part 4

76 1 0
                                    

Roshn(in mind)i:kyu sayra kyu?kyu kia tune aaisa. Kyu tune mere pyaar pe sawal uthaya.. Meri zindegi se jyada azeez hain mujhe mera Aman..bht pyaar hain mujhe usse..Tune to mere pyaar pe ungli uthai.mere pyaar ki wajood ko thes phochaya hain..bht dard hua mujhe..meine tujhse yeh expect nehi kia tha sayra..Maine kisiko pehle iss qadar chaha nehi tha..Aman ko jaise chaha hai maine..mere dil ki har dard uski wajah se bhool chuki hoon main..Aman ghav nehi marham hain mere liye. Meri iss zindegi main usne roshni bhar di hain..Tujhe to pata haain na kya hain aman mere liye.humari dosti se bhi bardhkar hain Aman mere liye. Mera pyaar hi mera sab kuch hain..chahe log ise dewaangi main pagal ho jana hi na kyu rahe rahungi to main Aman k gehre se ishq main..

..
On the other hand:
Sayra(in mind):Roshni,Tujhe ab shauad meri yeh batein kadwi lag rahi hain..lekin ek waqt ayega zaroor jab tu Meri bato ka matlab samkhegi.tu aise kashmakash main hain jahase bahar ane k liye tujhe khud koshish karni hogi. Mujhe tere pyaar se koi aitraz nehi nhi hain.. Bas dar hain tere iss dewaane pan ki chakkar main sayra apni roshni ko na kho de..akhein band karti hoon to tera hasta hua chehra hi nazar ata hain..main apne bure se bure sapne main tujhe rota hua nehi dekh sakti..apni ankho se yeh pyar ka parda hata aur haqiqaat janne ki koshish kar..Kahin pyar hi pyaar ko barbad na kar de..
They both looked at the sky while tears rolled down from their eyes..they closed their eyes..and left that place..

The day passed..it was night..Roshni called him and he answered..
Roshni:Kaaha the tum sara din Aman..
Aman:kam tha mujhe kuch zaroorii
Roshni:Kya aisa kam tha jo tum mujhe waaha akela chorke agaye.. (And she cried)
Aman:Kya hua Roshni?Tum ro kyu rahi ho?kuch hua kya?Sayra ne kuch bola kya?Roshni bolo na kya hua??
Roshni:woh sayraa..(and she told him everything)
Aman:Yeh sab kya kar dia roshni tumne?Usko ache se samjha deti na..Aise dosti torne ka kya karan hain...
Roshni:Woh tumhe ulta seedha keh rahi thi. Tumhe galat sabit karne main lagi hui thi. Mujhe acha nehi laga.
Aman:Kisike kuch kehne se hume kya fadak parna roshni.. Humara pyaar to bht gehra hain na..logoko explain na kia karo.."Dunia sunegi lekin samjhehi nehi"
Roshni:Haan..par sayra
Aman:Kal usse baat karlena.. Sab kuch thik ho jayega..aur i promise date main fix karunga aur sayra se bhi milunga...
Roshni:Hmm..kal milenge na hum?
Aman:haan kyu nehi..Milna to hunara roz ka hain yeh..
Roshni(giggled):Umm..bye.
Aman:Bye..good night
...
Next day(Morning) on dining table,
Ahmad:Roshni kal apko Arham aur unke ammi abbu dekhne arahe hain..taiyaar rehna shamko 6 baje.sab kuch thik raha to kal hi sagai ho jayegi..
Roshni:par abbu mujhe..
Ahmad:Koi par bar nehi Roshni..bht waqt ho gaya hain ab..abhi to apki padhai bhi khatam ho gai hain..Khud kam bhi kar rahi ho..
Salma:Aur nehi to kya..Arham jaisa ladka milta hain kya iss zamane main..
Roshni:par ammi abbu mujhe manjoor nehi hain.
Ahmad:Maine pehle apse apki raza mangi thi par aj nehi..bht waqt guzar gaya hain..Yeh mera faysla hain apki aur Arham ka nikaah hoga.
Salma:haan roshni. Aur tum dono to bachpan se jante ho na ek dusre ko..to ab na manjuri kyu..
Roshni:hain na manjuri mujhe..Mujhe aitraaz hain..kyuki (before she could say anything Ahmad spoke)
Ahmad:bas roshni bht sunli humne apki batein. Ab jo higa woh meri marzi se hoga..
And he left.. Roshni looked at salma in disbelief..
Roshni:mujhe aitraaz hain iss rishte se..Main nehi kaid hona chahti iss rishte mein..
And she too left..Salma was sitting there alone...
Precap:Arham and Roshni's engagement

Note:
Arham:Roshni's would be husband

DewaangiWhere stories live. Discover now