Part 9

717 96 37
                                    

Vir :- kyu na kahu....jab ki ye baat tune khud Dr.malini se kahi thi....

Purvi :- ye...ye aap kya keh rahe hai.... Hum... humne aisa kuch nahi kaha....aur hum kyu nahi chahenge bachha...ye humara bachha tha....aur aapko ye galti lagi thi...hume nahi...iss bachhe mein humara sansar basa tha Mukhiji....aur aap...aap keh rahe hai ki hum ye bachha nahi chahte the....
Dr.malini ko hume ye kaha tha ki hum iss bachhe ko palenge...kyu ki unhone humse kaha tha ki...hum ye bachha gira de...kyuki unhone kaha tha ki hamare shariri mein khoon ki kami hai....aur agar ye bachha hum palenge to humari Jaan ko khatra ho sakta hai....aur aap....aap ko koi bhi aake kuch bhi kahega to aap mann lenge....
Mana ki aapko ye galti lagi thi...pr aapko zara sa bhi vishwas nahi tha....itne mahino mein kya hum aapka vishwas tk nahi jeet paye mukhiji....

Aapne ek baar bhi nahi socha... Ki jo aurat Juhi manas ko apne bachho jaisa pyaar karti hai...woh apne khud k bachhe ko girane ki baat karegi....
Khair chodiye...hume iss baare mein ab koi baat nahi karni....kyuki jo aadmi apni patni pe...nahi nahi ek molkki jo uske saath pichle 7 mahino se reh Rahi hai....raat din uska kyal rakhti hai...uske aur uske bachho ki zarurat puri karti hai....jo 24 so ghante uske aas pass rehti hai....use zara sa bhi bharosa nahi hua....
Hum hi the pagal ko ye samjh te rahe ki...pyaar karna ya na karna woh aap pe hai...pr itne dino mein humpe aapko bharosa to hua hi hoga...pr nahi...aap kyu hum pe bharosa karenge kyuki hum ek Molkki hai....ek jeeta jagta khilona...jo sabse pyaar karti hai...pr uss se...uss se koi nahi....

Vir :- kis ne kaha ki mein....mein tere se pyaa... vishwas na karta...karta hu...tujh pe apne aap se bhi zyada vishwas karta hu....

Purvi :- nahi mukhiji...agar aap vishwas karte to aaj ye sawal nahi puchte....aapko pata hai....koi bhi rishta sirf pyaar se nahi chalta...use chala ne k liye samne wale insaan pe bharosa karna padta hai....aankh mund k vishwas karna padta hai...aur woh rishta hi kaisa jisme vishwas hi na ho....iss liye ab humne faisla kiya hai ki hum aap se...dur chale jayenge...har roz til til marne se achha hai...hum ek hi baar mein apne aap ko khatam karde...hum ab aur nahi seh sakte....hume aapka nazarandaz karna kisi maut se kam nahi hai... mukhiji...agar aapko woh sab galti laga...to fir thik hai...hum ab aapse nahi hi kuch kahenge...aur na hi koi safai mangenge...hum chup chap yaha se...aap ki nazro se dur chale jayenge...taki aapko woh galti yaad na aaye....

She wipes her tears...vir was numb...she was going...but vir holds her from her shoulder...his eyes were moist..anger and guilt..

Vir :- maine tujhse kaha hai na...k manne chhor k tu kahi na jayegi...

Purvi :- aapne hume chhor diya uska kya...uska kya mukhiji...

Vir :- maine tujhe nahi chhora...bas mein kuch samjh nahi pa raha tha ki...kya hua...kyu hua....kuch na samajh aaraha tha tb...tu manne ek baar apni baat rakhne ka mauka to de...

Purvi :- ab kya baaki reh gaya hai mukhiji....ab kya kehna hai aapko..itna sab to keh diya aapne....

Vir :- dekh aisa na hai....uss din jab maine hum dono ko ek saath dekha...tb mein chonk gata tha... manne kuch bhi yaad nahi tha...ki mein kaise ghar aaya...kab tere se mila...kb woh sab....manne tb kuch bhi yaad na tha....manne yo sab tere saath nashe mein kiya....meine tujhe thes pohchayi...isi liye mein tujhse nazre milane se darta tha... Mein tanne chhot pohchana nahi chata tha....pr manne kuch waqt chahiye tha sab samjhne mein...woh sab mere liye bhi aasan na tha... uss din k baad tu mujhse dur rehne lagi...nazre churane lagi...isi liye mujhe laga ki woh sab Teri Marzi k bina hua tha.... Ha meine uss din tere se apni mann ki baat ki thi...pr meine tb tere dil ka haal to pucha hi na...mere liye tujhse dur rehna.... kitna mushkil tha woh sirf mein hi jaanta hu....(he cupped her face....tears were in his eyes) bawari manne laga ki tu mujhse uss baat ko leke naraz....aur hona bhi chahiye....kyuki tab meine Kiya bhi waisa hi tha....

You're the pain You're the cureWhere stories live. Discover now