The next day....
At 8 am...
In sairat room....
Sai getting ready sitting in front of the mirror..
Sai is about to tie her hair... Then remembers Virat's words...
"Khule baal hi ache lagthe hai"
She blushes and she opens her hair... Sets it free... looking at mirror...
Sai: Ab dekthi hu Mr. Virat chauvan ki aap apni patni se dhoor kab tak bhagenge... Aaj aapko kehna hi padega varna Sai joshi urf Sai Virat chauvan aapka peecha nahi chodne vaali...
Everyone gathered to have breakfast at the dining hall... Sai came down with a luggage bag( not a big one)... Some are shocked and some are curious... Everyone came to hall area even sai came there...
Ash: Sai.... Yeh bag... Kahi jaa rahi ho kya..?
Mohit: vahini kahi aap phirse ghar chodne ki soch rahi ho?
Kaku: ey ladki... Subah subah yeh kya naya natak hai...
Pakhi(in mind): yeh kya naya drama hai iska... Jo bhi hai yaha se jaa rahi hai... Achi baath hai... Yeh hostel chali jayegi aur kuch din baad virat vapas aajayega....
Ninad: Sai kuch tho kaho..
Sai: Baba... koyi mujhe Bholne dega tab bholungi na... Kaku, baba ,aai mai virat sir ke paas jaa rahi hu... Unse milne...
Omi: oo devi ji... Tumne hi kaha tha ki virat thujse naraz hai isiliye jaa raha hai... Tho kyu jaa rahi ho phirse pareshan karne... Humesha piche padi rehthi ho uski...
Sonali: aur nahi tho kya...Voh shaanthi peace sukoon se reh raha hai...tum kyu use disturb karna chahti ho....
Bhavani: ek dum sahi kaha Sonali... Ey jungli mulgi tujhe kahi jaane ki jarurat nahi hai...
Samrat: Badi mami, sonali mami,Omi mama... Yeh aap kaise baathen kar rahe hai Sai se... Is ghar ki bahu hai voh... virat ki patni... Voh milna chah rahi hai tho usme galat hi kya hai...
Sai: rehne dijiye dada... Inke yeh baathen aadath hogayi hai mujhe... Ek saal se jyada jo hogaya hai mera is ghar mein rehthe....
Aur mai unki sukoon chinne nahi jaa rahi hu... Chintha math kijiye... Aur kaku aap... Mai yaha permission lene nahi rukhi hu sirf inform karne keliye rukhi hu... Ab bathaa diya tho mai jaa rahi hu...
Bhavani: ey... Ruk... Kya mazak laga rakha hai...huh? Tum kahi nahi jaugi... Aur yeh kya natak kar rahi ho... Jab virat yaha tha tho use itna pareshan karke transfer lene par majboor kardiya aur yeh kya Chintha karne ki natak kar rahi ho...
Karishma: sai bhabhi... Kahi aap unhe miss tho nahi kar rahe hai...
Sai: sahi kaha karishma... Mai unhe miss kar rahi hu... Isiliye jaa rahi hu... Aur kaku.. maine unhe pareshaan kiya ya nahi yeh aap kaise decide kar sakthi hai... Kya aap bhi hum dono par nazar rakh rahi thi?
Ninad: Sai... Yeh kya tareeka hai baath karne ka...
Sai: aur nahi tho kya babaa... Kitne sawal kiye jaa rahe hai... Aur aap hi batayiye... Aap logon ka virat sir se in das dino mein kabhi na kabhi tho baath hui hogi na...
Ninad: haa..
Sai: lekin meri nahi hui... Mujhse baath nahi kar rahe hai aur naahi mere calls utaa rahe hai... Mujhe kaisa lagega... Kitne Ajeeb se khayal aa rahe hai mere dimaag mein... Bas ek baar milna hi tho chahthi hu.... Isme bhi problem ho rahi hai inko... Kisi or se thodi na milne jaa rahi hu apne pati se milne jaa rahi hu... kya galathi hai isme...
Ash: kuch galath nahi hai bada... Kuch galat nahi hai... Tum jau... Koyi nahi rokhega...
Ninad: ha jau.. lekin akele? Samrat ya Mohit saath chalega... Teek hai..
Sai: nahi baba... Mai akele chali jaungi..
Samrat: sai... Ninad mama sahi keh rahe hai... Hum dono me se koyi ek aa jayega... Akele kaise manage karogi tum?
Sai: jarurat nahi hai dada... Mai akeli Gadchiroli se nagpur tak aagayi tho yaha se dusri sheher jaane mein kaisi problem hogi mujhe... Chali jaungi dada... Don't worry
Samrat: teek hai... Par ek sharth par...
Sai: kya...
Samrat: mai gaadi book karunga... Usi mai jaugi... Voh seedha tujhe virat ke quarters tak drop karega ya phir uske station par .... Teek hai? Aur pahunchne ke baadh call karogi?
Sai: teek hai...
Sai leaves once the car came...
She reached quarters within three hours... She felt he would be in quarters only so first she visited his quarters...( U may get doubt how sai know about his whereabouts... Sunny is there DIG sir is also there to tell...)
Virat thought to go a bit late to the station as he is not feeling well... He strained out himself a lot these days...
There is a park in front of his quarters... He is going there... Sai saw him outside and calls him" virat sir.."
Virat: yeh sai ki awaaz... Nahi voh yaha kyu ayegi... Mere khaan baj rahe hai shayadh...
Sai: virat sir...
Virat: phirse...
He looks around and sees sai running towards him... He is stunned to see her... She came near him and was breathing heavily... He kept staring at her ...still in shock... She snaps her fingers in front of his face...
Virat: sai... Tum yaha.. kaise... Yaha kya kar rahi ho...? Kyu aayi ho?
Sai: kya matlab kyu aayi ho? Aapse milne bhi nahi aa sakthi hu kya?
Virat: mera matlab voh nahi tha...
Sai: aapka kya matlab hai usme meri koyi interest nahi hai... Aap yeh batayiye ki yeh kudhka kya haal bana rakha... Kitne weak lag rahe hai aap...
Das din dhoor hai aur khudka khayal nahi rakh paye...
Virat: tumhe meri chintha karne ki koyi jarurat nahi hai...
Sai: kyu nahi hai... Aap mere pati hai tho mera haq hai aapka chinta karna... Aapka khayal rakhna...
Virat: tum mujhe kabhi samajh nahi augi... Tum... Tum vapas ghar jau...
Sai: jaane keliye thodi na aayi hu...
Virat: phir kisliye aayi ho...
Sai: baath karne keliye... Yeh batayiye ki aap mere calls kyu nahi uta rahe the.. aur saamne se bhi calls nahi kar rahe hai... Kyu?
Virat: yeh sawal poochne keliye tum yaha tak aagayi...
Sai: haa... Call se tho pooch nahi sakthi na aapne "Don't lift Sai's calls" ka board jo laga rakha hai...bina ghumaye mujhe mere sawal ka jawab dijiye...
Virat: nahi dena chahta... Kya karlogi...
Sai: jab tak aap answer nahi dethe mai yaha se hilungi bhi nahi... Isi park mein aise hi khadi rahungi...
Virat: Jidh math karo sai... Mujhe dheri ho rahi hai... Station jana hai.. tum bhi ghar jau...
Sai: nahi jaungi... Aapko jana hai jau...
Virat: teek hai... Khadi raho yahi par... Bye...
He leaves .... Sai stood there stubbornly... Within five minutes he came back to her...she smiles...
Sai: mujhe patha tha aap mujhe chodkar nahi jaa payenge...
Virat: tum itni jidhi kyu ho sai? Please ghar jau...
Sai: no... First answer...
Virat: mai busy tha isiliye calls nahi uta raha tha...
Sai: tho baaki parivaar valon se baath karthe vakth aapka busy bahar ghumne gaya tha kya?
Virat:😑 aisa nahi hai...
Sai: aap mujhe jaan bhuchkar ignore kar rahe hai.. hai na?(tears in her eyes) Aapko andaza bhi hai ki aapka yeh barthav mujhe kitna dukh pahunchayega... Ghar mein sabse aap baath karthe hai aur apne patni se baath karne ki fursat nahi mil raha aapko... Mujhse gussa hai tho chillalijiye daatiye... Dhoor tho aa hi chuke hai aur ab call tak karna nahi chahthe... Itna bhi kya gussa...
Virat: tumhe in sabse farak nahi padna chahiye Sai... Tum aise baath kar rahi ho jaise is risthe ko maanthi ho mujhe apna pati manthi ho jabki dono hi nahi hai... Tum itna kyu react kar rahi ho... Das din hi tho baath nahi kiya... Paanch saal baadh humesha Keliye dhoor hojayenge.. tab kya...
Sai: please... Aisa math boliye... Please
Virat: lekin yahi sach hai na sai... Tum tho mujhe chodkar jaane ki baath karthi rehthi ho.. ab kudh kyu rokh rahi ho...
Sai: kyunki mujhe patha chal gaya hai ki mai aapse dhoor nahi reh paungi... Nahi reh paungi aapse dhoor.... Das din dhoor reh nahi paayi jab mai doctor banjaugi tab humesha Keliye aapse dhoor kaise rahungi... Mujhe farak padne laga hai virat sir... Aapke har baath ka farak padne laga hai...
Shayad pehle bhi farak padta tha lekin mai use undekha karthi thi...
Virat:(with so much hope) Sai... Tumhara kehne ka matlab kya hai...
Sai: kya aap mere jaise budhu ban gaye hai ya phir budhu banne ki natak kar rahe hai...
Virat: chalo maan tho liya ki tum budhu ho...
Sai: kya... Kya bola aapne phirse boliye..
Virat: mai yeh keh raha tha ki mai koyi natak nahi kar raha mai sachme pooch raha hu...
Sai: usse pehle aapse kuch sawal ka jawab chahti hu.... Poochu?
Virat: haa!
Sai: sirf sach bholenge aur bathon ko bilkul nahi ghumayenge... Sai ka kasam...
