My Point of View 🙃

582 38 32
                                    

Hello everyone bohot dino baad mulakat Hui hai.

Aaj date 10th February 2023. Aaj ke din mere exams khatam hue hai, kuch dino mein vapas aa jayenge. Point voh nahi hai. Aaj main bohot khush thi yeh sochkar ki thoda toh Wattpad use karne milega but aaisa kuch hua jisne mere Khushi par paani fer diya. Jiske do reasons hai.

Pehla reason personal hai lekin Wattpad se related hai. I know kisi ko fark nahi padne vala meri problem se isiliye aage badhte hai jisse aapko fark padna chahiye, aur jiske baarein mein aapka opinion hona chahiye.

Maine suna ki Maddamsir off air hone vala hai. Because of all that controversy which emerged out of nowhere. Log bohot emotional ho gaye hai especially Yukti aur Gulki ke fans aur (Karishma+Hassena) fans bhi.

Tolerance acchi cheez hai agar voh ek had tak ho toh. Lekin haad paar ho chuki hai abhi. 7th December 2020 ko episode aya jisme Anubhav Singh ke character ko introduce Kiya Gaya. Nayi audience show se jud gayi jisme Rahil sir ke fans bhi the. Main bhi hun because Main Rahil sir ko C.I.D. ke vajah se jaanti hun.

Main honestly kahungi ki jab Maine show dekhna start Kiya tha jisme Anubhav nahi tha acche the episodes. Anubhav ke character ke saath toh aur acche lagte hai mujhe. Problem pata hai kab start Hui? Jab Mission Jeet aya. Logon ne Anubhav ko dhokebaaz kaha. Yaha tak ki Hassena Anubhav ko kai vakt tak taane deti rahi ussi baat ke liye tab sabko Hassena ka self respect dikh Gaya. Mujhe toh voh ego laga sach me. Logon ne Anubhav ko curse karna band nahi Kiya aur yeh badh Gaya jab Anubhav ne Hassena ko propose Kiya aur usne mana kar diya. Audience be like bechari Hassena, sahi Kiya usne Anubhav ko reject kar diya. Dhokebaaz kahi ka. Aaise comments maine literally padhe hai.

Fir aur aage badhe toh aa gaya sagai ke time. Makers ko kuch bhi karke feminism ghusana hi hai. Chalo ek baar ke liye maan bhi liya ki Feminism nahi dikhana tha makers ko. But I'll tell you they highlighted friendship, hurt which Hassena and Karishma gone through. But now I'll tell you what they didn't highlighted, a sister's love for his brother, an agent's sacrifice and pain, a pain of brother, a pain of a lover (ek aaisa lover jisne abhi abhi pyaar karna sikha hai, fir bhi aapne pyaar ke liye sab sacrifice karne ko taiyar ho gaya), a mother's pain (Anubhav's mother). Aab aap batau kaun yaha sahi hai? Aaj Tak I repeat aaj tak Makers ne Hassena ko yeh pata nahi chalne Diya ki Anubhav ki sagai chod kar jaane ki asli vajah kya thi. Karishma ne gun tak taan di Anubhav par lekin Anubhav ke fans justice ki demand kare toh galat aur Maddam sir ke female character kare toh Self respect. Hypocrisy karna koi makers se sikhe.

Uske baad fans ne trends kiye, Anubhav ko vapas lau. Itne fanfiction bane jo ki Makers ke writers se acchi stories thi. Anubhav ki entry acchi thi, but jis tarah se uska track chalaya gaya, totally disappointed. Hassena ne MPT ko dokhe mein rakha Mission Behrupiya ke vakt. Voh Hassena ki deshbhakti ho gayi lekin same cheez jab Mission Jeet ke dauran Anubhav ne ki tab voh Dhokebaaz ho gaya tha na.

Uske baad television history ka, ekta Kapoor ke serial se bhi jyada illogical track jisme Anubhav ko deshdrohi ka tag diya gaya sirf do lead characters ko mahan dikhane ke liye. Wow! Speechless. Uske baad proper investigation bhi nahi hua. Aur vaise bhi I feel like Hassena ko Anubhav ko direct chest mein shoot karne ki koi jarurat nahi thi. She could have shoot on his hands or legs taki voh distract ho jaye.

Maine recently kahi suna ki Anubhav ki firse entry hone vali thi January mein lekin Rahil sir ne mana kar Diya tha kyuki voh naye show mein busy the. Dikho Bhai main koi Rahil sir ko personally nahi jaanti. But itna jaanti hun agar Rahil sir ne mana kar diya toh bhi Makers ki hi galti hai. Unhe jald se jald track ko khatam kar dena chahiye tha. Yeh kya tareeka hai 6 mahine ek saal ka difference dekar track chalate hai. Jab trp kaam hoti hai toh use karte hai Character ko. Aap hi batau mujhe ki kya aapko insulted feel nahi hoga? Rahil sir ne vaise bhi maine suna hai ki yeh nahi kaha voh show quit kar rahe hai. Dekho andh bhakton Rahil sir ko blame karna band karo. Aur makers ko samjhao.

Kahu toh main aapko Feminism ka matlab Google karke screenshot lekar send kar dun kya. Aap bhej Dena makers ko. Taake voh yeh aapne writers ko dikha sake.

Kal main yuh hi Anubhav ke scenes dekh Rahi thi tab maine ek comment dekha jisme likha tha ki Santosh said, why DSP sir is walking like a villain, it turned out that he is really villain, deshdrohi. Aapko pata haina voh gabbar vala scene. Agar aapko Anubhav ke scenes dekhna pasand nahi hai toh skip kar do. Par aaise comments maat Karo. Sach mein itna gussa aa raha tha yeh dekh kar. Aur kuch log fir bhi makers ko defend karte hai yeh kehkar ki makers se Saab plan ke hisab se kiya hai dekhna sab ho jayega. Kaha thik hua kuch? Kaha hai voh log?

Maddam sir band ho jayega toh mujhe bura iss baat ka lagega ki Anubhav ko toh akhir tak justice nahi milega. No hate towards actors. Unhe acche acche projects mile. But audience Maddam sir ka promo kuch aaisa hona chahiye tha, ki aapko Maddam sir mein justice milega agar aap Anubhav Singh nahi hai toh...

Makers are just jealous with the fact that Anubhav Singh jaise side ‘Male’ character ko itna pyaar Mila audience se.

Khair mera mood pura spoil ho chuka hai aab. Good night bhi nahi bol sakti. Sorry kuch jyada bol Diya lekin yeh gussa pata nahi kab se andar bhara pada hai.

Bye!

AnuSeena Shots/Series/ER -by JanescripterWhere stories live. Discover now