chapter 1

6.2K 319 37
                                    

A place like Mumbai has had a bungalow right on the beach for many years. Anyone who comes to see the sea, the eyes of everyone goes to that beautiful bungalow. It was written in golden letters on that white bungalow  RAJE NIWAS  Sidharth Raje lived in that bungalow.

One fine morning sid is having breakfast at home. while Kushal comes there.

S. Aatu - aaja beta nashta kar.

Kushal- nahi aatu me ghar se nashta kar ke aaya hu. Abey chalna jaldi jaldi kitna khayega

S. Aatu - are khane de usko. din bhar kidhar khane ko milata hai. Idhar udhar bhagata rahata hai.

Kushal -  aatu tune hi sar pe chadha ke rakha hai. Abhi shaadi ki Umar bhi chali ja rahi hai uski. Koi ladki dekh aur shaadi kara de aur tu aaram kar. Usko bol tujhe chardham yatra karne bheje.

S. Aatu- me to kab se picche padi hu, mager ye sunta kaha hai. Teri najar me koi ladki hai

Kushal-- aatu Avantika me kya Kami hai. Wo to kab se ready hai ise shaadi karane ko, magar iska hi natak hai.

S. Aatu - wo ladki to mujhe bhi bhoat pasand hai. Sidharath karle beta use shaadi.

Sid - aatu tu bhi kya uske baato me aati hai. Avantika meri bas dost hai baaki kuch nahi.

Kushal - ye aisa hi karata rahega aur Puri Umar bina shaadi ke rahega

Sid - kyu tujhe kuch problem hai. Me aisa tujhe accha nahi dikhata. Chal abhi der ho rahi hai. Me mere princess ko dekh ke aata hu

Kushal - ruk me bhi aata hu.

They entered a room and a 8 month old baby was sleeping peacefully on a bed. Sid goes to her bed and kiss her forehead, kushal kiss her cheek.  She moves a bit again goes back to sleep.

Sid - life na aisi honi chahiye na koi tension na koi headache. Sabhi loag ye khushi jaise ban jaaye to duniya kitni sunder lagegi.

Kushal - tujhe pata hai Aisa kuch ho nahi sakata bas itna hai isko dekh kar sukoon mehsus hota hai. Ek energy aati hai nahi to subha subha tera sada huwa face dekhane kon aayega.

Sid - chal abhi bhoat bola tune, bye princess.

Both are now sitting in the car. Sid was closing his eyes as if his sleep had not been completed

Kushal - tu aise aalas kyu de raha hai. nind Puri nahi huyi kya tumhari. Har time ki taraha kal raat ko bhi wahi kar raha tha kya ?

Sid - ha yaar, uske book padhane leta hu na to bina complete kiye rakhane ka mann nahi karata. Kal bhi uski nayi novel aayi hai antara kar ke, wahi padh Raha tha. Kya story hai yaar, dard chalak jata hai. Har character uska dil ke pass leke jata hai

Kushal - sambhal ke kahi pyaar me na pad jaaye use writer ke.

Sid - abey wo writer koi 30-32 saal ki nahi hogi. At least 50-55 age ki jarur hogi.

Kushal - tujhe kaise pata?

Sid - jis dard se wo character likhati hai na uske liye bhoat bada experience hona chahiye koi aged aurat hi itna dard sambhal sakati hai.

Kushal - meri baat maan ye novel padh ke raat gujar ne se accha hai apane biwi ke baho me raate gujar. Me tujhe abhi kah Raha hu Avantika jaisi acchi ladki koi ho hi nahi sakati tere liye

Sid -; tujhe kitni baar bola wo sirf dost hai meri

Kushal - magar tere se pyaar to bhoat karati hai, teri care karati hai. Tujhe acche se janati hai. Tera gussa bhi trollert karati hai. Sab se badi baat tum dono ke opinion ek dusre se match hote he aur kya chahiye. Aur sach kahu sidharth hamesha use shaadi karani chahiye jo tujhe se bhoat pyaar karata ho use nahi jise tu pyaar kare..life sukhi hoti hai. aur nahi to aatu ke baare me soch wo bhi to bhoat thak gayi hai tera kar kar ke.

Sid & Naaz Where stories live. Discover now