sawalon ka jawab jo dena hai...
Virat smiles... She goes... While climbing stairs with bag she stops and says... Grabbing everyone's attention...
Sai(a bit loud): vaise kaku.. ek baath tho keh sakthi hu... Aapko is jungli mulgi ka aadath dalni padegi... Ab zindagi bhar jo jhelna hai mujhe...
Virat is bit shocked like...
Virat(in mind): vah sai joshi pati ko phasana koyi tumse seekhe...
Sai leaves and family is decoding her statement...
Bhavani: Virat... Yeh jungli mulgi kya bholke gayi hai...
Ash: (repeating her statement to decode)zindagi bhar jhelni padegi... Matlab godu sai is ghar ko chodkar kabhi nahi jayegi... Hai na...😄
Virat: ha aai...☺️
Mohit:😄 iska matlab dada... Aapne apni dil ki baath vahini ko bhol bhi diya aur vahini maan bhi gayi
Virat: haa mohit...☺️
Pakhi(in mind): dil ki baath🤔...kya virat sai se pyaar ka ijhaar karliya? Aur sai maan bhi gayi?😱
Karishma: matlab dadaa... Aap dono ek dusre pyaar karthe hai...
Virat: haa karishma...☺️
Pakhi(in mind).........
( Arre yaar .... Yeh sunne ke baadh aur kya hi sochegi... Mini heartattack agaya hoga)
Bhavani: yeh kya bakwaas hai virat... Tu us ladki ko ek zimmedari maankar yaha laya tha... Voh ladki yaha is ghar mein sirf apni padayi poori hone tak keliye hai... Tune kaha tha ki teri shaadhi ek deal hai... Aur ab use is ghar ki asli bahu banana chahte ho?
Virat: par kaku voh tho pehle se hi asli bahu hone ki saare zimmedari nibha rahi thi... Matlab pehle se hi voh is ghar ki asli bahu ban chuki thi .. tho phir mai kya naya bana raha hu...
Kaku: kab nibhaya usne bahu hone ka farz... Kab? Har roj kuch na kuch thamasha shuru karthi hai... Hum sab ki sukoon cheen liya usne... Ghar ki bado se badtameezi se baath karthi hai...Ghar ki kaamon se bhaagthi rehthi hai...Kya aisi hothi hai bahu...
Virat: kaku... Aap sirf vahi dekh rahe hai jo aap dekhna chahte hai... Aap sirf uski kamiya doondthi rahi tho vahi dikhengi na... Aap sai ko dekhne ki nazariya tho badalke dekhiye...
Aur yahi baath zimmedari nibhane ki... Mai yaad dilatha hu aapko...
Usne is ghar ki beti yaani shivani bua ka saath diya jab voh us fraud ke chakkar mein phas gayi thi... Is ghar ka koyi bhi sadasya aage nahi aya sivay sai ke... Is ghar ka beta...Mohit... Ghar ke saare bade use humesha sunaathe rehthe hai uski talent ka mazak banathe hai... berojgar hone par thaane marthe rehthe hai... Jeeva aur mujhse har baath par compare karke use nicha dikhane ki koshish karthe rehthe hai... Jabki ghar ke maintenance ghar ke functions yeh saare kaam voh kudh sambhalta hai...
Jab voh low feel kar raha tha sai ne uska saath diya himmath dhi... Uske baadh se voh humesha sai ke saath khada raha hai ek bhai ki tarah...
Devi tai... Das saal... Das saal apne pyaar se apni beti se dhoor rahi... Mai tho unki dard ka andaza bhi nahi laga pa raha... Das din mai apne pyaar se dhoor nahi reh paya tai Das saal dhoor rahi... Sai ne hi tai ko apne parivaar se mila diya tha kaku... Mai tho galath samajh kar use ghar se bahar nikhal dhi thi... Uska apmaan kiya tha... Lekin jab mujhe goli lagi thi... Hospital mein bhaagi aayi thi mera khayal rakhne... Doctor ne kaha bhi tha ki mai speed recovery kar raha hu sai jo khayal rakh rahi thi... Baba ko hormonium gift kiya... Unka shauk poora kiya usne jo mai kudh nahi kar paya kabhi....
Kaku voh sirf 19 ki hai... Bhohot Dard seh liya is kam umar mein... Voh padayi aur ghar ka kaam dono sambhalti hai... Kabhi complain nahi ki mujhse... Ulta mai use sunaatha tha ki tum mere parivaar se adjust karna seekho... Lekin voh kitna bhi khoshish karle jab tak aap apna nazariya nahi badhlenge voh safal kya hogi...
Mai aaj tak uska saath nahi de paya... Usne akele lad liya apne saari ladayi...
