Story continue with Murtasim's conversation with Meerab.
Meerab:Khud ki Galti bhi maan liya,khud ko kasuurwar bi bana liya Aur khud hi saza bhi suna diya?Sab khud hi karenge,mera bolne ka koi haq nahi?Dekha jai to Murtasim aap ko saza dene ki ikhtiyar sirf mere paas hai.Kyun ki aap mere qasurwar hai.
Murtasim:Haa yeh to sach kaha tumne.Dekho na kitna khudgarz hu mein.Tumse saza mangne ki wajai maine khud apne liye saza muntakhib kar diya.Maf kardo Mujhe.Aur batao kiya saza doge Mujhe?Tum kaho to yaha se kud ke apna zaan bhi de sakta hu.
Meerab:Khudkhushi haram hai Murtasim.
Murtasim:Yeh sochkar hi khud ko rukke rakha hai warna Pata nahi kab khud ko goli mar deta.Mujh jaise mard ko jine ka koi haq nahi.Khair tum batao kiya saza hai mera?Tum jo kaho mujhse manzoor hai.
Meerab:Aap ki saza yeh hai Murtasim aap pure zindegi mere sath guzarenge.Maf kar diya hai Maine aapko.
Murtasim:Nahi meerab jaasbati hoke koi faisla mat loo.Mein mafi ki haqdaar nahi hu.Maine aaj tak jo bhi harqat kiya hai woh na qabil e mafi hai.Aisa na karo.
Meerab:Jo galat hua hai woh mere sath hua hai.Aur mein aap ko maf kar deti hu.
Murtasim:Mere Aur sabj ali ki Galti ek barabar tha to use saza aur Mujhe mafi kyun milega?
Meerab:Aap mein aur Sabj Ali mein fark hai.Use uski Galti ka ehsas bhi nahi to use mafi kaise mil sakte hai.Lekin aap ko ehsaas hai apki harqat galat tha to aap saza ke haqdaar kaise huye?
Murtasim:Phir bhi Meerab....
Meerab:Saza dene ka ekhtiyar to sirf Allah ke pas hai na.Woh bhi to apne banda ki bashumar Galti ko maf kar dete hai to mein to unka makhluk hu to mein kaise saza suna sakti hu?
Murtasim:Galat to unki makhluk ka kiya hai maine Aur Allah bhi to kehte hai Agar unka makhluk maf na kare to woh bhi maf nahi karte.
Meerab:To maine maf kar diya hai na aapko.Allah se mafi mangiye.Woh Rahimo Rahman hai aapko maf kar denge.Aur yeh sab bhulke ek nayi shuruaat karte Murtasim.
Murtasim:Mere sath zindegi guzarna asan nahi hai.
Meerab:Aab tak nahi nibha rahi thi?Aur Mujhe Yakeen tha Murtasim aap ek din zarur badlenge.
Murtasim:Tumhe Yakeen tha mujh par?
Meerab:Mujhe apni Allah pe bharosa tha Murtasim woh mere sath Kuch galat nahi karenge.
Murtasim:Tum bohot acchi ho Meerab.Bohot acchi.Aur mein tumhe deserve nahi karta.
Meerab:Ek lafz Aur nahi.Mujhe kuch nahi sunna.Mujhe aap ke sath apni tamam zindegi guzarna hai.Mein aap se kabhi dur nahi jayongi.
Murtasim:Kyun?
Meerab:Kyun ki Mujhe apka sath accha lagta hai.
Murtasim:Itna bura karne ke baad bhi?
Meerab:Pehle aap Mujhe Bilkul acche nahi lagte the Lekin jab se badalna shuru kiya tha tab se acche lagte hai.
Murtasim:Lekin tumhe to Yakeen nahi tha mein badal raha hu.
Meerab:Mein koi dhokha nahi khana chahti thi.Is liye Yakeen karna mushkil ho gaya tha.
Murtasim:I can understand.Achanak se hewan se insaan ban jana na qabil e aitbaar hai.
Meerab:Jo kuch bhi hua use ek zindegi se mile sabak samjhiye Aur bhool jaiyee.
Murtasim:bhool na asan nahi Lekin Allah ka shukar bhi hai ki waqt rehte Mujhe aqal aa gaya.Ek Baat puchu Meerab.
Meerab:Ji puche.
Murtasim:Mohabbat karte ho mujhse?
Meerab:Pata nahi Murtasim.Aab tak ehsas nahi hua yeh mohabbat hai ki nahi Lekin aap ke sath bitaya hua har paal Mujhe bohot aziz hai.
