Part 1

822 27 5
                                    

Scene starts at a house,
A girl was running with a cloth and a bowl full of cold water in her hand. She came and applied the wet piece of cloth on a woman's forehead. The girl was revealed to be Lakshmi and the woman was her mother.
Lakshmi: Maa kitni baar bola hain maine tujhe ki mera intezaar mat kiya kar aur time par khana kha kar dawaiyaan bhi time par le liya kar lekin tu toh meri baat maanti hi nahi hain.
Lakshmi's mother(in a weak voice): Mujhe maaf kar de puttar. Meri wajah se tujhe itni pareshaani uthani par rahi hain.
Lakshmi: Aisi baat nahi hain maa.....lekin tujhe apna khyaal rakhna chahiye na? Agar tujhe kuch ho jaata toh?
Lakshmi's mother(in a weak voice): Toh kya hota? Main tere baba ke paas jaldi chali jaati.
Lakshmi: MAA!!please aisi baatein mat kiya kar. Agar tu bhi mujhe chod kar chali jaaegi toh main kiske bharose zinda rahungi?
Lakshmi's mother(chuckles): Isiliye bol rahi hoon ki shaadi kar le. Tujhe tera humsafar mil jaaega.
Lakshmi: Maa subah subah na yeh faltu baatein mat kiya kar. Accha tu aaj apna khyaal rakhna.......shanta tai kabhi bhi aa jaaegi. Main office jaa rahi hoon.
Lakshmi's mother: Thik hain puttar.
Lakshmi left.
On the way,
Lakshmi: Aaj toh tiffin bhi nahi liya......ek kaam karti hoon ek bauli croissant le leti hoon.
Lakshmi parked her scooty and went to the shop. After buying the needed Lakshmi came out only to find that a car has crashed her scooty.
Lakshmi: Hey bhagwan yeh kya kar diya?
She angrily went to the car and knocked on it's window.
Lakshmi: Oo Mr gadi chala rahe ho ki hawaii jahaz? Apke paas car hain toh iska yeh matlab thodi na hain ki aap baki saare chote vehicles ki taraf dekhenge hi nahi?
The person came out from the car. He was revealed to be Rishi.
Rishi: I am really sorry mam......mujhe zarasal ek call aa gaya tha aur jab main usse pick karne gaya tab maine saamne dhyaan nahi diya aur apki scooty ki yeh halat ho gayi. Sorry.........
Lakshmi: It's ok. Lekin agli baar se dhyaan rakhna.
Rishi Sure. Main aapko kahi chod doon?
Lakshmi: Nahi uski koi zaroorat nahi hain main chali jaaungi. Office pass hi main hain.
Rishi: Ok.......btw what is your name?
Lakshmi: Mera naam Lakshmi hain.
Rishi: Oh nice to meet you Lakshmi jii......I am Rishi.
Lakshmi smiled.
Lakshmi: Bye.
Rishi: Bye.
Lakshmi left besides Rishi.
Lakshmi came to Oberoi Radiant.
Scene shifts to Oberoi Mansion.
Rishi came in and embraced Virendra in a hug.
Rishi: I missed you dad.
Virendra: I missed you too beta.
Rishi: Jaante hain dad aaj mein ek bohot hi sweet ladki se mila.
Virendra: Accha? Kya naam hain uska?
Rishi: Lakshmi naam hain uska........
Virendra: Lakshmi bajwa?
Rishi: Poora naam nahi pata lekin aap kyun pooch rahe ho?
Virendra: Kyunki hamare office mein bhi ek bacchi hain Lakshmi Bajwa naam ki. Meri P.A hain.
Rishi: Oooo.......agar hua toh it will be a coincidence.
Virendra: Haan. Accha chal aaj tu aaram kar. Kal se office jaana.
Rishi: Kyun? Nahi nahi mujhe aaj hi jaana hain.
Virendra: Lekin.......
Rishi: Lekin vekin kuch nahi.......main chalunga aap ke saath aaj hi office.
Virendra: Thik hain......jaisi teri marzi. Hum thodi der mein niklenge.
Rishi: Ok dad.
Virendra had his breakfast and then they both left for the office.
Scene shifts to Oberoi Radiant.
The receptionist: Aaj Virendra sir aaye kyun nahi?
Lakshmi: Sir aaj thodi der se aayenge kyunki unka beta aa raha hain aaj isiliye.
The receptionist: Oo...ok.
After sometime Rishi and Virendra entered.
Receptionist: Good Morning sir.
Virendra: Good Morning......Lakshmi kaha hain?
The Receptionist: Vo apne cabin mein hain.
Virendra: Ok send her to my cabin.
The Receptionist: Sure sir.
The receptionist informed Lakshmi about the same.
Scene shifts to Virendra's cabin,
Virendra: Aaaj se yeh sab tera.
Rishi smiled.
Lakshmi knocked on the door.
Virendra: Come in.
Lakshmi: Good Morning sir,aapne mujhe bulaya?
Virendra: Haan Lakshmi......aaj main retire ho raha hoon. Meet my son Rishi Oberoi.
Rishi stood up and was happy to see Lakshmi there.
Lakshmi: Aap?
Rishi: Arrey Lakshmi tum yaha? Matlab mera andaaza sahi nikla. Tum dad ki P.A ho?
Lakshmi: Haan. Welcome sir.
Rishi: Thank you miss Lakshmi.
Virendra: Toh Lakshmi aaj se tum Rishi ki P.A ho.
Lakshmi: Ok sir.
Virendra: Accha ab main chalta hoon. Kaam acche se karna aur apna khyaal rakhna.
Rishi: Jii dad.
Virendra left.
Rishi: So miss Lakshmi.....you are my P.A right? So tell me something about yourself.
Lakshmi: Sir my full name is Lakshmi Bajwa. I live in Poornawati Chaul and am the only one earning in my family.
Rishi: Ok so who are in your family?
Lakshmi: My mother only.
Rishi: Oooo.......ok......so now tell me that are there any meetings today or not.
Lakshmi: Yes sir today you have only one meeting with Mrs. Lalita Singhania.
Rishi:Ok Lakshmi. You can leave.
The first day of the office went well for Rishi.
Rishi came back home and told the same to Virendra.
Virendra and Rishi was having their dinner when Virendra spoke.
Virendra: Accha Rishi tera shaadi ke baare mein kya khyaal hain?
Rishi: Kiski shaadi dad?
Virendra: Teri aur kiski.
Rishi chocked.
Rishi: No way dad.......mujhe inn sab cheezon mein koi interest nahi hain. Main single hoon aur khush hoon. Main apni life shaadi karke khatam nahi karna chahta.
Virendra: Lekin kyun beta?
Rishi: Kya kyun dad? Aaj kal ke zamane mein kisi par bharosa nahi kiya jaa sakta hain. Aur jaha bharosa nahi waha pyaar nahi. Aur pyaar ke bina shaadi ka koi matlab nahi hota hain. Aur maan lijiye ki maine kisi se shaadi kar bhi li toh iski kya guarantee hain ki vo ladki mujhse pyaar karegi aur mere paison se nahi?
Virendra: Lekin beta.......
Rishi: Nahi dad please don't force me.
Saying this Rishi left. Virendra sighed.
Precap: Rishi agrees........1 year contract.

Sun Raha Hain Na Tu........(Completed)Where stories live. Discover now