.
.
What do you think?God exists?
Bhagwaan sach mein hai ya nahi?
.
.
Mujhe bhi nahi patha...par ek baath bolna chaahungi...
.
.
Hum iss dharthi pe kaise aaye..obviously hamari maa hume janam dhiya isliye..mathlab hamari mumma hamari bhagwaan hai...jiski wajah se hum hai..teek waise hi iss dharthi ka kisne create ki hogi obviously there could be some positive energy or some energy that led to creation of this wonderful universe...
.
.
.
Ab iss energy ko kuch log bhagwaan bolthe hai..ab woh hai ya nahi hum nahi jaanthe koyi bi nahi jaantha hum prove kar bhi nahi sakthe..
..
.
Hamare jo parivaar hai kiski dhum pe chalthi hai..?papa mumma ya phir koi guardian jo apni parivaar ko protect karke ek zimmedhaari ki tarah letha hai..poori parivaar ko woh ek guardian hai jo chala raha hai..woh ek bharosa hai unhe jeene ka..unhe kuch bhi hua tho woh guardian hi zimmedhaari lega..hai na..?
.
.
Teek waise hi ye poora universe ko bhi ek bharosa chahiye ki hame bhi koi chala raha hai...woh hai ya nahi..that we r not sure of..par ek ehsaas hai ek bharosa hai ki hume kuch hoga tho woh sambhaal lenge..ek bharosa hai..ek tharaf se hum darthe hai kuch galath karne se ki woh bhagwaan hame saza na dhe..aur dhossro ki madhad bhi kar dethe hai ki woh bhagwaan hume acha kare....jo hai ya nahi usko hum hai bolke maankar chalthe hai..socho agar woh ek bharosa jiska naam bhagwaan hai woh nahi hai tho kya hoga..hume kisika bhi dar nahi hoga..crimes badthe jaayenge.achayi buraayi kuch nahi hoga..jo aadhmi karega wohi sahi hoga..kyuki koyi guardian nahi hai..dekhne wala nahi hai ..punishment dene waala nahi hai..tho crime rates badenge..na achayi na burayi(shaayadh achayi burayi shabdh bhi nahi honge)..kuch bhi karloge..
.
.
.
.
.
Bhagwan hai ya nahi..par hume ek bharosa hai ki koyi tho watch kar raha hai..aur hum isliye darthe hai....kuch bura karne se pehle..ye cheez achi hi hai na....
.
.
.
Positive energy hi bhagwaan hai..jisko jab apnaaye tho achayi burayi ka anthar(difference) dikega...dhoosro ki madhadh karenge..khush rahenge..
.
.
.
Aur jo log nahi apnaathe woh bi teek hai unki marzi hai..
.
.
.
Ha par ek cheez hai..sai baba kaliyug mein hi aaye the na..thretha yug dhwaapar yug mein ramayan mahabharath hua bolke padthe the..sach hai ya nahi..dont know...par sai baba kaliyug mein hi the..jis time gandhiji bhi the shaayadh...woh bolthe the sabka maalik ek hai ....unke baare mein tho suna hi hoga na..kaise miracles kiya unhone...unhone koyi religious difference nahi dikhaayi ..apne saare bhakth ko apnaaya ..unke saath achha kiya..ye ek cheez hai jo mujhe maanne ko majboor kardethi hai ki bhagwaan hai...
.
.
Nothing to offend here!only love ..jo mera dimaag mein aatha hai..meine woh likh diya..sorry for any mistakes♡
.
.
Kuch gadbad baathe ki hogi..par jo mein samjhaana chahthi hoon woh aap samjhe ya nahi batha dijiye comments mein♡
YOU ARE READING
Raja Rani♡ Sidnaaz(completed)
FanficSee how Destiny plays to unite sidnaaz♡ Kaise hamare raja sidharth rani sana se pyaar mein pad jaayenge. You will witness true friendship♡ Friendship ke liye dosth kis haddh thak jaathe hai ye bi witness karoge aap♡