jawaab

1.3K 35 3
                                    

One of my dear readers have answered the question Which I posted yesterday.

Thanks dear user90775424   (Sanju).He/She have answered it correctly.♡

Just a correctionBali is also termed "Vaali"(hamare 10th class ke telugu textbook mein na nondetailed part poora ramayan tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Just a correction
Bali is also termed "Vaali"(hamare 10th class ke telugu textbook mein na nondetailed part poora ramayan tha..ismein vaali bhi bola jaatha tha)
Brother of Sugreev
.
.
.
.
Just an addition to it
.
.
Srikrishna ne dwaraka ko paala tha uske baadh unhe patha chala ki gandhari ka shraap sach mein badhalne waali hai..isliye unhone ek sandeshkaar ko Hasthinapur bheja ..aur woh vann ke liye nikal pade aur jaisa upar comment mein tha..krishna ki mruthuyu hogayi..
.
.
Yaha hastinapur mein Arjun ko patha chala aur phir weh dwaraka pahunche..vaha vasudev se patha chala ki dwaraka jaldh hi samudhra mein doobne waali hai..isliye arjun ne poori dwaraka ko kaali karwaaya..sabi ko lekar indraprasth  nikal pade..jaise hi dwaraka kaali hhyi..woh thuranth samundhra mein doob gaya
.
.
.
.
Aapko patha Dwaraka nagri bahuth hi sundar nagri thi..pracheen nagriyo mein se ek dwaraka thi jiska nirmaan Vishwakarma ne kiya(hamare basha mein bole tho he was a great engineer)...one of the seven holy cities..Mathlab srikrishna ne iska nirmaan aisa karwaaya ki koyi bhi pareshaani na ho jeene ke liye..nagri ke chaaro aur bahuth saare dwaar the(doors) isliye dwaraka pada hai naam aisa bhi bola jaatha tha..Ismein advanced technology ke saath drainage system parks..forts...etc etc se construction huyi thi poora sona aur diamonds ke saath..isliye city of gold bhi kaha jaath hai isse....ye nagri samudhra ke beech nirmith thi..12 yojanas (12×1.6kms) ithni bhoomi lord of ocean se krishna ko mili aur nagri ka nirmaan hua.. shraap ki wajah se ye samudhra mein vileen hogaya..saakshaath bhagwaan bhi shraap se bach nahi paaye..poora yadav kul ka anth ho chuka tha..
.
.
.
.
2001 mein  shaayadh samudhra mein khojne se ek nagri ki avshesh mile the..jo bilkul dwaraka city ke dimensions se match huyi..bahuth saari barthann..deewaar ..poore avshesh mile the....par patha nahi govt ithni dhyaan kyu nahi dhi...ek archaelogist ne apni interest se ye find out kiya ki dwaraka 1443 mein submerge huyi thi ocean mein...Samudhra mein mili ye avshesh bhi lag bhag yahi samay ki thi.. .foreigners archaelogist bolthe the ki 1700 se pehle hamare india poori dark mein thi mathlab no civilisation..agar hum ye prove kar sakthe hai ki jo nagri mili hai ocean mein woh dwarka hi hai...tho hamari india ki civilsation will be the oldest civilsation and foreigners ka muh bandh ho jaatha.. ye bahuth garv ki baath banthi kyuki hamari civilisation old saabith hogi mathlab hamari india sabse pehle hi developed thi ye prove kar paathe..ek aadmi ne estimation lagaya ki kithna karcha hoga ki ye nagri dwarka hai ye prove karne ke liye..par govt ne iss bath par dhyaan nahi dhi..14 crores thi shayadh woh amount..par yahi govt agar trump ya phir koyi foreign minister aaye tho uss se bhi zyaada karcha karne mein ek min bhi nahi sochthi..😑
.
.
.
Ye sab gyaan meine utube se praapth ki hai..agar acha laga tho vote and comment agr kuch galath hua tho boldho..par ye goosebumps waali baath lagthi hai mujhe ..ek nagri doob gayi aisa sirf books mein likha tha aur aaj jab avshesh milrahe hai..mathlab hamare ramyan mahabharath and all puranas are true..
.
.
.
Iss mein ye bhi patha chaltha hai ki Ramyan pehle huyi uske baadh mahabhaarath..kyu?
.
.
.
Okay bye
-Love Nikki

Raja Rani♡ Sidnaaz(completed)Where stories live. Discover now