dil na jaaneya ( part 4 )

583 60 40
                                    

Hai ..

Hello ..

Happy reading ...

**************""""

Karan , faizi , Sanju were going back to there flat ..

Faizi : yaar mujhe samaj nahi aara ki humare pocket se pendrive kaise gayab hogaya hai ..

Karan : faizi zyada math socho  waise bhi humme bahut kuch gandagi ko abhi clean karna padega so abhi dimaag ko shaant rakho ..

Sanju : sir ji waha dekhiye kuch accident jaisa lagra hai , dekhiye car ped se takra gayi hai ..

Faizi : koi peekar gaadi chala Raha hoga , chalo Chalke dekthe hai ..

Karan stops jeep a side and got down ..

Sanju opens the door and sees a girl who got an injury on her head ....

Sanju : sir ji koi ladki hai ..

Karan comes and sees monu in that car and blood was oozing from her head , koi badi injury nahi thi , lekin car ki steeing lagne ke wajese blood aari hai , lekin karan ko yeh dekh kar ayisa laga ki koi uski dil mein ek badi si knife se maara ho .

Woh ek dum se aankhey band kardiya tha fhir dom minute ke baad monu ko utane ki koshish Kiya ..

Karan : miss can you hear me ..

He touched her hand to awake her and he was shocked , her body was burning like hell ..

Karan : isko bhukaar hai ..

Sanju : sir ji chahiye hospital le chalthe ..

Karan nods in yes and took her in his arms , and ussi wakth monu  thoda hosh aayi thi ..

Monu karan ko dekha aur dheere se bolne lagi ..

"Adi tum wapas agaye ho , fhir se mujhe kabhi chod ke math jana , mein jee nahi pavungi "

Thats it yeh sunthe hi , karan ki aankhon se aasu aane lage , unhe khud nahi pata tha unke aankhon aasu kyu aare the , isse pehle bhi woh bahut badi accidents dekhe the , dangerous criminals ko 3rd degree torcher kiya tha , yeha tak ki abhi abhi ek insaan ko goli maarke aaya tha , lekin iss ladki ek choti si chot se woh ithna pareshaan kyu hora hai , yeh khud karan bhi nahi jaantha ..

Woh zyada nahi socha , bus monu ko apne bahom mein liya and ghar ke taraf nikal gaya , iss pure raaste mein karan ki aankhon se paani rukhne ki naam nahi lerahe the , woh ek haath se aasu ko poch kar ek haath se monu ki sar sehlane laga ,

Karan ki halat dekh kar faizi jeep drive karne laga , as par the instructions faizi karan ke flat taraf jeep ghumaya , karan bina kuch soche samjhe monu ko bedroom mein lekar gaya aur sar ka Patti kardiya , unka actions faizi , Sanju ko bilkul samaj nahi aara tha , karane Patti lagvane ke baad , monu ko thoda dood pilaya and medicines dene laga , ayisa bilkul nahi lagra ki monu karan keliye koi stranger hai ..

Fhir tandi Patti monu ki sar pein lagaya , fhir dekhthe hi dekhthe uske bagal wali chair pein ho sogaya tha , puri raat monu ke saath hi tha , faizi and Sanju bhi kal subha baat karne ka soch kar apne apne kamrein mein chale gaye ..

Monu gehri neendh mein thi , tabhi usse ehsaas huva ki koi usse baat kar rahe the ..

"Tum ek doctor hokar bhi kabhi khud ka khayal nahi rakh sakthi , dekho kal raat baarish mein bheeg gayi thi , aaj Sardi aur bukaar hogayi hai "

Mo : sorry adi tum toh jaanthe hona baarish ko dekh kar mein apne aapko control nahi kar sakthi ..

Adi : chup chaap dood peelo and medicine lelo , sach mein tum kisi din mere jaan lekar hi rahegi ..

Mo : ohh come on mr Sinha it's just a simple fever ..

Adi : tum toh jaanthi hona tum par ek karoch bhi aayi toh mera dil kithna gabra jathi hai and tum ho ki humesha kuch na kuch karthi rehthi ho ..

He had a line of tears in his eyes ...

Mo : ( by hugging him ) tum ithni choti si baat keliye ro rahe ho ?? Accha sorry baba aage se kabhi baarish mein nahi bheegungi , promise

Adi : accha teek hai abhi medicine lelo and aaram Karo ..

Monu gulps the medicines and loads on the bed , adi puts wet cloth on her fore and caresses her hair ...

Monu felt like someone kept their hand on her forehead and she wokes up with a jolt ...

Mo : mein khaha hunn ..

Sanju : relax tum hamare Ghar mein ho and you are safe kuch nahi huva hai ..

Monu sees karan who was sleeping in chair .

She remembers is behaviour in police station, and his ugly comments too , woh kuch nahi bolthi bus bed se utarne lagthi hai , uski chudiyon ki awaaz se karan ki neendh toothi hai ..

Karan wokes and sees monu ..

Karan : hey , ab kaise lagti hai ?? Bhukaar utar gayi ??

Yeh kehkar woh monu ki maate par haath rakhna chahtha tha lekin monu ek din se peechey hat jathi hai and it seems like woh dar gayi thi , karan ko yeh dekh kar bahut bura laga , monu ko ayise dhur jaathe dekh kush ki haath ko peechey kardiya aur bola ..

Karan : doctor ko bhulavu  ?? Ya kuch coffee ?? Or else tea ek kaam karo tumhare Ghar walon ka number dedo we will inform them ..

Monu ek baar room ko dekhne ke baad samaj jathi ki woh kisi aur ka ghar mein hai ..

Mo : meri gaadi ..

Faizi : woh toh repair keliye bhejdiya maine , evening police station aake collect kar Lena ..

Monu bina kuch bole hi waha se chali jathi hai , woh weakness ki wajese girne hi wali hothi hai , tabhi karan pakadne ki koshish kartha hai lekin monu hi kush ko sambhaletho hai , ek sofa ki sahare se khadi hojathi hai and kuch hi minutes mein wahi se chali jathi hai ..

Ek taraf faizi and Sanju ko yeh dekh kar strange lagra tha , dusri tarah monu ki ruke pann karan ki dil cheer rahi rahi thi ..

Faizi : kya tum iss ladki ko jaanthe ho ?? I mean tumhara kal raat tumhara halaat dekh hum toh dar hi gaye ..

Sanju : haan sir ji humne kabhi aap ko ayisa nahi dekha , and uss ladki ko choti si chot ko lekar aap ithne pareshaan hogaye the , humme toh kuch samaj nahi aaye ..

Karan : ( still seeing the same direction where monu went ) pata nahi sanju jab kal raat woh ladki adi boli , mujhe pata nahi kya hua hai , unknowingly aakhon se paani aane lage and abhi bhi woh ayise ignore karthe huye dekh kar dil mein ek ajeeb sa dard hora hai ..

Faizi : kya tum dono ek dusre ko jaanthe ho ??

Karan : nahi bus ek baar police station mein dekha tha , naam bhi pata nahi hai mujhe .

Faizi and Sanju sees each other ...

Faizi : teek hai tum thoda rest karo , and Sanju tum dyaan rakho karan ka mujhe kuch kaam yaad agaya hai hum kuch dher mein ayengey ..

Sanju nods in yes , faizi left behind monu nd karan as still in confusion with his own behaviour..

So that's it for today, i dont why jab tak yeh part nahi likhthi , mujhe neendh nahi aari thi , maybe i am emotionally connected to this story ..

Anyways good night , Moran dreams ..

💜💜



Dil na jaaneya Where stories live. Discover now