part 13

217 20 45
                                    

Preeran room

Rishabh jyoti sits infront of preeta karan staring them....both looked at them then each other

Rishabh : hum bolenge explain krne ko tab hi bologe tum dono...ya khud se bolna shuru kroge....what is all this....tum dono ne sach mein shaadi ki hai ya naatak kr rhe ho...

Preeta : aree rishabh bhaiya sachi wali shaadi ki hai....dekho humara marriage certificate....papa ne jugaad laga kr niklwa liya...taaki aapke maa papa humari shaadi pr question nhi kr sakein...

Jyoti: pr preeta tum dono ki shaadi toh do din baad ho rhi thi na...toh yeh shaadi aaj kyun....yeh sab kya...

Karan: aapke liye bhabhi....(Jyoti rishabh looked at them confused) preeta ko maine sab bta diya...ki saima ke ghar wale...aur humare ghar walon mein koi antar nhi....mom aur dad... worst hn....thik un third class soch walon ki tarah..

Preeta : karan toh mujhse rishta todna chahte the bhaiya bhabhi....woh nhi chahte the ki...mai in sab se guzrun...pr inhe kya pata...ki mai toh inse chipak gyi hun....aur mai us gond ki tarah hum...jo lifetime guarantee ke saath aati hai...(karan smiles looking at her...preeta gaze at him with smile) bna li na maine apni pakad aur mazboot.....(karan blinked his eyes)

Rishabh (snap his finger in between them) : kahani khtm kro...baad mein dekhna ek dusre ko...

Jyoti : rishabh ji..

Rishabh : what rishabh ji...bhuchal le aaye dono...fun bhuchal...nyaay wala...but i want to know....bolo aage...

Karan : yeah....fir preeta ne mujhe kaha hum 2 din baad nhi...aaj hi shaadi karenge....insaaf laane ke liye....hum sab ke liye....

Preeta : sasu mom aur sasur ji ko sudharne ke liye......sahi raasta dikhane ke liye....yeh duniya waqt ke saath badl rhi h...purane khyaalat attic mein bnd hone ke liye bne hn... bachchon ke sapnon ki respect krna chahiye...unke dil ko samjhna chaahiye...unke sapno ko unke saamne jalana nhi chahiye....(looked at karan...karan looked at her with faint smile) jo jalaya hai...us pr marham lgaya jaayega...(she stood up infronto of jyoti) kl maine aapke ghav pr sasu maa se marham na lagwaya na toh mera naam mrs preeta karan luthra nhi....

Jyoti: preeta in sab ki zarurat nhi hai....yeh...yeh sab...hum unka tiraskar nhi kr sakte... samman krna chahiye hume unka...badi hn woh

Preeta : bhabhi...aap jaanti hn...meri maa ne bhi yhi kha...ki agar parivaar aisa hai...toh koi zarurat nhi shaadi krne ki...pr papa ne mera saath diya....papa ne kaha...samman tab tk kro...jab tk aapko samman kro.... bewajah samman aapki ijjat ke khilaaf...aapke khilaf hai.....jo samman na kre...usee sahi raasta dikhao.... aurat hi aurat ka samman nhi karegi bhabhi...toh mard kahan se karenge.....maa ji ko yeh sikhna hoga...papa ji ko sikhna hoga...unke bete unki shaan hain...office mein kaam krne wale ya ghar mein kaam krne wale naukar hn...aap aur mai bahun hn...naukar nhi....ghamand todne ke liye....hum logon ko siddhant vaadi bnna hoga...

Rishabh : preeta sahi keh rhi hai Jyoti...aaj preeta ne woh baat keh di jo...shayad mere mann mein humesha thi....tumne mujhse kaha tha na...ki mai roya tumhe ghav dekh kr toh tumhe lgega ki mai tumse pyaar nhi krta...agar tum nhi ladi khud ke liye toh mujhe lgega...ki tum mujhe pyaar nhi krti....

Karan : bhabhi...saima mt bniye dusri... Aap hi nhi...humme se koi bhi woh insaan nhi bnna chahiye...jo galat ko chup chap seh....ab samay h sahi ke liye awaaz uthane ke liye...

Preeta : aur woh toh ho kr rhega....chaahe kuch bhi ho jaaye....kuch bhi....(trio looked at preeta and smiles)

Scene shifts

Preeta came outside washroom and looked at karan setting pillow over couch....

Preeta : ohh mr husband...yeh aap kya kar rhe hn...

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 13 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Tumhare Pyaar Mein (on Hold)Where stories live. Discover now