A look at Lucknow

609 64 16
                                    

#Episode 2: A look at Lucknow

KM: ammii

HM: hmm... Kya hua... Baitho hum andar se dudh laa rhe hai aapka...

KM: nahi pehle suno... dekho na humse ye Baal nahi ban rhe...

HM: toh kon aapko subah subah karigari (experiment) karne bola, roz toh hum hi banate hai na... Ab bhi bana denge... Aap rubbers, clips leke aaiye...

KM: ye rahe... (Showing them to HM)

HM: ye nahi, ye konse rubber laaye ho... aapke itne ghane baal, ye bechara kaha sambhal payega

KM: hahaha areh🤭

HM: thoda rehem karo us rubber pe, aur jaake dusre leke aao... Hum tab tak dudh laate hai...

KM: dudh nhi na ammi....

HM: khushi... Subah subah shuru mat ho ab...

KM (mumbling): pata nhi ammi ko Roz ye dudh kyu pilana hota hai ...

HM (from kitchen): sun rahe hai hum....

KM: humne toh kuch kaha hi nahi😜

HM (smiles inwardly and thinks): Karu ke bhi aise hi ghane baal the...

HM brings the milk and her coffee with bread butter for both.

HM: aap ye khana complete Karo, hum khaake fir aapke Baal bana dete hai...

KM nods positively and both of them are having breakfast.

KM: ammii...

HM: ha?

KM: ab aaj last day hai na is session ka...

HM: haa...

KM: fir main class 6 mein chali jaungi.... yeahhhh

HM: hmm... Big girl ho jaoge...

KM: vo toh main pehle se hu...

HM (pulled her cheeks): acha ji

HM does her hair and they both leave after locking the house. HM took KM in her jeep.

HM: khushi, aaj school se aapne apni friend ke ghar jana hai na... Yaad se... Humara wait mat karna fir...

KM: haa ammi, ye bhi bhala koi bhulne ki chiz hai... Hum chale jayenge apne dost ke Ghar...

HM:ha ha... Bhulti toh aap school ka homework hai...

KM: ammiii...

HM: acha acha okay... aur fir hum aapko shaam ko vaha se pick kar lenge... Jaldi aa jayenge hum thaana se... Nani bhi gharpe nahi hai na

KM: kab aayegi vo?

HM: kal aa jayegi... Ya maybe aaj raat ko hi... Dekho...

KM: okkie...

Soon they reach school, KM kisses HM and says bye... HM does the same.

HM: ladna mat kisi se...

KM: ha ha, miss jajbaato vali...

HM: jazbaat hota hai vo...

KM: vahi vahi... Nhi ladenge... Bas... Jaau ab main? Friends wait kar rhe hai na ammi

HM: haa jaoo... No complaints...

By them time KM runs away and HM drives to Kolkata Police Thana but a flashback hits her because of KM saying "jajbaat"

Flashback

About 10 years ago...

Karishma Singh (KS): maddam sir (MS) aap bhi mukka ka istemal toh karke dekhiye, fir aapko pata chalega kitna immediate treatment hota hai isse...

HM: ye case toh aapko jazbaato se hi solve karna padega KS... Shart jo lagai thi aapne

(To the readers: HM and KS had a random shart jisme KS agreed to solve the case with jazbaat if HM won the challenge and it happened, so now that is being discussed)

Pushpa ji (PJ): Ab haar gayi hai aap shart toh bahane mat banaiye na Karishma ji..

KS: ama hum bahana nahi bana rhe... Humse nahi bajta hai ye jajbaato ka peepdi...

Santosh Sharma (SS): Jazbaat madam, jazbaat...

KS: hum bhi toh vahi bol rhe hai na Santu

SS: nahi madam, aap nukta nahi laga rhi...

Cheetah Chaturvedi (CC): uff ye masumiyat... (Noticed KS glaring at him) saryyy madam sarryy....

KS: MS par...

HM: par var kuch nahi, aap shart haari hai...

SS: MS aap shart jeeti hai toh party toh banta hai na...

CC: kitni intelligent hai aap Santu ji

PJ: ha MS

HM: acha kya khayenge aaplog?

KS: icecream

HM (smiled): manga lijiye sabke liye... Billu... Le aao na Zara...

Billu (B): jii MS...

They all then enjoy the icecream treat and the day ended with laughs.

Flashback ends

HM reaches her thana and gets back to solve the important case.

Meanwhile, let's have a look at our MPT, Lucknow (Present).
Yaha bohot chehel pehel machi hui hai because of a case. Everyone is working hard.

PJ is doing her morning rituals and praying to Shiv ji in thana. While Cheetosh went on some investigation and KS was staring at 2 pictures and a box kept on her table. PJ notices that and goes and keeps a hand on KS's shoulders because of which her thoughts break and she looks at PJ with teary eyes.

PJ: Haseena ki yaad aa rahi hai?

KS: Aisa konsa din beet ta hai humara jab hume unka yaad nahi aata... Aap hi bataiye... kab aayengi vo... Kyu kiya unhone aisa...

PJ: aayegi beta, aayengi...

KS: PJ 10 saal ho gye unko gaye hue... Aur 10 saalo se aap humko yehi tasalli de rhi hai...

PJ: intezaar karo beta...

KS: Amma aur kitna... Nahi hai hum mein itna patience aur ye toh unko bhi pata hai na... Aur gayi toh chalo bhaiya se naraz hoke na... Humse kyu sambandh tod diye?

Aajke liye bas itna hi...

Kyu tode HM ne KS aur baakiyo se sambandh?
Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

The Angel in Disguise जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें