In the Next Morning.
Meerab goes to garden for some fresh air.And she meets Sabj Ali over there.
Sabj Ali:Salam bibiji.
Meerab:Tumhare beti Kaisi hai abhi?
Sabj Ali:Behtar.
Meerab:Shohar ke ghar mein hai ya tumhare yaha?
Sabj Ali:Uske shohar ne aake lee gaya hai.
Meerab:Kyun bheja hai use dubara mar khane ke liye?
Sabj Ali:To mein kaise palta itne logo ko?
Meerab:To itne niqah kyun ki agar sab ko pal nahi paa rahe ho to.
Sabj Ali:Niqah sunnat hai.
Meerab:Tum mard na mazhab ko bhi apne faide ke liye istemal karte ho.Kin halat mein ek se jaida niqah karne ki izazat deta hai pata bhi hai tumhe?Ek biwi ko kharcha nahi de paa rahe ho karne chale ho ek ke bad ek niqah.
Sabj Ali:Embarrassed.
Meerab:Khair chodo,meri baat manke Azra ke upar jo tum hath nahi uthai.Iske liye tumhara shukriya.
Sabj Ali:Aap ki Baat samaj Mujhe aaya kaha tha.
Meerab:Matlab?
Sabj Ali:Aap ka Mujhe datne ke baad Khan ne Mujhe bulaiya tha aur bohot danta.Aur kaha biwi pe hath na uthau.Khan ki Baat mein kaise taal sakta hu.
Meerab:Murtasim khan ne aisa bola?
Sabj Ali:Ji bibiji.
Meerab:Thik hai tum jau.Meerab is thinking,
"Mujhe aaj Kaal Murtasim samaj mein hi nahi aa rahe.Woh sach mein badal gaye yaa mahej koi dhokha hai."
In the lounge area.
Everyone sipping on tea.Bhabi begum asked Meerab;
Bhabi begum:LL.B karne ka shok tha kar liye aab kya age padoge?
Meerab:Ji padungi age.
Bhabi begum:Akhir itna padke karoge kya?Meri baat mano bhool jau padai ko Aur ghar sambhalo.
Murtasim:Kya matlab hai Maa is Baat ka?Meerab kiya ghar nahi samhal rahi hai?
Bhabi begum:Haa ase tese karke samhal rahi hai Lekin uske zehen mein to sirf padai Aur padai hai.
Murtasim:Woh age padegi agar chahe to.
Bhabi begum:Tum keh rahe ho yeh Baat?
Murtasim:Ji.
Bhabi begum:Lekin tumhe to sabse jada masla tha iske padai ka.
Murtasim:Haa tha Lekin abb nahi hai.
Bhabi begum:Aise kiya ghul ke pila diya hai tumhe ki aab uski boli bol rahe ho.
Murtasim:Aqal aa gaya hai Mujhe Maa.Der se hi sahi bohot kuch shikha hai Maine.Hum apna sara takat sare pawandia biwi par azmake khud ko mard kehlate hai.Lekin yehi sulukh jab koi humare beti ke sath karta hai to kone mein khare hoke sirf anshu bahate hai.Aur Mujhe woh lachar bap nahi banna.Along with Meerab,Everyone shocked to see Murtasim changed behaviour.
In the kitchen.
Meerab doing some chores.Haya comes there,
Haya:Aaj Murtasim ki badle hui andaaz se mein khud heiran reh gaya.
Meerab:Mein bhi.Mujhe samaj nahi aa raha woh sach mein badla hai yaa Mujhe rukne ki koi nayi chaal.
Haya:Filhal koi natije pe aana mushkil hai.Mujhe laagta hai tum waqt do is baat ko.Sacchai khud samne aa jayigi.
Meerab:Agar yeh unka koi natak hua to mere logo mein aitbaar uth jayega yaar.
Haya:Itna mat socho.Ho sakta hai woh sach mein badal gaye.
Meerab:Allah kare aisa hi ho.Then Meerab watch,Azra feels dizzy.
Meerab:Kya hua hai Azra?
Azra:Kuch nahi bas chakkar aa gaya.
Meerab:Kuch khaya subhe se.
Azra:Ji nahi.
Meerab:Khaogi nahi to chakkar to aaye ga na.pehle kuch khalo.Azra nodded her head.
In the evening time.
Meerab is teaching Azra and narrated the cinderella's story to her.
Azra:Aisa kiya hota hai bibiji ek din ek shehzada aata hai Aur humare sare mushkil padeshani khatam kar deta hai?
Meerab:Yeh kitabi kahini hai Azra.Dil behlane ki liye accha hai Lekin asal zindegi mein koi shehzada nahi aata.Humari sari dukh sara dard khatam karne liye humara khud ka khud ke liye khade hona padta hai.Yeh sab filmo mein yaa drame mein hi accha lagta hai jaha ek shehzada aata hai Aur kisi ki sare pareshani khatam kar deta hai Aur woh log khushi khushi zindegi guzar te hai.
Azra:Khayalon ki duniya bhi kafi ajeeb chiz hai na.Bachpan mein jab Amma se pariyon ki shehzadiyon ki kahani sunati thi aisa lagta tha ki mein jab badi ho jaungi to koi shehzada aaye ga.Aur Mujhe apne sath lee jayega.Sach kaha aap ne asal zindegi mein koi shehzada nahi aata.Duniya badi jalim jaga hai bibiji.
Meerab:Acche ki ummed karoge to accha hoga.Allah apne bande ke sath kabhi Kuch galat nahi karte.Aur ek Baat Mujhe bibiji nahi baji bola karo.Tum Bilkul mere choti behen jaisi ho.
Azra:Thik hai baji.Then Murtasim comes there and Azra is scared to saw him.
Murtasim:Daro mat Azra mein tumhe kuch nahi bolunga.Aur padna tumhara haq hai.Tumhara yeh haq tumse koi nahi chinega.
Azra:Shukriya Khan.
Murtasim:Ustani jee,agar aap ka talim dena mukammal ho gaya ho to kya ek cup chai mil sakta hai?
Azra:Main bana du Khan?
Murtasim:Thik Hai.Do cup laana.After Azra left,Meerab asked;
Meerab:Aap to kahi gaye the na itne jaldi laut bhi aaye.
Murtasim:Ek kam ki silsile mein gaya tha Lekin hua nahi.Phir socha shym ki yeh gazab mausam kyun na apni biwi ke sath bitalu.
Meerab:Ek Baat pucho aap se?
Murtasim:Ek nahi so pucho.
Meerab:Sabj Ali se Baat aapne kiya tha kya?
Murtasim:Tumhe kisne batai?
Meerab:Sabj Ali ne.
Murtasim:Us din jab tum Mujhe keh rahe the ki agar azra ki jaga mariyam hoti to mein kya karta? Us waqt yun laaga kisine mere muh pe jor se chapata mara hai yaar.Aur Mujhe sochne mein majbur kar diya ki Agar sach mein koi mere behen ke sath aisa saluk kare to Mein to jaan se hi mar dalaunga.Azra bhi to kisi na kisi ki behen hai.Tab mein turand Sabj Ali ke ghar gaya Aur use kaha biwi ke sath aisa saluk na karne ko.
Meerab:Sabj Ali maan gaya?
Murtasim:Mein unka khan hu.Meri baat kabhi nahi talte.Then Azra comes with tea.Meerab looks at Murtasim while sipping on tea.
Meerab:Tum sach mein hi badal gaye ho yaa yeh koi khubsurat dhoka hai Murtasim.
YOU ARE READING
Meerab Murtasim Ki Hui
FanfictionComing with another Meerasim's plot. I hope you like it.