Lekin kaku is baar mai uska saath khada rahunga har haal mein... Agar voh galath hogi tho mai samjadunga... Lekin nahi hai tho mai yeh bhi nahi dekhunga ki saamne kon kadaa hai...
(Virat said the last few statements maintaining eye contact with kaku... Everyone else are left in shock.. they saw virat taking stand for sai but not to this extent... Warning kaku...omg)
Sonali: virat... Yeh kya bhol raha hai... Thu us ladki Keliye apne parivaar ke khilaf against virudh khada rahega .
Virat: vahi tho kaha sonali kaku...
Holding Kaku's hands...
Virat: kaku... Ek baar sai ko dekhne ki nazariya badal dijiye... Jab aap use samajhne lagenge na poore yakeen ke saath keh sakta hu aapko usse pyaar hojayega... Kaku mai use is ghar mein ek zimmedari maankar hi laya tha... Lekin jab use jaanne laga samajhne laga kab voh meri zimmedari se patni ban gayi patha hi nahi chala... Aur... Pyaar karne laga... Sach kahu tho meri jindagi ban gayi... Kaku... Atleast mereliye tho aap try kar sakthi hai na... Please...
Kaku nods yes so that she could end this here... She is in shock how virat warned her...
Pakhi is utterly shocked....
Virat turns to ashwini...
Virat: aai... Aap khana dedengi... Subah jaldi nikhalne ke chakkar mein kuch nahi kha paye... Bhohot bukh lag rahi hai... Use aur jyada lag rahi hogi...
Ash: tham... Abhi le athi hu...
All the elders leave to their respective room so as to recover from the shock... Ninad is not in shock but went to his room.. samrat is proud seeing his shiva taking stand for sai...
Mohit: kya baath hai dada... Aaj aapne sabko suna diya .. pyaar ka taakath huh....(teasing tone)
Virat:(blushing) chup kar... Aisa kuch nahi hai...
Shivani: tho blush kyu kar raha hai Veeru...
Virat: kya bua aap bhi... Jo bhola voh bholna jaruri tha... Varna sai ko kabhi samajh nahi payenge...
Shivani: sahi kaha... Ummedh hai shayad ab se yeh log apna dekhne ki nazariya badal dhe...
Virat: hope so...
Ashwini gives him tray of food... He takes it... She cupping his face kisses his forehead...
Ash: aaj na bhohot garv ho raha godu tum par... Aur bhohot jyada khush bhi hu ki tum dono apne rishtha ko accept karliya... Jaa...
Virat leaves to his room.... He finds sai unpacking luggage and placing his clothes on his cupboard... He places the tray on the table and goes to her and hugs her from behind...
Virat: kya baath hai... Neeche mujhe unke sawalon se akela saamna karne keliye chod ke aagayi... Kya apne pati ko aise jang mein akela chodna teek lagtha hai... Bholo Sai Joshi...
Sai: na... ( She turns around...) Sai Virat chauvan....
Virat: oohhh.... Okay Mrs. Virat chauvan... Answer dijiye...
Sai: lekin aapne tho sab sambhaliye na... Ek baath bholu virat sir...
Virat: mm....
Sai: aapne jo bhi neeche kaha maine suna hai... Voh luggage yaha kamre mein rakh kar dekhne aayi thi ki aapse kya sawal poocha jaa raha hai... Aur maine sunli...
Virat: sahi hi tho kaha na maine...
Sai: kaku ko aisa warning dena nahi chahiye tha aapko... Aur baaki jo aap mere baare mein kaha... Voh mujhe bhohooootthhhh acha laga...
She hugs him... He hugs her back
Sai: thank you Virat sir... Mera saath dene Keliye
Virat: Thank you tho mujhe bholna chahiye...
Sai( looking at him not completely breaking the hug): aap kyu?
Virat: kyunki tum mere life mai ayi ho aur is normal sa life ko colourful aur interesting bana diya hai...
Sai: kuch bhi...
Virat: arre... Tumhare aane se pehle bhi masthi kartha tha lekin tumhare aane ke baadh mein choti choti cheezo mein khushiya doondna seekh gaya... Tumhare saath bachpana karna... Tumhare saath nok jhok mujhe bhohot acha lagta hai... Haa agar humara jagda misunderstanding side mein rakhe tho baaki sabkuch kubsurat hi tho hai...
Sai: sachchi...?!
Virat: muchi...( Gently moves her head by his hand close to his heart and tightens the hug)....

Jyada lamba hogaya hai.... Hope you like it.... I am glad to see you people dropping comments and saying not to end the story... I will not end it but give a pause to it... Once I get to know the upcoming tracks and ideas about it I will keep posting the chapters... Please save this story to your library to get notifications once I upload new chapter.... Thanks for supporting and keep voting and keep dropping your valuable comments....

Virat's transfer dramaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें