Next day morning...
Everyone gathers at dining hall for breakfast... Sai comes there but finds virat trying hard to ignore her... Virat tells them about the transfer and he may have to leave day after tomorrow... Listening this tears start forming in Sai's eyes... She hides them from others... Bhavani questions him about early transfer.... virat somehow convinces them by his replies... Pakhi informs to the family about pooja as samrakhi wanted to start a new life... Everyone felt happy including virat...
In mind pakhi's plan is to move closely with samrat so that she could bring out jealous in virat... But she is unaware or an idiot to think such way.. virat loves sai so much that he can't imagine his life without her..
Sai is on her way slowly realising her feelings for Virat...
Virat leaves for the station and sai to the college... She kept thinking about how to stop virat from leaving.. she gets an idea that is to meet DIG sir and request him to cancel the transfer... After her college she goes to meet him... He is in meeting so she waits for him... When he became free he called sai to his cabin...(I read that this conversation would happen according to kd from a sairat fanpage)
DIG: sai... Kaise ho...
Sai: teek hu sir.. aap kaise hai
DIG:teek hu.. yaha kaise aana hua
Sai: sir... Voh... Aapse virat sir ke transfer ke baare mein baath karni thi
DIG: haa usne transfer Keliye aaply kiya tha... Jaldi approve bhi hojayega...
Sai: nahi.. nahi sir... Yahi tho batana tha ki aap unke transfer approve math kijiye...
DIG: par kyu Sai... Usne kudh maangi hai...
Sai: voh... Mujhse gussa hai aur dhoor jaana chahthe hai isiliye unhone transfer apply kari
DIG:(bit shocked) personal issue ke vajah se transfer le raha hai...
Sai: sir.. please unke transfer rokh dijiye... Parivaar ko is vakth unki jarurat hai.. gharwale bhi unki transfer ke baare soch kar pareshaan ho rahe hai ki achanak se yeh transfer vali baath kaise aagayi.. please sir aap hi kuch kar sakte hai.. Jab meri padayi poori ho jaathi hai tab mai apne pariwar ki zimmedari lelungi aur phir unka transfer ho tho mai nahi rokhungi.. jaanthi hu sir ki last moment par changes karna mushkil hai par please try kijiye.. please sir
DIG: lekin virat tho aaj charge handover karne vala hai sai... Teek hai mai dekhtha hu... Lekin ek Sharath par..
Sai: jo bhi Sharath hai manjur hai sir..
DIG: pehle sun tho lo.. sune bina jabaan de dhi.. aur Sharath yeh hai ki
Virat se jagda math karna...
Sai: sir.. mai jagda nahi karthi unse..
DIG: lagtha tho nahi hai... Sai dekho virat ek sincere aur passionate police officer hai... Aise officers kam hothe jinhe hume Sambhalke rakhna padtha hai... Usne bhohot saare cases solve kiya hai... Aur aise officers ka performance tabhi improve ho sakta hai jab uski personal life mein koyi tensions na ho.. aur uska personal life mein crucial role uski patni yaani ki tumhare hai Sai... Jab tum ghar mahol shaanth bana logi tab uska man shaanth rahega aur apna kaam aur jyada ache se kar payega... Mai yeh nahi keh Raha ki tum kahi galath ho .. samajh rahi ho na mere baath..
Sai: ji sir... Is baath ka dyaan rakhungi...
DIG: Good... Ab ghar jau mai transfer ka matter dekhlunga..
Sai: thank you sir...Sai leaves to home.... Feeling bit relieved that her virat sir will not go away from him now... A few minutes after sai's departure virat meets DIG sir...
Virat: jai hind sir...
DIG: jai hind... Virat... Tum yaha..?
Virat: sir... Voh mera transfer... Uske baare mein poochne aaya tha...
DIG: tumhara transfer approve nahi kar sakta virat...
Virat(in shock): par kyu sir... Kal tho aapne haa kaha tha...
DIG: Virat... Agar yeh transfer tum poore dil se maanga hotha tho de detha lekin tum apne personal life mein issues ke vajah se lena chahte ho... Yeh galath hai..
Virat: aapko....
DIG: Sai aayi thi... Request ki thi ki tumhara transfer rokh dhu...
Virat: par sir...
DIG: dekh Virat... Jo bhi issues hai voh solve karlo...tab tak Tumhara transfer hold par rahega... Okay?
Virat: yes sir...
DIG: u can leave..
Virat: jai hind sir...
Virat comes out of the station... On his way he kept thinking...
Virat(in mind): kyu kar rahi ho sai... Mai tumse dhoor tumhare liye tho jaa raha hu... Tum mere liye kuch feel nahi karthi lekin mai... Mai tumse pyaar kartha hu... Mujhe andhar se yeh baath khaye jaa raha hai ki tum mereliye kuch mehsus nahi karthi... Aur tum humare risthe ko ek mauka dene ke baare mein soch bhi nahi paa rahi ho.. agar mai tumhare saath raha tho mai tumse doori nahi bana patha.. meri ummedhe is risthe se tumse badtha hi jayega... Aur tumse dhoori banane ke koshish mein tumhe hurt kartha rahunga...
His flow of thoughts broken as he reached his house... He rushed furiously into the house and started shouting.." sai... Sai..."
All the family members are present in the hall except sai who is in her room... Ashwini asks him...
Ash: kya hua godu... Itna gusse mein kyu hai... Aur sai.. sai ko aise kyu bhula raha hai...
Virat: aai mujhe usse baath karni hai...
Ash: tho apne kamre mein jaakar karlena godu...
By then sai comes down...
Sai: virat sir... Aap... Chilla kyu rahe the.. kuch hua kya...
Virat: kuch hua? Mujhse yeh sawal kar rahi ho..? Tumhe nahi patha ki kya hua..?
Sai then realises that he is talking about her meeting with DIG sir..
Ninad: kya hua batayega bhi...
Virat: sai ne aaj DIG sir se mili.. aur mera transfer rokh diya...
Ninad: kya... Aur sai ke kehne par DIG ne transfer rokh kaise diya...
Sai: voh isiliye baba.. kyunki transfer un logon nahi balki virat sir ne kudh apply kari... Aur hum sab se yeh keh rahe the ki inka transfer order aya hai..
Bhavani: kya... Virat yeh sab kya chal raha hai..?tum kudh ghar se dhoor kyu jana chahte ho...? Aur humse aise jhoot bholne ka kya matlab hai..?
Samrat: virat tujhe nahi lagtha ki tum bhi vahi galthi repeat kar raha hai jo maine ki thi..
Sonali: Virat... Humse gussa angry naraaz ho kya?
Sai: yeh aap logon se nahi balki mujhse naraz hai sonali kaku.. isiliye tho yeh mujhse is ghar se dhoor jaana chahthe hai...
Virat:(angry)haa.. naraz hu... Kyu mereliye cheeze mushkil bana rahi ho..? Maine kaha tha tumse mere personal matter mein tum kuch nahi karogi... Phir kyu DIG sir se request ki aur meri transfer rukhva diya... kyu kar rahi ho yeh sab sai... Kyu?
Sai: Kyunki yeh aapka ghar hai . Aur yeh aapka parivaar hai... Agar kisiko jaana hai voh mujhe hai aap nahi...
Virat: bas sai... Please mai yeh baath sun sunke tak chuka hu... Aur yeh baath ache se yaadh rakhna ki kanuni taur par tum meri patni ho aur mera ghar parivaar tumhara bhi hai... Deal ki shaadi hai jaantha hu... Lekin jab tak deal hai tab tak Keliye sahi tum is ghar ki sadasya ho... Aur ek or baath yaad dhila dhu tumhe ki jagtap ka katra gaya nahi hai... Tumhara hostel mein rehna safe nahi hai... Yaha rahogi tho parivaar ke kuch log hi sahi tumhara dyaan rakhenge tumhe protect karenge... Deal katam hone ke baadh tum jo chaho voh hoga(folding his hands in front of her) lekin tab tak yeh ghar chodne ki baath math karna...
Sai: tho aap bhi ghar chodke math jayiye... Yahi rahiye...
Virat: yeh faisla tum nahi balki mai karunga sai... Sabko keh raha hu ki yeh transfer ka faisla mera tha kisi par gussa hu isiliye nahi jaa raha hu... Apne man se jaana chahtha hu... Aur mai jaakar rahunga... Is baar tum(pointing towards sai) bhi nahi rokh paugi...
He leaves from there leaving everyone in shock... Everyone has a same question why is he so desparate to take transfer... Sai looked at him leaving her... Tears flowing down her eyes... She trying hard to control them... She looks at everyone and without uttering a word she leaves...
The only happy face seeing our Sairat fight is pakhi's but she is hiding her happiness ... If samrat sees her happiness then he would surely doubt her and asks hundreds of questions...
Sai couldn't go to her room... She sat in the balcony crying a lot and letting her pain out... Samrat, Mohit ashwini and shivani are watching her from a distance... Ashwini and shivani wants to go and talk with her... But Samrat stops them...
Samrat: aap jayenge aur poochenge voh nahi batane vali hai.. itna tho samajh gaya hu sai ko... Maami..maasi aap rukhiye mai aur Mohit baath karenge... Kyunki use kuch bhi poochna nahi hai sirf batana hai... Taaki voh kudh apni problem ko solve karne ki tareeke doond paye...
Samrat and Mohit goes to her and sits on either side of her... She wipes out her tears and giving a fake smile...
Mohit: hume patha hai vahini ki smile nakhli hai... Phir kyu de rahi hai aap..
Sai: nahi Mohit bhaiya.. aisa kuch nahi hai... Mai teek hu... Ro nahi rahi hu...
Samrat: humne tho kuch poocha hi nahi... Tum kudh jawab diye jaa rahi ho... Dekho sai... Hum jo bhol rahe hai voh dyaan se sunna...
Mohit: vahini... Aap abhi bhi deal vaali baath par atki hui hai... Ek baar voh deal ka chapter apne life se hato dho aur dekho ki kya alag hai aapke rishthe mein...
Samrat: aur virat ke baathe samajhne ki koshish karo sai... Jab tak tum kudh samajhna nahi chahthi tab tak tumhe sab kuch confused lagega... Tum kudh apne feelings ko parakhna hoga... Tabhi tumhare man mein jitne bhi sawal hai uske jawab mil sakthe hai... Agar tum kudh apni feelings se muh pherlogi tho koyi kuch bhi kahe tumhe samajh nahi aane vala...
Sai... Samajh rahi ho na humari baath...
Sai nods yes...
Sai: lekin... Voh ghar chodkar kyu jaa rahe hai... Samrat dada apke baath manenge... Please aap ek baar kehke dekhiye.. please...
Samrat: Sai... Tum rokhna kyu chahti ho use... Jaane dho agar voh jaana chahtha hai tho...
Sai: aise kaise jaane dho..
Mohit: vahini agar dada dhur rehna chahthe hai tho aap kyu itna dukh ho rahi hai jab ki Hum sabne accept karliya hai...
Sai: dukh kyu nahi hoga... Mai nahi reh paungi unke bina is ghar mein..
Samrat and mohit share a smile that their thoughts about sai having feeling for Virat is right... Sai then realises what she said...
Sai: mera matlab hai ki adath ho gayi hai... Haa...
Samrat: Samajh gaye hai... Lekin tum humare baathe bhul math jana try jarur karna... So jau ab jaake... Good night
Mohit: good night vahini...
Sai: good night...
They leave and sai starts thinking...
Sai: itna tho pata hai ki virat sir ki adath hogayi hai mujhe... Kya yeh sirf aadath hi hai ya kuch aur...I hope you guys liking it... Please drop your valuable comments and votes... Here I am not gonna add any festivals as I don't have any ideas... Thanks for supporting
![](https://img.wattpad.com/cover/283798299-288-k631704.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
Virat's transfer drama
FanficThis story revolves around Virat transfer drama in my style of writing... This OS will also end with confession but in a different style... peep in to join the story