11

44 4 3
                                    

Ahaan:- kyu bhai dosti ho gayi kya usse

Sid:- koi dosti nai hue hai balki ladai ho gaye hai

Chief:- ha laga tha jab petrol or cingari milenge to aag to lagni the

Sid:- vo ayi hai ya nai aap bas ye bata do mere ye faltu bato ka time nai hai

Chief:- nai ayi hai or message kiya tha ki aaj nai ayegi

Sid:- uske ghar ka address hai?

Chief:- ha hai (gave him the address)

(Sid went to her house he was about to ring the door bell but stoped)

Sid:- agar aise uske ghar me chala gaya to log kya sochenge uske mummy papa ko kya bolunga me ki me koun hu kya karu jau ki nai

(He was thinking about it suddenly the door opened)

Soniya (mom):- are beta bahar kyu khade ho andar aao na

Sid:- nai nai aunty me to bas avneet se milne aya tha

Soniya:- sorry beta par vo to ghar pe nai hai phone karke bola tha usne ki vo aaj late me ghar ayegi

Sid:- late ghar ayegi matlab kaha gayi hai vo

Soniya:- gaye hogi apne kisi dost ke sath ya agar mood kharab hoga to kisi jungle ya pead ke neeche baithi hogi

Sid:- thank you aunty me chalta hu

(He went to a park)

Sid:- kaisi ajeeb se family hai na dar na fikar itni raat hone vali hai lekin unhe pata nai ki unki beti kaha hai or koi fikar bhe nai hai uski, or ghar pe ek anjaan ladka a gaya fir bhe itne pyar se bat kar rahi the kuch zyada he modern log hai, lekin mujhe to fikar ho rahi hai itni raat ko kaha hogi vo akeli ladki delhi itni khatarnak jagah hai kahi kuch galat ho gaya to😧

Ek minute me uski fikar kyu kar raha hu vo to delhi ki don hai sare luche lafange uske dost honge sab uske age peache ustad ustad karke chalte honge bhool ja sid bhool ja vo bilkul thik hogi or koi mood vood kharab nai hoga uska kahi apne awara dosto ke sath party kar rahe hogi

(Sid went home it was midnight avneet was sleeping peacefully with her lovely animals, her favourite was her simba the lion, a monkey named bandru, a tiger named tiggi, a elephant named kiki and another named bhola, her mother knows about it so she is calm but on the other hand sid is still worried about her, he was trying to sleep but he couldn't he was thinking about his words which he said to avneet)

Sid:- mene uske sath galat kiya

(The next day everyone was sitting in there places)

Sid(in mind):- kya vo aaj ayegi

Anahita:- aaj subah bhe vo ghar nai ayi pata nai pure rat kaha the vo thik to hogi na

Sid (in mind):- kya, vo puri rat ghar vapas nai gayi mene use itna hurt kiya, kahi usne kuch aisa vaisa to nai kar liya

Vaishnavi:- chill kar na vo pakka apne simba ke sath hogi

Sid(in mind):- ab ye simba koun hai uska boyfriend hai Kya, uski harkato se lagta nai ki uska koi boyfriend hoga lekin shakal to acchi hai ho bhe sakta hai

(Then avneet enters as always with a smile on her face, saying good morning to everyone)

Vaishnavi:- lo a gayi

Sid:-(m) ye to acche khasi khush lag rahe hai me to bina matlab ka tension le raha tha

Anahita:- kal pure din kaha mar gayi the

Avneet:- simba ke sath the

Vaishnavi:- bola tha na mene ye pakka simba ke sath he hogi

Anahita:- tune aunty ko bataya tha

Avneet:- ofcorse yaar

Sid(m):- matlab ye puri rat apne boyfriend ke sath the🤯 or ye sab aunty ko pata tha fir bhe unhone ise kuch nai bola, 1min kahi me ise fir se to galat nai samajh raha hu I mean apne bete ka nam koi simba to nai rakhta or agar rakhta bhe ho to ye bhe to ho sakta hai ki vo iska bhai ho varna kisi ki mummy usko apne boyfriend ke sath to pura din nai rakne dengi

