Haan Mujhe Dar Lagta hai

23 10 4
                                    



Haan mujhe dar lagta hai

Lagta hai jaise koi hai

Koi Hai jo mujhe rok rha

Rok rha saari kaynaat ko

Kaynaat ko behka rha

Behka rha dhmka rha

Dhmka rha mujhe darane ko

Darane ko barsa rha

Barsa rha har takleef ko

Takleef ko mere batla rha

Batla rha tu badhta rhe

Badhta rhe mera dard bhi

Mera dard bhi thamta nhi

Thamta nhi mera kaamp na

Mera kaamp na jo tujhe bhaa rha

Tujhe bhaa rha mera sankoch na

Mera sankoch na iss daur me

Iss daur me iss mulk me

Iss mulk me sabse alag

Sabse alag sabse juda

Sabse juda hun aaj me

Hun aaj me kyu bekhabar

Kyu bekhabar iss baat se

Iss baat se ki main hun nidar

Main hun nidar ye jaanlo

Ye jaan lo Haan maan lo

Maan lo me hun khari

Main hun khari ye dikha rhi

Ye dikha rhi ki darna nhi

Darna nhi agar tum ho sahi

Tum ho sahi to karna wahi

Karna wahi jo dil kahe

Per dil kahe tu thi dari kyu

Kyunki Haan mujhe dar lagta hai

Beheke Alfaazजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें