In hospital
Doctor came outside the ward after checking saima... Preeta walks to him.. Rishabh karan jyoti follows her
Preeta : saima... Saima kaisi h doctor.... Mai usse mil sakti hun na...
Doctor : haan aap mil sakti hn... I think... She needs her family... Kisi close person ki zarurat h unhe... She had miscarriage.... (both couples stare him shockingly) internal bleedings isi wajah se thi.. Meet her... Nd convince her to file for FIR
Preeta nods thankfully... Doctor left... Preeta look back at Karan rishabh jyoti...
Jyoti : hum hn yhan preeta... Tum jao mil lo apni dost se...
Preeta : nhi bhabhi... Mujhe kisi aur se milna h.... (looks at karan..he nods) mujhe us akhtar aur uski ammi se milna h.... Kya aap aur bhaiya rukenge saima ke paas tb tk...
Rishabh : haan preeta hum rukenge... But us aadmi ke ghr jaana thik rhega... Look usne kya kiya h apni patni ke saath...
Preeta : uski patni mai nhi... Uski so called property mai nhi... Jo woh saima ko samjhta h.... Aaj usne insaniyat tk ko bhi kuch nhi samjha... Aapne dekha nhi... Usne kya kiya h...
Jyoti : humne dekha h preeta... Isliye keh rhe hn woh insaan thik nhi h... Karan bhaiya aap hi samjhaiye na isee....aise kaise yeh kisi aadmi se ldne jaa sakti h..
Karan : apni dost ke liye yeh nhi khdi hogi... Toh kon hoga bhabhi... Aur mai apni mangetar ke liye nhi khda hounga toh kon hoga... Jisne glt kiya... Ek ldki ke saath... Apni patni ke saath... Usee toh ek ldki hi sabak sikha sakti h (preeta smiles softly at him) chlo preeta... (preeta nods... Karan hold her hand)
Preeta : aaj us akhtar aur uski ammi ko unki life ki sabse bdi news mai dungi.... Jail ki hawa khila kr hi dum lungi...
"nhi preeta" karan preeta rishabh jyoti looked at saima... Who was standing by ward.. Preeta walks to her worriedly
Preeta : tera dimaag khrab ho gya h... Tu aise uthi kyun... Chl andr...
Saima : tu... Tu akhtar ya unki ammi ke khilaaf complaint nhi kregi... Hum... Humara parivaar hn woh... Shauhar hn woh... Hume... (preeta looked at her walking her inside making her sit on bed) humari baat sun rhi h na tu..
Preeta (angrily) : kaash tu sahi hoti... Toh mai teri isi baat pr tujhe thappd lgati... Usne tujhe maara... Uski ammi me support kiya... Aur tu h ki ab bhi shauhar ke gunn gaa rhi h... Tera bachcha usi maar ki wajah se nhi bacha saima... Un dono ne tujhe chor diya... Pr tu...
Saima : aap... Aap hi log samjhaiye... Yeh... Yeh har chiz ko sahi galt se dekhti h... Humara parivar hn woh... (with tears) hum humare hi shauhar ko kaise jail mein jaane de
Karan (cuts in) : saima... Jo insaan aisi harkat krta h...unko rishtey se pare rkh saza deni hoti h... Tumhare pati ne tumhe maara h... Dekho khud ko...
Preeta : yeh nhi dekhegi khud ko karan... Isne toh usi din aaina dekhna bnd kr diya tha... Jb pehli baar akhtar aur uski ammi ne is pr haath uthaya tha.... Jail mein toh woh jayenge... Aaj raat ka waqt de rhi hun tujhe... Khdi hona sikh... Wrna aaj tera pehla bachcha mara h... Aage tu maregi... Aur tera wahi shauhar dusri shaadi krega... Aur ek aur ldki ki zindagi barbaad krega...
Saima : preeta pls chup hoja... Ek tu hi bs h humari apni aur tu bhi hume suna rhi h... Humme taakat nhi h preeta (with tears) bachcha khoya h humne... Humne jisse pyaar kiya unhone hume chor diya... Aur tu bhi..
Preeta : mai tere ache ke liye bol rhi hun... (hug her) mai unhe bina saza dilaye peeche nhi hatungi... Chup nhi rhungi.. Tu yeh samjh jaa saima... (saima cries hugging her... Preeta look towards karan... He blinks his eyes)