Part 4

1.5K 117 22
                                    

Ammi:- matlab tune usse mana kardiya?

Hm:- ji

Ammi:- haseena aaj itna samjhaya tujhe. Phir bhi mana kardiya?

Hm:- ammi hum kya kare? Nahi hota humse. Itne saal se koshish kar rahe hai Aditya ko bhulna ka. Nahi kar paa rahe hum. Kitni koshish Kiya hai humne par har kadam par haar jaate hai. Kitni bhi koshish karle par nahi bhula sakte usse...(emotionally)

Ammi:- mai jaanti hu haseena ki tu aaj bhi usse pyaar karti hai par....

Hm:- nahi ammi, hum nahi karte usse pyaar. Ha hum maante hai ki hume usse bhulana mushkil hai par hum usse pyaar nahi karte.

Ammi:- Haseena ek baat bolu? Mujhe jab Anubhav ke baare me sab pata chala na tab mai bahut khush hui. Kyunki shayad voh pehele ladka tha aaj tak jo maine dekha ki usme voh sab tha jo tujhe tere life partner me chahiye. Desh bhakt hai, police wala hai. Bahut achha ladka hai. Bas ek baar...mere liye bas ek baar mile usse. Agar tujhe Anubhav pasand nahi aaya ya kuch bhi problem laga na tujhe mai vaada karti hu mai teri shaadi ki baat kabhi nahi karungi. Aur kabhi tujhe shaadi ke liye nahi bolungi. Bas ek baar isse mil le.

Hm thought for sometime:- theek hai ammi. Hum taiyaar hai unse milne ke liye. Jabhi bhi aapki marzi aap unke maa se baat karke unhe bula lijiye ya hum chale jayenge. Jaisi aapki marzi....(smiled weekly but wholeheartedly)

Ammi happily:- theek hai. Mai kal hi Anubhav ki maa se baat karke Milne ka sochti hu. Bas tu kal achhe se ready rehna. Baaki sab mai bata dungi tujhe.

Hm:- theek hai ammi...good night (hugged her)

Ammi:- good night beta

Hm left...

Ammi in mind:- mai jaanti hu haseena jo tere saath hua hai usse bhulana bahut mushkil hai tere liye. Bhagwan kare aaisa kisi ke saath na ho. Par mujhe Anubhav sach me bahut achha ladka lag raha hai. Aur shayad tujhe bhi pasand aajaye. Bas ek baar tu ha khede.

Next day...

Ammi:- haseena taiyaar hogaayi?

Hm:- nahi ammi samaj nahi aa raha kya pehene.

Ammi:- saari pehen le na.

Hm shocked:- saarriiiiiii?

Ammi:- ha toh, isme itna shock hone wali kya baat hai? Pehen le na.

Hm:- ammi ladka hume dekhne aa raha hai shaadi karne nahi. Hum saari nhi pehene waale. Aap jaanti hai humse saari nahi sambhalti hai.

Ammi:- aaj ke liye pehen le na haseena. Aur jaldi taiyaar ho voh aate hi honge.

Bell rang

Ammi:- lo, lagta hai aa bhi gaye. Chal jaldi taiyaar ho aur aaja....and left

Hm:- am..ammi...ammi...(but she left)

Hm:- kya musibat hai.
.
.
.
.
Maa, Ammi and As was sitting on sofa. The ladies were busy talking but As eyes were searching haseena.

As:- an..aunty. Voh haseena ji kab aayengi?

Ammi:- ha voh aati hi hogi...lo aagayi.

As looked where ammi was pointing. Anubhav's eyes got awstruck looking at how gorgeous she was looking. A lump started forming in hi throat. A beautiful royal blue saari exposing her milky waist. Her facial expression shows that she was a bit uncomfortable wearing a saari and couldn't handel much but still trying best. She was looking dammm beautiful as well as cute. His heart fluttered looking at her.

Maa whispered: ekdam chaand ka tukda hai (smilingly)

As: (in low voice, lost) nahi, pura ka pura chaand hai.

Maa heard and smiled:- kuch kaha?

As came out of his thoughts: ha? Ha..nahi. nahi toh.

Maa smiled, she was somewhere sure about his feelings for haseena.

Hm:- namaste aunty.

Maa:- namaste beta, betho.

They were having some talks(don't ask me ki kya baate ho rahi thi. Mujhe nahi pata aaise time pe kya baate hogi😂 experience nahi hai😎😂) while As was just smiling and staring at hm.

Ammi:- haseena, tu anubhav ko apne room me lekar ja. Thode der baat karo.

Hm:- ji, aayie....

..........

So yeh part idhar hi khatam hota hai. Remember ki mere story me Anubhav Hindi zaada nahi bolta hai. Ya toh simple Hindi bolega, ya English, ya urdu. Kyunki mujhe yahi teen language aati hai😂 Part 5 aayega parso.

Anuseena: Perfect PeaceWhere stories live. Discover now