Previously
"Lykin phuspa g ko abhi bhi KS ki baat per yaqeen nahi araha hota...unko lagta hai ke KS abhi bhi humsy kuch na kuch chupa rahi han..."
"KS apny room mein janey ke baad sochti han ke.."
KS: (Sochtey hue) Acha hua...bach gaye...warna aj tuo phuspa g full tafteesh ke mood mein thi...
Continue
Next Day
"Agley din sab log thaney time se ajatey han... or sab apny apny kamon mein busy hotey han..." "Thaney mein aik naya case atta hai..."
"2 families thaney mein jagartey hue atti han...sab log unka jhagra dekh rahey hotey han..."
KS: (apni table se uth kar unkey pass jatey hue) Kya hogaya...kya masla hai? kyo machi bazar banakey rakha hua hai?.....kabsy bardasht kar rahey han...
"Itni deer mein MS bhi apny room se bahar ajati han..."
KS: (gussey mein) Chup..bilkul chup...ab kisi ka bhi awaz aya na...tuo..."aysi maar marengey...ke mou se sirf aiko baat nikleygi...ke daroga g tuo dekhey..per tumsa na dekha..." samjhey ke nahi..
"Dono chup chap kharey hojatey han..."
MS: (dono families se) Aye..beth kar baat kartey han..
Hint: Dono family mein husband/wife hotey han..
"Dono beth jatey han..."
MS: (pehli family ki taraf ishara kartey hue) G..pehley ap bataye...kya baat hai?
1st family husband: Dekhye madam...hamara beta 9th class mein hai...uskey abhi exams honey waley han...usko exams ki tyari karni hoti hai...or yeh han ke inkey ghr se har waqt guitar or drums ki awaz awaz atti rehti hai...ab ap hi bataye ke is tarah woh parhaye per kaisey focus kar payega?
MS: (dosri family ki taraf ishara kartey hue) G apka kya kehna hai..is barey mein..?
2nd family husband: Arey madam g...hamara beta college mein parta hai..or uska aik band hai... usne aik competition mein part liya hai...jiskey finals honey waley han...ab woh or uskey sathi ghr per practice nahi karengey..tuo kahan karengey..ab bataye?
"MS KS ki taraf dekhti han ke, yeh kaisa case aya hai.."
KS: (dono families se) Han tuo ismein masla kya hai...ap subah mein apka beta parhley or ap... sham mein apka beta practice karley...baat khatam..
1st family husband: Per Madam g...
KS: (unko thaney se bahar bejhtey hue) Par war kuch nahi...case close...baat khatam...chaliye ab jaye...
"Phir woh log thaney se chaley jatey han.."
Phuspa G: Kaisey kaisey case aney lag gaye han thaney mein...
Santu: Han...phuspa g..yeh bhi koi case hua...
Cheetah: (muskuratey hue santu ki taraf dekhta hai) Santu g...
KS: (gussey se) Cheetey...chalo kam per lago..
Cheetah: (ghabratey hue) G...G...madam..
KS: (phuspa g ki taraf dekhtey hue) Ap bhi..
Phuspa G: Han...Han...ja rahey han...jab dekho ...hamarey peechey pari rehti han....
MS: (apny room mein jatey waqt KS ko bulatey hue ) KS..
KS: G...MS..
MS ke cabin mein
"Phir KS MS ke cabin mein chali jati hai.."
MS: KS humey "vijay" ke case ke barey mein aik lead milli hai...humey pata chala hai ke woh aj raat kisi se milney chor bazar jayega..
KS: Yeh tuo achi baat hai MS...hum jatey han...or usko dhar kar latey han...
MS: Nahi KS...hum bhi apkey sath chalengey... KS: Arey...MS...iski kya jarorat hai...hum jatey han na...
MS: Woh buhat khatarnak hai KS...hum apko akeley janey nahi dey saktey...
KS: (dil mein sochtey hue) Yhi tuo hum chahtey nahi han MS...ke ap hamarey sath jaye...
MS: KS...ap samajh rahi han hamari baat ko?
KS: G MS.
"Phir KS MS ke cabin se bahar chali jati han... or apni table per jakar beth jati han..."
KS: (sochtey hue) Hum apko sath nahi le jasktey MS...hum kaise bataye apko...
KS: (Apny apko samjhatey hue) Nahi...hum is mamley mein bilkul jald bazi nahi karsaktey... warna hamari choti si laparwahi ki wajah se MS per khatra barh sakta hai...
"KS apni sochon mein gum hoti han...phuspa g KS ki taraf dekhti hai ke 'yeh kuch pareeshan lag rahi han..."
"Phuspa G KS ke pass unki table per jati han..."
Phuspa G: (KS se) Kya hua? Ap kuch pareeshan lag rahi han...
KS: (koi jawab nahi deiti, woh apni sochon mein gum hoti han)
Phuspa G: Arey...Kya hogaya...hum apsy baat kar rahey han...
KS: (apni sochon se bahar nikaltey hue) Heinn....
Phuspa G: Arey hum apsy poch rahey han...Kin sochon mein gum han ap?
KS: Arey kuch nahi Phuspa g...waysey hi kisi case ke barey mein soch rahey the...
Phuspa G: Arey itna mat sochye...chalye chai peeney chaltey han...
KS: Han...chalye...
"Bahar cheetah, santu or billu pehley se hi badnam ke satll per chai pi rahey hotey han...or hassi mazak chal raha hota hai...."
Billu: (badnam se) Kitney din hogaye...dimple bhabi nazar nahi arahi?
Badnam: Arey...chaparganju...hum hai na chai deney ke lye...tuo woh kyo ayengi...
Billu: Arey...nahi mein tuo waysey hi poch raha tha..
Cheetah: Dimple bhabi ki bari yaad arahi hai...billotey..
"Phir sab log hasney lag jatey han.."
"Abhi yeh...hassi mazak chal raha hota hai tuo KS or phuspa g bhi chai peeney ajatey han..."
Billu: (phuspa g ko dekhtey hi) Maa...
Billu: (badnam ko ishara kartey hue phuspa g ki taraf dekhta hai) Maa ke lye chai lao...maa..ap chai piyo..
To Be Continued...
ENJOY GUYS
Comments mein zaror batana ke kaisey laga..
Written by: Video-diary
Follow me for more exciting stories..
YOU ARE READING
KAREENA FRIENDSHIP (kareena bond)
FanfictionYeh case aik "vijay" nami mujrim per hai...jiska aik buhat bara plan hota hai..ab madamsir or karishma singh kaisey ussy rukti han or pakarti han...uskey lye....READ FULL STORY.. © Copyright by @videodiary