Virat: yeh kya bevakoofi hai... Mai kyu ghumaunga baath ko... Poocho
Sai: aap mere call kyu nahi uta rahe the... Sach... Sach bholiyega...
Virat: voh..uh... Tumse dhoor rehne ki koshish kar raha hu.. agar tumse baath karu tho mai jyada din dhoor nahi reh paunga... Isiliye...
Sai: aap mujhse dhoor kyu rehna chahthe hai...?
Virat: kyunki Tumhare dil mein mere liye kuch nahi hai aur yeh baath tumne kudh mujhse kahi baar bhol chuki ho... Aur mai hu ki tumse ummedhe laga kar baita hu.. kabhi kabhi tumhari barthav mujhe yeh sochne par majboor kar detha hai ki tum bhi mereliye vahi feel karthi ho jo mai tumhare liye kartha hu... Aur agle pal aisa kuch ho jatha hai ki ... Tum phirse deal vaali bath par chali jaathi ho... Mai bhohot baar koshish ki bataane ki lekin nahi keh paya... Aur jab anniversary time par tumne itna kuch kaha aur tum mereliye kuch nahi feel karthi tho jo batana chah raha tha voh ab dil mein hi dabh gaya hai... Ab tho bilkul himmat nahi hai baath karne ki... Aur tum har pal mere samne nazar augi tho kahi mai phirse kuch bhi imagine karke bina matlab ke tumse ummaedhe laga lu tho... Aur phir tumhe hi takleef hogi... Isliye dhoor aagaya taaki mai aapne aap ko samjha pau aur kuch bhi imagine karna bandh kardu...
Sai: aur aap kya feel karthe hai merliye jo aap mujhe bataane Keliye itna gabra rahe hai... Itna soch rahe hai...
Virat: yahi ki mai tumse pyaar...
He stopped... He is answering her questions in a flow just like we are asking questions to google and getting answers😂 funny comparison right... I know... But he was doing the same...
But his flow of answering stopped once he realised he was about to propose her.... Virat is not able to look into her eyes now...
Sai:(curiosly) aage... Aage tho boliye..
Virat: kuch nahi... Ab... Ab mai kuch answer nahi karne vala.... Tum... Tum ghar jau... Mai gaadi book kardetha hu... Tum jau....
Sai tried her best to make him say those words but he stopped... Kadoos gabbar... She is irritated now by his diverting statements...
She holds his collar and pulls him bit close... Virat is shocked trying to remove her hands...
Virat: sai... Yeh kya badtameezi hai... Collar chodo...
Sai: man tho kar raha hai ki appke danderaam se jhor se peetu... Lekin aapke paas tho dandaraam hai nahi na... Tho aise hi kaam chalana padega...
Virat: sai... Chodo collar... Sab dekh rahe hai... Yaha log mujhe jaanthe hai... Tum aise mere insult nahi kar sakthi... Chodo...
Her grip is so tight that virat is not able to free himself...
Sai: dekhne dijiye... Unhe bhi patha chale ki agar patni ko jyada satane se pati ka kya haal hotha hai...
Virat: Sai... Yeh kya gunda gardi hai... Sai tum bhool rahe ho ki mai IPS officer hu... Aur ek police officer se aisa behaviour keliye mai tumhe... Tumhe arrest kar saktha hu...
Sai: arrest... Acha... Ab hum kaha hai... Kaha hai boliye..
Virat: park mein..
Sai: aur aapne kya pehne hue hai...
Virat: yeh kaisi sawal hai... Shirt pant aur jacket...
Sai: haan... Tho naahi hum police station ke aaspaas hai aur naahi aap apne vardhi mein hai... Iska yahi matlab hua ki aap is vakth IPS officer nahi balki (stressing the words) mere pati hai... Samajhlaa... Ab arrest karna hai... Kijiye... Kijiye...
Virat: achanak se tumhari dimaag itna jyada kaam kaise kar raha hai..
Sai: kya.. virat sir aap mujhe or jyada gussa dila rahe hai... Aap voh jo bhol rahe the use complete kijiye... Varna ab sirf collar pakdi hu baadh mein pitungi...
Virat: bappa... Yeh kaisi ladki hai... Acha teek hai batha raha hu... Tumhe agar yeh baath achi nahi lagi tho please react math karna... Aur yeh collar chodo please ( she leaves the collar)... Bata raha hu
He takes deep breath collecting his courage...
Virat: Sai... Mai... Mai... Voh..
Sai: mai mai kya laga rakha hai aage boliye...
Virat: (within one go)sai I love you... Mai tumse bahut pyar kartha hu... You just complete my life... I love you and I mean it...
Virat said it finally... Sai is filled with happiness... Just hiding it for that moment...
Sai: yeh bolne Keliye aap itna soch rahe the... Pehle hi bhol dethe..
Virat: haan haan.. aisi bhol rahi ho ki mai I love you bholu tho badle mein tum bhi I love..( before he completes)
Sai: I love you Virat sir...
आप पढ़ रहे हैं
Virat's transfer drama
FanfictionThis story revolves around Virat transfer drama in my style of writing... This OS will also end with confession but in a different style... peep in to join the story