Chapter 68

823 178 6
                                        

Agle din jaise hi Aly office mein jaakar apna phone check karta hai toh Aisha aur Nikki ki Instagram par stories dekhta hai.. it was lit!!! Nikki was right... uski party boht amazing thi!!! Aly missed that awesome party!!! Usse thoda bura lag raha tha.. par woh yeh soch kar khush ho jata hai.. party se zyada important Jasmin hai.. Nikki and Aisha are not married.. so they don't know meaning of being with someone!!!
Tabhi usse Jasmin ki call aa jati hai..
"Hello.. kya huya Jasmin??? Is everything okay??"

"Han.. sab theek hai.. Aly mujhe tumse poochna tha ke kya main bhi apni job start kar loon??"

"Ismein poochne wali kya baat hai?? Ofcourse you should!!!"

Jasmin thodi idhar-udhar ki baatein karke phone rakh deti hai.. aur apne office jaane ke liye ready ho jati hai..
She was happy.. shadi ke baad dobara join karna.. sabke liye mithayi lekar jati hai.. Jasmin ke wahan ache dost ban gye the.. toh sab usko congratulate kar rahe the!!! It seems all new!!!🥂

Jasmin jaise hi apne table par aati hai aur sab theek karke rakhti hai... toh uski nazar apni peeche wale desk par jati hai!! Koi nya member tha!!!
Jasmin uski shakal nahi dekh paati, toh woh usse bula leti hai "hey.. you are new here??"

Woh ladka apni chair peeche ki or ghumata hai, aur Jasmin ko dekhta hai "han...."

He was good looking "hi.... I am Jasmin..."

Woh usse hath milata hai "Hi... nice to meet you Jasmin,  Main Abhinav Shukla!!!"

"Welcom Abhinav!!!"

"Thank you...."
Jasmin usko bhi mithayi deti hai aur reason batati hai..
"Congratulations Jasmin.. tumhe dekh kar nahi lagta ke tum married ho!!!"

"Han.. kyon ke last week hi meri shadi huyi hai!!!" Jasmin replied.

Abhinav smile karke, apne kaam mein busy ho jata hai.. aur Jasmin apne kaam mein!!!
Usse acha lag raha tha itne din baad kuch productive karke!!! Aur dobara se sabko mil kar!!!

Shaam tak sab free ho jate hain..Jasmin bhi cab book karwa hi rahi thi.. ke Abhinav isse genuinely pooch leta hai "kahan ghar hai aapka??"

"Mumbai.... Andheri!!!"

"Wow... mera bhi!!!!" Abhinav said in excitement.

"Seriously??? Andheri mein aap kahan???"

Abhinav usse detail deta hai and that was kind of close!! "Toh main hi tumhe drop kar deta hoon.. if you want to!!!"

Jasmin uske sath nahi jaa sakti thi.. He was new.. koi bharosa nahi kiya jaa sakta!! Woh soch hi rahi thi ke kaise mana karoon!!! Ke Abhinav bol deta hai "I know.. it's hard to believe.. hum itne close bhi nahi.. so problem.. kal milte hain.." itna keh kar woh chala jata hai..
Jasmin ko thoda bura lagta hai.. par ismein kiya bhi kya jaa sakta tha.. toh woh apni cab hi book karwati hai!!!

Aly ki Nikki aur Aisha ke sath achi ban rahi thi.. specially Nikki... she is a party animal!!! Just like Aly.. usse bhi duniya bas 3 kaam ache lagte the.. Khana... party... aur ghoomna!!  Aly uske sath mostly ghoomne ki baatein karta tha!!!
Aisha ki toh un dono se hi achi banti thi.. aaj un teeno ko thoda late ho gya tha.. woh sath mein dinner karte hain.. aur idhar-udhar ki baatein bhi!!!

Aly raat ke 10:30 ghar aata hai.. aur Jasmin uska wait kar rahi thi.. Aly usko aise dekh kar pyar se daant deta hai "tum itna late tak kyu jaag rahi ho?? Sona nahi kya?? Kal ko tumhe office nahi jana kya??"

"Han.. han... ab yeh daantna band karo, fresh ho jao.  Chalo dinner karte hain!!!"
Yeh sun kar Aly confuse ho jata hai because usne toh dinner kar liya tha.. mtlb Jasmin ab tak uski wait kar rahi thi..
Woh chup-chap fresh hokar neeche aata hai aur Jasmin ke paas baith jata hai.. jaise hi woh uski plate lagaati hai Aly mana kar deta hai "sorry, main batana bhool gya.. maine dinner bahar kar liya!!!"
Jasmin thoda gaur se usse dekhti hai "ohhh!!!"

"Han.. par chinta ki koi baat nahi, main yahan tumhe khaate huye dekh sakta hoon!!!"

Jasmin smile karti hai.. aur bina kuch kahe khana start kar deti hai..

"Aaj kaisa raha office mein?? Mazza aaya??"

"Han.. sab theek tha... It was nice!!"

"Mera bhi aaj office mein boht acha din tha.. aur dinner par toh aur bhi chill kiya.. I've told you about that girl Nikki!! She is crazy.. just like me!!!"

"Hmm... tum dono ne dinner kiya!!!"

"Han.. Aisha bhi hamare sath thi.. you know.. Aisha is all cool that she's the Boss... but it doesn't feel like that.. woh boss kam, dost zyada hai!!! 16 floor hain.. par sabse achi uski 9th floor se Nikki... aur 11th floor par main!!! Humse banti hai!!! I like that kind of boss!!!"

"Amazing.. hamare boss toh humse baat bhi nahi karte, kaam ke bina!!! Tumahara thoda Rubina ki wajah se bhi ho gya naa!!!"

"Ho sakta hai... par I am good with people!! Tumhe nahi lagta??"

"Han... woh toh hai!!! You know, aaj office mein ek nya colleague aaya tha... Abhinav!! Woh bhi Andheri mein rehta hai... he was saying to drop me off!!!"

"Really????"

"Han.. par maine mana kar diya!! Because he is complete stranger..."

"Jaisa tumhe theek lage Jasmin... ✌"

Yeh sun kar Jasmin chup ho jati hai.. ke Aly ko strangers se wierd feeling kyu nahi aati?? Nikki ko woh sirf 3 din se jaanta hai.. Aisha ko bhi toh kam samay hi huya hai.. woh itni jalsi kaise ghul jata hai.. usse toh hota hi nahi!!!
Jasmin ka dinner ho gya tha.. aur woh dono sone chale jate hain..
"Aage se wait mat karna!!! So jana..."

"Tum roz hi bahar khaakar aaoge??"

"Nahi.. par tum bhi toh thak jati ho naa, so don't wait... mummy ki trah mera khana microwave mein rakh diya karo!!"

"Phir mujhse shadi karne ka kya fayda??"

"Tumse shadi iss liye nahi ki ke tum raat ko jago, aur rotiyan bel ke khilao!!!"

"Mujhe acha lagta hai, jinse main pyar karti hoon, unki care karna!!!"

"Ohhh... par still Jasmin!!!"

"Chup raho.. aur so jao!!! Main tumahari nahi maan-ne wali..."
Aur woh dono haste huye baatein karte-karte so jate hain!!!

Rishtey (Jasly)Where stories live. Discover now