Episode 1

4.6K 78 2
                                    

Haya: Maryam!!!! Haya excitedly hugged Mariyam. Finally I am back.
Mariyam: Tm Kisi k liye bhi Maa Begum ko naraz krogi Tou saza khud hi bhugto gi. Mariyam said reciprocating the hug.
Khair ab Chalo Maa begum andar wait kr rhi hain tmhaara. Mariyam said while leaving for kitchen.
Haya: Tm Kahan Chali. Sath Chalo mere. Haya ne kaha.
Mariyam: Tm Chalo mein aati hoon bs.
Haya: Nhi Sath Chalo yr Maa Begum se akele mein nhi milna mjhe.
Mariyam: Akele Tou khair nhi Hain.
Haya: Kya mtlab
Mariyam: Kch nhi Chalo.
Assalam o alaikum.
Both the girls greeted the guests.
Walaikum assalam.
Maa Begum: Yeh haya hai. Meri nand ki beti hai magar meine hamesha apni betiyon ki tarah Pala hai isse.
Sabra khala: Ji Maa Begum mjhe pta hai iss baat ka. Masha Allah boht Pyari bachi hai aap ki.
Sabra khala ne haya ko apne Sath betha Liya.
Maa Begum: Mariyam tm jao kitchen mein Dekho.
Mariyam sar hilati chal Pari.
Mariyam: Ajeeb larka hai dekhne haya ko aaya tha magar dekh mjhe rha tha. Maybe I am overthinking. She mumbled to herself. Meerab Aap Kahan ja rhi hain. Sabra khala aur naurez aayen hain. Haya k rishtey k liye.
Meerab: Haan Murtasim ne btaya mjhe. Mein fresh ho k aati hoon.
Mariyam: G theek hai.
Back to drawing room.
Sabra khala: Maa Begum mjhe haya boht pasand aayi hai agar aap ki ijazat ho Tou mu meetha kren.
Maa Begum: Mjhe Tou koi aitraaz nhi hai magar hamare Yahan Sab faisle Murtasim Khan krty Hain. Tou tm yeh ussi se pucho.
Sabra khala: Kyun Murtasim tmhen koi aitraaz?
Murtasim: Nhi nhi. Aap Bismillah kren.
Sabra khala fed mithaai to haya.
Haya ne zabardasti woh nigli aur excused kr k bahir aa gyi.
Maa Begum: Lgta hai beti Sharma gyi hamari.
Sab muskurane Lage.
Later at night:
Haya: Maryam tmhen Sab pta tha phir bhi tmne nhi btaya mjhe.
Mariyam: Jo harkat tmne ki thi uske Baad shukar kro Maa Begum ne zinda chor diya hai aur waise bhi naurez acha larka hai. Well educated and well groomed. Plus good looking bhi hai. Aur Kya chahiye.
Haya: Tmhen itna acha LG rha hai Tou khud krlo. Mjhe nhi krni Shaadi Kisi se. Mein murta....
Mariyam: Khabardar Jo Bhai ka Naam bhi Liya ab tmne. Maa Begum ne zinda gaar dena hai tmhen. Smjhne ki Koshish kro Bhai ki Shaadi ho chuki hai aur woh meerab se mohabbat krte Hain and mjhe Toh lgta hai Meerab bhi Bhai ko pasand krne lgi Hain. Tmhaari wahan koi gunshaish nhi hai.
Haya: Tm mjhe na hi sikhao Tou behtar hai. Chaar kitabein Kya prh li har waqt ustaadi jharne lgti ho. Haya chir k boli.
Mariyam: Tm na la ilaaj hogyi ho. Bs ab kch aisa na krna k Maa Begum tmhen gaon nhi seedha Jahanum bhej den. Maryam walks out of the room.
Meerab aap Yahan.? Maryam asked seeing her in kitchen.
Meerab: Tm!! Mjhe lga Murtasim phir aa gya mjhe dhoondte. Kch nhi bs Murtasim k liye coffee bana rhi thi.
Oho kitchen romance. Maryam ne muskura kr kaha.
Nhi bhaee. Meerab said while stirring her coffee mug. 
Meerab: Tm peyogi??
Mariyam: Haan mein bhi coffee Lene hi aayi thi is haya ne Tou dimagh kharab krdia hai.
Meerab: Kyun Kya hua
Mariyam: Keh rhi hai Maa Begum ko inkar krdo naurez k rishtey k liye.
Meerab: Haan toh krdo agar woh razi nhi hai.
Mariyam: Yeh aap keh rhi hain. Mjhe lga you'll be happy about her leaving the house.
Meerab: Jo bhi ho zabardasti ki Shaadi maslay ka Hal nhi hai. Tm bolo Tou mein baat krti hoon Maa se.
Mariyam: Khair ab Jo bhi Hoga subha hi Hoga.
Meerabbbb!! Murtasim was screaming her name.
Mariyam: Jayen aa gya bulawa.
Meerab: Baaz ao tm.
Meerab took coffee cups to her room.
Meerab: Yeh lo coffee tmhaari. Do min wait nhi hota tmse. Time lgta hai coffee bananay mein.
Murtasim: Tmse kis kaha mein coffee ka wait kr rha tha.
Meerab: Tou phir
Murtasim: Tmhaara wait kr rha tha.
Meerab: Jhoot Kam bolo aur tm kaam kr rhy the naa Kuch woh kro chup chaap.
Murtasim: Itni der kyun hogyi thi.
Meerab: Mariyam k pass thi.
Murtasim: Kyun? Woh iss waqt jaag rhi hai.
Meerab: Haan haya ki BAAT kr rhy the. Usse naurez se Shaadi nhi krni. Tm baat kro na Maa Begum se.
Murtasim: Mein Kya baat krun aur wese bhi Kya burai hai naurez mein.
Meerab: Koi burai nhi hai magar haya nhi chahti usse Shaadi krna.
Murtasim: Lekin mein chahta hoon k uski Shaadi hojaye ta k mjhe Sirf ek ziddi ko deal krna pare.
Excuse me. Mein ziddi hoon??
And the fight began again 🤣🤣

