(Sid was sitting alone in a temple looking at the closed doors)
(Avneet knew this and came to him and sat next to him)
Sid:- tum yaha kya kar rahe ho
Avneet:- jo tu kar raha hai
Sid:- me to bas yaha baitha hu
Avneet:- to kya me nai bath sakti
Sid:- baith sakti ho kyu nai zarur lekin mere pass mat baitho
Avneet:- kyu
Sid:- mere sath tumhara baithna sahi nai hoga
Avneet:- kyu tere upar kisi ne khujli ka powder dal diya kya jo tere pass baithi to mujhe bhe khujli hogi
Sid:- me itna bura hu jab se mila hu tab se sirf tumhe bura he samjha hai tumhari baizati ki logo ke samne tumhe danta lekin fir bhe tumne mere liye itna sab kuch kiya kyu avneet
Avneet:- sid me pahle bhe kah chuki hu or fir se kah rahi hu mene jo kiya vo logo ke liye kiya or tum to un sab me ate bhe nai ho mene tumhare nai tumhare dad ki help ki hai
Sid:- help to ki na
Avneet:- actually help mene nai unhone meri ki hai agar vo nai hote to ye sab mujhe kabhi pata he nai calta
Sid:- to kya papa ko pata hai ki tumne ye sab kiya hai
Avneet:- are nai nai me to unse kabhi mili bhe nai hu sirf jis din tumhare ghar me ghus ayi the na us din photo me dekha tha unhe
Sid:- to fir aisa kyu bola ki papa ne tumhari madat ki
Avneet:- vo is liye kyuki agar tumhare dad ne war us vakt start nai ki hoti to shayad ye war kabhi start nai hoti isliye ek din na me tumhare ghar aungi or tumhare dad ko salute karungi
(Suddenly sid saluted avneet)
Sid:- avneet ye salute tumhare himmat ke liye, tumhare selfless nature ke liye, tumhare patience ke liye, or sorry (holding the ears and doing situps) tumhe hurt karne ke liye tumhe galat samajhne ke liye, tumhe samajh kar bhe na samajhne ke liye
Avneet:- it's ok Sid mene kabhi bhe tumhari kisi bat ko dil pe nai liya, mene kabhi bura nai mana tumhari bato ka balki me to tumhe apna dost manti hu or dosti me to ye sab calta hai
Sid:- tum mujhe apna dost manti ho
Avneet:- ha
Sid:- mu.. mujhe dost 😢(hugged her) aaj tak mujhe kisi ne bhe apna dost nai mana
Avneet:- kyuki tum hamesha bandar ki tarah muh fula ke baithe rahte ho bandar ke bacche
Sid:- sachi😕
Avneet:- ha tum bohot boring ho
Sid:- tumne sorry bolna to sekha diya ab hasna bhe sikha dena
_________________________________________
Sid:- 1 bat batao tumhe kaise pata chala ki ki me yaha Mandir me hu
Avneet:- are bohot simple hai, mene tujhe notice kiya hai th bohot sanskari hai ekdam sanskar ki dukan or tere 90's ke colony valo ko bhe dekha hai
Sid:- isse mere yaha hone ka kya relation
Avneet:- tum jaise log na zindagi me kuch bhe hota hai uska credit bhagwan ko he dete ho, kuch accha hua to 1dabba laddoo chadha dete ho or agar koi gadbadi ho jaye to bhe bhagwan ki galti, or agar galti se bhe apne kiye kam ka pachtava ho jaye to pata hai kya hota hai
Sid:- kya🤔
Avneet:- (full on over acting karte hue) he bhagwan mujhe utha le, ye merese kya ho gaya, pap hua hai pap, jo mene kiya hai uske liye mujhe narak me bhe jagah nai milegi😭 mujhe utha le bhagwan..mujhe utha le🤣🤣 aisa karte ho or aaj tu bhe mandir a ke aisa he kuch kiya hoga
Sid:-(m) bap re ise itna sab kuch kaise pata
Avneet:- mujhe sab pata hai janab
Sid:- tu dimag bhe padh sakti hai
Avneet:- mana ki me bohot talented hu lekin ye talent nai hai mujhme lekin ha log kis situation me kya sochte hai ye bata sakti hu thodi bohot psychology ati hai mujhe
(There talk continued, at the park near sid's home devahita and abhinavi were sitting)
Abhi:- kitni der ho gayi agar yahi baithe rahe to koi dekh lega
Anahita:- ha agar vibha aunty ne hame yaha baithe hue dekh liya to fir se rona start kar dengi
Dev:- lekin ham jaye kaha ye ek he jagah hai jaha se hame sid or avneet ate hue dikh sakte hai
Vaishnavi:- are unki chinta mat karo avneet sid ko ghar chod degi or mene use message kar diya hai ki hame call kar de, to vo Sid ko chod ke call karegi
Dev:- to fir kahi dinner or calte hai
Abhi:- dinner?
