Avneet:- aaj to bach gaya tu uncle ke karan kal mil tu batati hu
Sid:- mene bhe koi mahandi nai laga rakhi, tu bhe mil
Mr nigam:- are bas karo or chalo ander, tumhari aunty wait kar rahi hai
(They went inside the home, sidneet muh fula ke baithe hue hai)
Vibha:- are aao beta aao
Sid:- mummy😊
(He went near her)
Vibha:- are tu kaha a raha hai mene to Avneet se bola tha, haay kitni pyari bacchi hai
Avneet:- or aap bhe bohot cute hu aunty😘
Sid:- makkhan laga rahi hai😒
Vibha:- are udher kya khade ho siddharth jao Avneet ke hath muh dhulao or dining table tak le aao
(Sid started walking)
Vibha:- are sunai nai diya kya bacchi ko sath le jao
Sid:- bacchi nai hai 18 sal ki ladki hai or saf..saf dikhta bhe hai peeche a jana
Vibha:- aise bat karte hai..
Avneet:- rahne dijiye na aunty, i will manage
(She went behind him to the washroom)
Vibha:- kitni acchi bacchi hai
Mr nigam:- ha bado ki izzat bhe karti hai, lekin dono bohot ladte hai
Vibha:- are kamse kam ladai ke bahane he sahi Siddharth kisi ladki se bat to kar raha hai
Mr nigam:- ha vo to hai
(Ab sab milkar lunch kar rahe hai)
(At Anahita's home)
(She rushed inside the home went to her room, bag side me patka or teddy bear ko peetne lagi)
Anahita:- wo dabbu, duffer, idiot ek number ka gadha hai, how dare he
Vivaan:- are aaj kya kiya apke dabbu ne
Anahita:- kya kiya😠 ye pucho kya nai kiya, usne bola ki me.. mere gal itne mote hai ki lagta hai muh me rasgulle bhar rakhe hai, or mera face football jaisa hai, jisme ek lambi si or akad se bhari nak lagi hai
Vivaan:- (in low voice) sach to bola hai
Anahita:- kya kaha
Vivaan:- himmat kaise hue uski meri didi ke bare me aisa bolne ki, aap batao vo rahta kaha hai me use bharat ratna dunga
Anahita:- Vivaan😡
Vivaan:- matlab bharat se nikal dunga, are hamare papa army me hai unse bolunga to apne pure regiment ko leke uska court martial kar denge
Anahita:- isme papa beech me kaha se aye us dabbu ke liye to me akeli he kafi hu
Vivaan:- to fir is teddy ko punching bag kyu bana rahi ho gussa bhe apne dabbu ke upar nikalo na
Anahita:- me use nai mar sakti
Vivaan:- kyu
Anahita:- kyuki promise kiya hai ham dono ne
Vivaan:- kya
Anahita:- hamne promise kiya hai ki ek dusre ko kabhi nai marenge
Vivaan:- to ek kam karte hai, aap use apne birthday pe bulaoge na to use mujhse mila dena me use sambhal lunga
Anahita:- me nai bulane vali use birthday pe
Vivaan:- kyu😕
Anahita:- mera birthday meri marzi
YOU ARE READING
soul mates
Fanfictionthe story of 6 souls made for each other Jab pyar hona hota hai na tab ho jata hai..