Next morning Maa begum entered their room while they were having their morning tea.
Maa Begum: Hamare tazleel ki hai unhon ne Murtasim.
Murtasim: Kis k itni majal Maa.
Maa begum: Sabra ne haya ka rishtey se inkar krdia hai aur uske badlay mariyam ka rishta Mang Liya hai. Tm jao aur unhen inkar kr k ao. Agar unhon ne haya ko inkar Kiya hai Tou phir hum mariyam ko bhi nhi dengy aise logon ko.
Murtasim: Jee Maa Sahab.
At naurez s house.
Naurez: Murtasim Bhai mjhe andaza hai k aap ko shayad yeh baat buri lgy magar aap please Meri poori baat sun le.
Murtasim: Kaho.
Naurez: Mein aap k Ghar haya se Milne hi aaya tha magar meine wahan mariyam ko dekh liya and tbh Jo meine apni wife ki image banayi thi mariyam is truly that girl. Haya boht achi hai magar ab shayad mein usse woh maqam kbhi na de paon Jo woh deserve krti hai.

Cut to haveli scene.

Maryam was tensed with this situation and she's worried k uski studies ka Kya Hoga ab?
Mariyam: Meerab aap baat kren na Maa se. Mein yeh Shaadi nhi krna chahti. Abhi Meri studies Baki Hain.
Meerab: Mariyam Shaadi nhi krni ya Yahan Shaadi nhi krni??
Mariyam: Meerab aap kesi baatein kr rhi hain. Mjhe Sirf apni studies ka issue hai. Hamari family mein larkiyan Shaadi k Baad nhi prhti balkay unhen Ghardaari mein lga diya jata hai. Aap yeh baat janti Hain and mjhe apni studies complete krni hai.
Meerab: Haan I know bs assured kr rhi thi. Anyways Murtasim gya hai baat krne k liye don't worry Sab set ho Jayega.
Fina: Khan aa gye hain.
Meerab: Ruko mein dekhti hoon
Murtasim. Kya hua Kya baat hui tmhaari naurez and uski family se.
She asked him coming down the stairs.
Murtasim: Andar chal k baat krty Hain.
Meerab: Tmne inkar krdia iss rishtey k liye?
Murtasim: Nhi Maa Begum lengi yeh faisla.
Meerab: But Maa Begum ne tmhen bheja tha inkar krne k liye
Murtasim: Haan magar naurez se baat kr k mjhe yeh rishta munasib Laga hai Maryam k liye.
Meerab: Kya kaha usne.
Murtasim: Usne kaha Jo ankhon k zariye Dil mein utar jayen unke Saath Tou guzara ho jata hai magar Jo Dil SE utar jayen unse baat nhi banti. And baat mein dam tha. Woh haya se mohabbat nhi krta aur tm hi kehti ho na k zabardasti ki Shaadi koi Hal nhi hai so behtar hai woh usse Shaadi kre jisse krna Chahta hai.
Meerab: And what about Maryam. Woh Shaadi nhi krna chahti abhi studies chal rhi hain uski. Don't you think uski Marzi bhi important hai.
Murtasim: Iss baat ka faisla Maa krengi.
Meerab: But tm Maryam ki himayat Tou kr skty ho na Maa k Samnay.
Murtasim walks out of the room and discuss the situation with Maa Begum and give his approval on this proposal.
Maryam was crying in her room and meerab went there to console her. Maa Begum walks into the room.
Meerab: Maa Begum please aap apni beti ki Khushi ka Tou khayal krlen. Aisa mat kren.
MB: Meerab Maryam Meri beti hai uski Khushi mjhe Sab se zyada Aziz hai aur yeh faisla uski behtari k liye hi Hai. Larkiyon ki Shaadi waqt pe ho jaye Tou Maa baap sukoon se rehty Hain. Aur mjhe poora yaqeen hai Meri beti mjhe mayoos nhi kregi.
Maa Maryam k sar pe hath rkh k Chali jati Hain.
Meerab: Maryam. Kya soch rhi hoon
Mariyam: Kch nhi bs ab mere sath bhi wahi Hoga Jo is khandaan ki har larki k Sath hota hai. Hamare khuwaab Jala k humein ussi aag mein jhonk dete Hain. Meerab aap ne yeh Sab kese bardasht Kiya. Mein sochti thi k Bhai itne achay hai phir aap kyun khush nhi hai aaj smjh aaya apne khuwaabon ki aag mein jalna kesa hota hai. Aap bhi shayad yehi Sab suffer kr rhi hongi.
Meerab: Maryam meine tmse waada Kiya tha. You won't lose anything. Mein baat krungi Maa Begum aur Murtasim se. Tm apni studies continue Shaadi k Baad bhi Tou kr skti ho.
Mariyam: Meerab hamari riwayat ko janti hain aap.
Meerab: Riwayat tmse aur tmhari Khushi se barh kr nhi hai. Mein baat krti hoon Murtasim se.

Next Episode: Meerab gets her law studies continued and Murtasim went to meet Naurez.  There they settle things and finally maryam and naurez are happy with their marriage decision.

Tere Bin (Modified version) Where stories live. Discover now