Haseena came from washroom!
She saw mamiji was sitting their!She smiled thinking about the change in mamiji!
Sp-Are haseena tum a gyi ao yahan betho dekho main tumhare liye fruits lai hun, chalo jaldi se khaalo!
Haseena-Are par mamiji hame abhi khane ka bilkul man nhi hai!
Sp-Ese kese man nhi hai, tumhe khana padega apne liye nhi toh apne bacchon ke liye kha lo thoda!
Hs-Lekin ...
Sp-Lekin wekin kuch nhi main apne potr ya potiyon ko bilkul bhi bhooke rehne nhi dungi balki aj toh main unhe apne hathon se khilaungi.
Hs-Accha thik hai(she said smilingly)
Sp starts feeding her.
Sp-Tujhe pta hai haseena hame ab kitna accha lag rha hai ki tune hame maaf kar diya!Aur kuch din baad is Ghar main saari khusiyan aengi aur bohut se functions honge aur kitne mehman aenge ,bohut mazza aega!Aur fir is Ghar main bhi bacchon ki rone ki awaz bhi sunai degi!
Hs-Mamiji functions kyun!(she asked cofusingly)
Sp-Aa. ..ma..matlab teri god bharai hogi phir bachoon ke janam ke baad naam Karan ki Puja hogi.
Hs smiled happily!
Sp-Aur ham kitne bure the ki inko tab takilf de rhe the!(She told pretending to be guilty)
Hs-Koi baat nhi mamiji galtiyan kabhi kabhar ho jati hai!App ab ese udas mat hoiye!
Sp-(in mind) Actually galti toh meri thi jo main inko tab marne chali thi,ab main inko marungi bhi aur haseena ko pta bhi nhi chalega!.
Sp-Hn aab udas aur nhi hongi main ,ab toh main Inka bohut khayal rakhungi!(caressing he baby bump)
After some time menka and lalit entered into the room!
Lalit-Are wah mami app haseena ko fruits khila rhe hain khilayie, hame hamara bhatija ya bhatiji bilkul anubhav aur haseena ki tarah cute chahiye!Kyun sahi kaha na maine menka!
Menka-Hn bilkul!
Haseena-wese bhaiya bhabhi app bag leke kahan ja rhe hain!
Menka-Woh haseena meri behen ki shaadi thik ho gyi toh mammi aur papa hame bout yaad kar rhe hain toh ham wahan ja rhe hain!
Hs-Thik hai bhabhi enjoy kijiega byy!
They left not before giving a thumbs-up sign to mami which went unnoticed by haseena!
After some time!
Misri comes running into the room!
Misri-Haseena haseena suno mujhe abhi na urgent Delhi Jana hoga papa ki tabiyat achanak kharab ho gyi!Par mujhe tumhe ESI halat akele chodne ka man bhi nhi kar rha!
Sp-Are misri tum chinta kyun kar rhi ho main hun na main haseena ka bohut acche se khayal rakhungi!
Hs-Hn misri tum araam se jao aur jaake uncle ji ke baare main batana aur unka dhyan rakhna aur apna bhi!
Misri-Hn!Byy!
She left giving mami a devilish smile.
Sp-chalo haseena tumhara khana ho gya ab main niche ja rhi hun aur tum bhi aram Karo!
After some time haseena went to kitchen!
Sp-Haseena tum kitchen main kya kar rhi ho!
Hs-Woh main ham dono ke liye dinner bna rhi thi!
Sp-Maine tumhe mna kiya tha na phir bhi!Chalo ab jao tum sirf aram karogi saara kaam main karungi!
Hs-Lekin mamiji...
Sp-Kuch Lekin wekin nhi main hi karungi!
In the room!
Haseena was resting when a video call came from his love of life!She immediately answered it!
As-Kya kar rhi hai meri jaana!
Hs-Aapki jaana apko Miss kar rhi hai !(grumpily)
As-Awww!App hame Miss kar rhi hain?Sirf app ya hamare babies bhi apko Miss kar rhe hain!Wese apko woh dono jyada pareshan toh nhi kar rhe!
Hs-Nhi hamare bacche toh hamare tarah bilkul shant hai,woh hame bilkul bhi pareshan nhi kar rhe!Hn par apko bohut Miss kar rhe hain!Ajajye na jaldi!
Anu-Ajaenge baby!Jald aenge hamari badi baby ke pass aur hamare small babies ke pass!Aur baaki sab kese hain?menka, lalit, misri??
Hs-Menka aur lalit toh unki behan ki shaadi main gye hain aj aur misri ke papa ka tabiyat kharab hai toh woh bhi gyi hai!
As-Matlab app ghar par Akeli hai??😮😮
Hs-Nhi mamiji ayi hain na woh hamara bohut acche se khayal rakhti hain!
As-Accha woh ayi hain!Kahan hai woh baat karaiye na hamari!
Hs-Woh kitchen main hai , rukiye ham niche jate hai!
As-Nhi nhi rukiye app niche mat jaiye ham unse baad Mai baat kar lenge!
After that they talked for some time and anubhav endup the call!
Meanwhile in the kitchen!
Sp-Sun Puja(their maid) ye le paise aur hn sun abhi toh aur kaam pe mat ana , hn lekin tujhe tera Paisa mil jaega har mahine!
Puja-Par mamiji didi toh ummid se hai toh woh akele Ghar ka kaam kese karengi!
Sp-Are main hun na main sab kar lungi!
Puja-Lekin mamiji app akeli kese karengi aur wese hame aapka irada kuch thik nhi lag rha app didi ke pet se hone ka fayada uthake unke bachon ka koi nuksan toh karengi?
Sp-Ee jyada mun mat chala jitna Maine bola hai itna kar,aur na jyada didi mat kar teri didi meri Bahu hai uske sath jo karna hai main karungi!Ab tu ja yahan se!
Puja left!
In the room!
Haseena-Puja jara ek glass pani lana!
Sp brings water for her!
Hs-Mamiji app kyun Pani layi Puja kahan hai?
Sp-W...wo. .woh hn Puja ki bhabhi ka nawa mahina chal rha hai toh woh boli ek mahine baad aegi,!
Hs-par abhi Ghar kaam koun karega ham toh ese main jhadu pocha nhi kar sakte!Ham na ek nayi maid rakh dete hain ek mahine ke liye!
Sp-Nhi new maid kyun main hun na!
Hs-Mamiji par app kese karengi?
Sp-Kyun nhi kar sakti apne ghar pe bhi toh main hi karti thi na!Aur wese bhi ek mahine ke liye koi maid raazi nhi hogi aur agar raazi bhi ho gyi toh kya bharosa tere sath kuch galat na karden!Nhi nhi main bacchon ko leke koi risk nhi le sakti!
Hs-Mamiji app kitna sochti hai hamare baare main!Accha thik hai nhi rakhte maid but app promise kijiye ki app ko jab bhi meri jarurat hogi app hame bulaengi!
Sp-Hn meri maa!Tu bas araam kar aur inka khayal rakh!
Haseena smiled!
YOU ARE READING
Anuseena-Critical hapiness phase!
FanfictionWhat will happen when the most happiest phase of anuseen's life will become critical due to a 3rd angle ! How will they face this! Peep into the story to know more!