Murtasim:Pata hai Meerab aab jab mein apne bite zamane ki bade sochta hu to khud ko kosta hu.Kaise ghatiya soch thi mere yaar.Allah ke duniya mein unka ek makhluk hoke dusre makhluk ko khudse kam samajta tha.Uske age badne ki rukawat ban raha tha.Sach kaha tha tumne Agar Allah kabhi Mard aurat mein farak nahi karte to hum kon hote hai fadak karnewale.Allah ne humse Aurat ke sath acche tarha se pesh ane ki hukm diye the Aur dekho hum sabse jaida zaidi aurton ke sath hi karte hai.Galti actually is mashre ki logo ki hai.Woh apne tarha se mazhab ka istemal karte hai.Allah ke hukm ko nazar andaz karke khud faisla karte hai.Mazhab mein Jo pasand aate hai woh mante hai Aur jo nahi aate hai chod dete hai.Lekin mazhab ki har baat manna har musalman ki upar farz hai.Yeh dekho na tum,Bachpan se aurat ko yeh shikai jata hai biwi par shohar ka kya haquk hai kya kabhi mard ko yeh shikai gaya hai shohar ke upar biwi ka kya haquk hai.Sab aa jate hai shohar ka haquk batane Aur biwi ke haquk to sab bhul hi gaye.Is liye mard aurat ko apni pedo ki juti samajta hai.Woh bhol jata hai aurat bhi ek insaan hai.Uska bhi koi khawab ho sakta hai koi khushi ho sakta hai.Pata nahi Meerab yeh mashre Aur yaha ke log kab badle ga?
Meerab:Ekdin jarur badlega jaise aap badle hai Waise hi.Murtasim nodded his head.
Meerab:Murtasim aap ko pata hai aap bohot acche acche bata karna shikh gaye hai.
Murtasim:Quran padna shuru kiya hai.Is liye sab batee samaj raha hu shayed.Allah mujh jaise gunhegaar ko hedayaet de.
Meerab:Allah hum sab ko hidayet de.
Murtasim:Ameen.Meerab mein tumse Phir se ekbar puch raha hu mein tumhara layek nahi hu.Soch lo Aur ek baar.
Meerab:Mein soch samajkar hi keh raha hu Mujhe aap ke sath rehna hai.Aur aap yeh Baat dubara nahi karenge.Then Murtasim wipe his tears and said,
Murtasim:Thik hai nahi karunga.Meerab,Tumhe yaad hai mein us din tumhe ek surprise dena chahta tha.
Meerab:Haa Aur surprise woha hi adhora reh gaya.
Murtasim:Dekhna chahogi use?
Meerab:Haa.
Murtasim:To chaloo mere sath.Murtasim and Meerab comes to their room.Murtasim opened his closet's drawer and bring a file.
Meerab:Yeh konsa surprise hai?
Murtasim:Pakro Ise Aur khulke padlo.Then Meerab open the file and start to read.She is shocked to learn what's is reading there.
Meerab:Yeh kiya hai Murtasim?
Murtasim:Tumhare liye mera chota sa tohfa.Maine aapna ek zameen tumhare naam kar diya.
Meerab:Iske wajah?
Murtasim:Yaha pe ladkiyon ki liye ek high school banega.Humare yaha ke bohot sare ladkiyan high school dur mein hone ki wajah se padai mukammal nahi kar pate.Aur Unki jaldi shaadi kar diya jaata hai.Is liye Maine socha hai school mein hum ladkiyon ki free mein padaiyenge.Ladkiyon ki age padna jaruri hai.Unko apna sahara banna jaruri hai.Humare school mein Azra jaise ladkiyan padenge aur mustakbil mein Kuch banke dikhainge.Agar ladkiyan padenge to unka jaldi niqah hona band ho jayega.Aur woh apni zindegi waise jee payenge jaise woh jeena chahte hai.Meerab hugs Murtasim and said;
Meerab:Mein aap ko bata nahi sakti kitni khush hu mein.Murtasim aisa ek sapna maine bhi dekha tha ki mein kabhi un ladkiyon ke liye school banau jo padne ki haq se mehrum hai.Lekin socha nahi tha yeh khawab itne jaldi rang laayega.
Murtasim:Aab se tumhare sare khawaish sare sapne mere.Tum khawab dekhna unko haqikat ka roop hum dono milkar denge.
Meerab:Mere khawbo ki rangne ki ummed banne ke liye shukriya.
Murtasim:Mere zindegi mein aane ke liye Aur Mujhe puri tarha badalne ke liye shukriya.
Meerab:Allah kabhi apne bande ki pukar ko ansuna nahi karta Murtasim.Aap ko nahi pata maine kitni dua yeh mangi thi apki badlav ke liye Aur dekhiye aaj aap pure tarha badal gaye hai.
Murtasim:Mere badalne ka piche tumhare dua ka hath hai Meerab.I love you.Bohot mohabbat karta hu mein tumse.Tum kuch nahi bologe?
Meerab:Thehriye janab mein bhi ek din bolungi yeh Baat aap ko.
Murtasim:Us din ka Mujhe besabri se intezar rahega.They both giggled and Murtasim put a kiss on her forehead.
YOU ARE READING
Meerab Murtasim Ki Hui
FanfictionComing with another Meerasim's plot. I hope you like it.