Vaishnavi:- ha calte hai vaise bhe dinner time ho gaya hai 11 baj gaye hai
Dev:- to chalo kisi restaurant me chalte hai
Anahita:- nai restaurant me nai ham kisi chaupati pe chalte hai vaha tasty tasty khana milega
Dev:- eww.. no way chaupati pe junk food milta hai, itne dino se me gym bhe nai gaya hu pata nai kitna calories gain kiya hoga mene no junk food
Anahita:- bol to aise rahe ho jaise restaurant me tumhara ubla hua tasteless food milega
Dev:- ofcorse milega
Anahita:- accha thik hai ek kam karte hai tum hotel jao me chaupati jati hu or abhi or vaishnavi ko jiske bhe sath jana hoga vo jayenge
Dev:- ha thik hai abhi chal mere sath
Abhi:- me kyu
Dev:- tu mere sath restaurant nai chalega
Abhi:- nai mujhe bhe chaupati jana hai, vaha ki masaledar khane ko chod me mujhe uble hue sabziya khane me koi interest nai hai
Dev:- dost..dost na raha bhai..bahi na raha😢 koi bat nai me akele jaunga or tera ye dhokha hamesha yaad rakhunga☹ isme tera ghata mera kuch nai jata
Anahita:- ye hame bolna cahiye tha isme tera ghata mera kuch nai jata tum khao apni sabzi ham chale chat, golgappa, samose, chole bhature.. or bhe bohot kuch khane
(Anahita and abhinavi went inside the chaupati)
Dev:- ha jao sab jao kisi ki zarurat nai hai mujhe, or abhi ke bacche dost ke nam pe kalank hai tu girlfriend ke liye best friend ko bhul gaya😤
(Dev was about to go from there but the delicious smell of the delicious food was entering his nose and he couldn't resist himself from entering the chaupati)
(Anna and abhinavi were eating golgappa)
Anahita:- bhaiya thoda or spicy banana
Dev:- mujhe bhe 1 plate dena bhaiya
Anahita:- oh to tum a gaye
Dev:- bol to aise rahi ho jaise tumhe pata tha ki me yaha aunga
Anahita:- ha pata tha kyuki aaj tak duniya me koi aisa paida nai hua jo khudko itne tasty khane se dur rakh paye, in sab ki khusbu insan ko andar gheech he lati hai
Dev:- oh to finally tumne exapt to kiya ki me insan hu
Anahita:- ha ha man liya kyuki chaupati ke andar sirf pyar he pyar hota hai dushmani bahar hai chaupati ke andar duahman bhe dost ban jate hai or ise liye is vakt tum mere dost ho
Dev:- matlab tum mujhse ab ladogi nai
Anahita:- jab tak me kha rahi hu tab tak to nai lekin chaupati ke bahar hamara world war chalta rahega no change in that
Dev:- tumhe ye sab itna pasand hai
Anahita:- zindagi hai ye sab
Vaishnavi:- ha agar iski nase kato na to uske andar se blood nai masaledar junk food niklega
Anahita:- kuch bhe
Vaishnavi:- vaise isse bhe badi bhukkad hai avneet, agar dono ko sath me chaupati me chod diya jaye to puri chaupati kha sakte hai dono
Abhi:- lekin ye avneet hai kaha

YOU ARE READING
soul mates
Fanfictionthe story of 6 souls made for each other Jab pyar hona hota hai na tab ho jata hai..