(At Devahita's side)(Dev stopped the car, still Anahita could feel the stroke of air on her face and hair)
(Dev made her get out of the car and removed the blindfold, she opened her eyes slowly, she was stunned by the beauty of the place)
(It was a sunflower farm, from the top angle it looked like a red dot in between a yellow land)
Dev:- kaisa laga surprise
Anahita:- tumhe kaise pata ki mujhe sunflowers pasand hai
Dev:- mujhe sab pata hai, sab janta hu me tumhare bare me
Anahita:- 😏ab sach batao
Dev:- avneet ne bataya, lekin mujhe ye bat samajh me nai ayi logo ko rose, orchid, tulip, peony, lily, lotus..
Anahita:- bas..bas seedha point par aao
Dev:- point ye hai ki tumse sunflower he kyu pasand hai
Anahita:- kyuki mujhe lagta hai ki ye ham jaise hai bilkul, enko na sun se pyar ho gaya hai, roz jab sunrise hota hai to ye khil jate hai or sunset ke sath murjha zindagi me pyar sirf 1 bar hota hai or sunflowers ko sun se hua vo apne pyar ke liye loyal hai, dedicated hai agar sun nai hoga to sunflower bhe nai hoga, agar zindagi me pyar nai hoga to zindagi adhuri hai
Dev:- i didn't knew ki is stone ke andar itna beautiful heart hai
Anahita:- oh hello 😠
Dev:-hello😊
Anahita:- tumne mujhe stone bola
Dev:- jo ho vahi bolunga na ab annabella ko teddy bear to nai bol sakte na
Anahita:- you😡
Dev:- me🤣
(Sunflower ke khet me tom and Jerry Chase shuru🤦🏻♀️ ye nai sudharne vale)
(Doudte..doudte dev ka pair phisla, Anahita ne use pakda lekin vo bhe fisal gayi dono ab keechad me pade hue hai, dev neeche or anna upar)
Dev:- are bachao
Anahita:- aas pass koi nai hai dabbu kisko bula rahe ho
Dev:- are tumse bol raha hu mere upar se hatho varna me dab ke mar jaunga
Anahita:- oh hello me itni bhe bhari nai hu
Dev:- ye uthne ke bad bhe bol sakti ho na, ya tumse utha he nai ja raha, lagta hai is aate ki bori ko uthane ke liye crain mangana padega
(Ab Anahita ko aya gussa, dev ke upar se madam uth to gayi lekin ab dono me keechad fight chalu ho gaya🤦🏻♀️sach me kuch bhe karte hai ye log)
Dev:- are ruko..ruko hamare sare kapde gande ho gaye
Anahita:- (looking at her dress) oh no aaj to mummy mujhe nai chodegi pata hai kitni mahangi dress the pure 6000 ki the
Dev:- bas itna sasta 6000 ke to sirf mere branded shoes hai, hamare ghar ki maids bhe isse mahange uniform pahanti hogi
Anahita:- ho gaya tumhara flex kar liye apne paise, tum hoge rich lekin ham middle class log hai, hamare liye 6000 kam nai hota bohot zyada hota hai, tumhari jitni pocket money hogi na utni hamare dad ki monthly income hoti hai, lekin tum nai samjhoge, tumhara world alag hai or mera alag
(She stood up and was about to go but dev held her hand, she turned and saw dev holding his ears)
Dev:- sorry, galti meri hai papa bhe hamesha mujhe isliye datte hai lekin me unki bate manta he nai hu dabbu hu na isliye, lekin tum to meri dost ho tum mujhe maf karogi na
Anahita:- ha thik hai maf kar diya tumhe
Dev:- to chalo ghumne
Anahita:- aise in gande kapdo me, tumhari vajah se gande hue hai ab kya karu me
Dev:- me..mene kya kiya
Anahita:- na tum bhagte, na tum girte, na me tumhe pakadti or na me girti
Dev:- accha to us hisab se me bhe bol sakta hu ki agar tum gussa nai hoti or mujhe marne ke liye mere peeche nai bhagte to me bhe nai bhagta to galti tumhari hai meri naj
Anahita:-accha to agar tum mujhe gussa dilate he nai to ye sab nai hua hota, galti tumhari hai
Dev:- ladai ka topic flowers the or sunflowers tumhe pasand hai to galti tumhari hai
Anahita:- mene bola tha kya yaha lane
Dev:- nai, lekin tumhe sunflowers pasand hai isliye me yaha laya
Anahita:- sunflowers pasand hai to kya, seedha farm me he le aoge, 1flower se bhe kam chal jata na isliye galti tumhari hai
Dev:- thik hai meri maa galti meri hai me mafi mangta hu, me he pagal hu jo tumhari khushi ke liye itna sab kuch kar raha hu, socha tha ki aaj se hamari ladai kam ho jayegi lekin ham kabhi nai sudharne vale
Anahita:- are tum to senti ho gaye chill yaar i didn't mean anything
Dev:- to ab chale
Anahita:- kaha
Dev:- pahle to mene apne assistant ko bol ke kuch kapde mangwaye hai or ofcorse ek vanity van bhe, ham kapde badalne ke bad dinner pe jayenge or uske bad ek special jagah jayenge
Anahita:- special jagah🤩 kaha
Dev:- surprise hai anna🤦🏻♂️
(They changed there dresses to casuals and went to the chaupati for the dinner, coz anna loves that😏)
(After that he took her to raj ghat [Raj Ghat is a memorial dedicated to Mahatma Gandhi in Delhi])
Dev:- Avneet ne mujhe bataya tha ki tumhe yaha ana bohot pasand hai
Anahita:- ha bohot zyada, yaha ane ke bad mere andar ek different power a jati hai, himmat, takat, josh sab bhar jata hai, apne desh ke liye izzat or badh jati hai
Dev:- oh, me yaha pahli bar a raha hu
Anahita:- to kaisa laga ye pahla experience
Dev:- the place looks good par yaha hai kya
Anahita:- you dabbu🤦🏻♀️(she tells him the story of raj ghat)
Dev:- really yaha mahatma Gandhi ji hai i mean you know what i mean
Anahita:- ya i know, isliye kahte hai thoda padh liya karo kuch bhe nai pata hai tumhe
Dev:- oh hello mujhe history nai pasand but technology ke bare me pucho i know everything, tumhe pata nai lekin bohot intelligent hu me
Anahita:- intelligent ka pata nai lekin sweet zarur ho
Dev:- (checks her temperature, sir pe hath rakh ke)
Anahita:- kya kar rahe ho
Dev:- tumhari tabiyat bohot zyada kharab hai, tumhare andar pakka kisi acche ladki ka bhoot aya hai
Anahita:- kya bol rahe ho tum
Dev:- sach bol raha hu, jab se taiyar hoke ayi ho tab se gadbad lad rahi hai mujhe, lekin lagta hai bhoot ko sunflower se allergy hai farm me bhag gaya tha, lekin ab vapas a gaya hai
Anahita:- tumhara na dimag kharab ho gaya hai
Dev:- tumne he to kiya hai
Anahita:- you😡
Dev:- meee..🤣
(Dono ki Tom and Jerry Chase chala thodi der fir dono thak gaye rat bhe bohot ho gayi the to ghar bhe chale gaye)
YOU ARE READING
soul mates
Fanfictionthe story of 6 souls made for each other Jab pyar hona hota hai na tab ho jata hai..