Anahita:- oye bhola kisa hai or kiki, or tera bandru kaisa hai

Sid:- me bilkul thik hu tumhare samne he to baitha hu usse kyu puch rahe ho

(The girls started laughing🤣)

Avneet:- tu bandar ka baccha hai or ham teri bat nai kar rahe hai samjh🤭

(Vaishita pulled avneet towards them)

Anahita:- tu isse zyada bat mat kiya kar

Vaishnavi:- me to kahti hu bilkul bhe bat mat karna

Avneet:- kyu

Anahita:- kyu kya kyu kal pata nai isne kya bol diya tha jo tu ro rahe the kal dekha tha hamne

Vaishnavi:- ham sirf tujhe haste hue or logo ke liye stand lete hue dekh sakte hai rote hue nai, tutte hue nai

(They hugged her)

(Avneet took them to a corner)

Avneet:- ha kal me ro rahe the isliye nai ki sid ne mujhe kuch bola balki isliye ki me galat the

Vaishita:- kaise

Avneet:- me use akdu samajhti the jo ki ho hai bhe lekin akad se zyada uske andar daar hai jo mujhe pahle samajh me nai aya or jane anjane shayad mene use hurt kiya tum log janna cahte the na ki kal pure din me kaha the

Anahita:- abhe to tume andar bola ki tu jungle me the

Avneet:- ha me jungle gayi the lekin fir me Mumbai gayi

Vaishnavi:- Mumbai?

Anahita:- kis khushi me

Avneet:- Sidharth ki puri jankari nikalne or jab mujhe uska past pata chala to I was shocked

Anahita:- aisa kya hua tha

Avneet:- Sidharth ke dad ek emandar or pakke usulo vale police commissioner the, unke hote hue Mumbai me corruption, or crime dono he bohot kam the kaha jay to na ke barabar, lekin is duniya me agar acche log hai to obviously bure bhe honge jinme se unke kuch seniors or kuch juniors bhe shamil the or un sab ka boss vaha ka ek minister, lekin sid ke dad ke hote hue unka koi bhe kam pura nai hota tha

Anahita:- kam matlab kaisa kam

Avneet:- kam matlab, drug supplies, murders, kidnapping, gold smuggling, bounded Labour's, or desh me jitne bhe illegal kam hai vo sab karte the, lekin jab se Sid ke dad ki posting Mumbai me hue inka ye kam barbad hone laga, raids ke through unhone sare kam ko roka or kai sare officers or jo bhe in sabme included the sab ko arrest karne lage, kuch pakde gaye, kisi ne suicide kiya, lekin inke boss yane us minister ka nam kabhe samne nai aya tha, lekin ek din uncle ko sab pata chal gaya or vo us minister ko arrest karne unke office pahuchne he vale the, tabhi..

Vaishita:- tabhi😥

Avneet:- tabhe unke ghar ko bomb se blast kar diya gaya, us vakt sid or uski mom ghar par nai the or uncle bhe minister ke office me the isliye vo bach gaye but unfortunately sid ke grandparents ki us incident me death ho gaye, sid or uski mom ko kidnap kar liya gaya, or uncle ko ye dhamki di gayi ki agar ye bat bahar nikli to vo sabko mar dalenge, na sirf unki family ko balki sare shehar ke masumo ko bhe, kyuki kisi ke jeene marne se unko fark nai padta tha, agar vo aisa kuch karte to bhe bat terrorist attack ke nam par khatam ho jati

Anahita:- fir kya hua😟

Avneet:- kya hona tha, power bure logo ke pass the sare sabut unhone mita diye or uncle ko corruption ke charges me jail me dal diya, 10 sal jail me rahne ke bad unka transfer delhi ke ek chote se gao me kar diya as a constable

soul matesWhere stories live. Discover now