chapter 78

3.1K 330 59
                                    

Today is Shenaaz's birthday

Sana - par aap bolenge to sahi hum kaha ja rahe hai.

Sid - pahle to hum Gurudwara jayenge phir uske baad ek surprise Dena hai tujhe.

Sana - surprise kaisa

Sid - surprise bataya to surprise kaisa gadhi. Chal sab wait kar rahe hoge humara niche.

Sana sabhi family ke saath Gurudwara gayi aur Babaji ka blessings liya. Uske baad sab Ganpati Mandir gaye. Krishna ji ko waha kuch kaam tha issliye sidnaaz aur khush gaadi me baith kar aage aaye.

Sidharth ne car ek bade se printing press ke yaha rok di waha bade bade bold font me likha tha. "The Gill's Printing Press "

Sana - ye kya hai?

Sid - ye Gill printing press hai. Tu book likhati hai to wo bahar kyu print ke liye Dene ka idhar hi tere printing press me dene ka. Kuch paper pe signature kar phir ribbon cutting kar ke tere printing press ki opening karte hai. Kushal Joshi aagaye kya?

Kushal - ha aur apna lawyer bhi aaya hai. Chal sab formalities puri karate hai

Sid - aur Aai Baba kitne der me aayege

Kushal - nikale hai  wo 15 minutes me aayenge yaha

Sid - thik hai chal abhi

Sana - sidharth ji mujhe kuch samajh me nahi aaraha hai. Ye printing press ye sab kya hai aur yaha Gill surname kyu Diya hai Raje kyu nahi.

Sid - sab bata hu tujhe yaad hai 2 mahine pahle maine tere pass tere papa ke diye huwe 1 crore mage the

Sana - ha acchi taraha yaad hai

Flashback

One fine morning

Sid - shenaaz tere pass tere papa ne diye huwe 1 crore ki FD hai na. Please wo close kar ke mujhe paise degi mujhe paise ki bhoat jarurat hai.

Sana - aap please kyu bol rahe hai me deti hu aap ko paise

Sid - mujhe kal hi paise chahiye to Aaj tere bank chale to kal subha Tak paise milenge mujhe phir

Sana - ha kyu nahi chalate hai

Flashback end

Sana - to aap ne ye paise yaha laga diye

Sid - ha kyu ki tujhe bola to tu nahi bolti. Ye Joshi ko paise ki bhoat jarurat thi. Uska transport ka business puri taraha band ho gaya. Usko karaza bhoat ho Gaya tha. Uske dada ji ki ye printing press thi usko paise ki jarurat thi to bech di. Abhi ye printing press tum dono bhai Behan ki hai. Gogi abhi minor hai to wo legally owner nahi ho sakta. Abhi sab paper tere naam se banaye gaye hai baad me tum dono ke naam hoge. Par ek baat bolu

Sana - kya?

Sid - tu ye sab tere bhai ko de. Tujhe jarurat nahi hai ye sab ka hissa Bane ki. Tujhe financial protect karne ke liye me kaafi hu. Hum gogi ko ye printing press dege uska future safe ho jayega. Tu phir rone lagi. Aaj ke din to mat ro meri Jaan

Sana -; sidharth ji aap itne acche kyu ho?

She said to Sid with tears in her eyes. Sid wiped her eyes.

Sid - kyu ki mere Aai Baba acche hai.

Sana - wo to hai.

Sid - aur tujhe pata hai ye printing press jab Li thi tab bhoat worst condition me thi. Ye bas maine kharid ki thi magar ye printing press ka sab kuch Kushal ne dekha hai. Bas parso ek hi baar maine dekha. Baaki ye Gill board se leke new machinery sab kuch kushal ne dekha hai

Sid & Naaz Where stories live. Discover now