Jab Hum Mile...Phir Ek Baar

748 137 135
                                    

Yeh kahani puri tarah kalpanik hai, Haseena aur Anubhav, bas naam liye gaye hai  maddam sir show se baki kirdaaron ka na show se lena dena hai aur na asal jeevan se...isliye koi yeh na kahe ki Haseena ya Anubhav ko aisa kyun dikhaya gya hai...yeh kahani sirf hamare samaj ki kuch kuritiyon ko sabke samne laane ka ek chhota sa prayas hai..baki kirdaaron ka vastvikta se iska koi lena dena nahi hai..!

Since the topic is sensitive, please prepare yourself mentally before reading. And remember, this is a fictional story.

Tags~ 16+


A few days later....

"Noor tum tension mat lo hum baat karenge Anubhav se..!" Maa assured ammi regarding her insecurity.

"Shukriya tumhara, hum maafi chahte hai yeh sab kehne ke liye par humne socha nhi tha ki Haseena aur Anubhav ki dosti ke lekar log aise baat karenge..!" Ammi said sadly.

"Hum jante hai Noor,  aur tum bekar ki chinta mat karo...waise bhi Anubhav ki shaadi bhi karni hai in afawa ki wajah se uske liye bhi pareshani ho jayegi Aur upar se acchi bhali dosti kharab...!"

"Wahi toh..itne saal baad hamari bacchi hasna hona sikh rahi thi par logon ko bardaasht hi nhi hai...!" She said sadly.

"Logon ko dusre ki khushi bardaasht hi kab hoti hai Noor, jise dekho jalte phirte hai..!

"Hmm..kya hi kare, tum baat karna Anu se, hum Haseena se kah denge woh samjh jayegi...!" Ammi said. Maa hummed and they ended their call.

"Anu...!!" Maa knocked on Anubhav's room door. "Aa jao maa...!" He said. "Hu taari sathe vaata karva mangu chhu...! "

"Kahiye hum sun rahe hai...!" He replied looking into his files.  "Haseena ke bare mein baat karni hai..!" Maa said, he left the pen and looked at maa. "Use kya hua?" He asked worriedly.

"Kuch nhi...hum jante hai ki humne hi tumse kaha tha ki tum baat karo Haseena se, use wapas pehle ki tarah bana do par ab marathi dur raho usse...!" She requested.

"Kyu? Kuch hua kya? Ya Pappa ne kuch kaha?" He asked questioningly.  "Noor ka phone aaya tha..tumhe Haseena ke saath dekh kar  baatein bana rahe hai, hum nhi chahte ki tum dono ki dosti par daag lag jaye, waise bhi tumhari shaadi karni hai aur hum nhi chahte ki log tumhe kuch aisa waisa kahe...!"

"Toh yeh baat hai...*smile sarcastically* maa agar main kahu ki main Haseena se hi shaadi karna chahta hoon toh..?" He said looking at his mother who is shock by his statement.

"Pagal gya hai tu, jo bakwas kar raha hai...!!" Maa yelled on him. "Pyaar mein...!" He said with a smile and a tight slap landed on his face, lefting fingerprints on his cheek.

He laughed, caressing his cheek. "Bachapan se pappa ke haath se thappad padta tha toh lagta tha usse jyada ghaav koi aur thappad nhi de sakta par aapne aur Haseena ne galat sabit kar diya...!" He said smiling.

"Tune yeh baat Haseena ko bhi boli hai..?" Maa asked angrily. "Haan...par aaj nhi, uski shaadi se pehle hi bola tha, pehli baar dekha tha na use tabse pyaar karta hoon usse..!" He said and again maa slapped him.  She grabbed his collar.

"Aisi besharmo jaisi baat karte huye juban nhi kaanp rahi...woh tujhse kuch nhi toh saat saal badi hai aur tu usse pyaar karta hai...talaksudha hai woh, hume laga tha ki uske pati ka chakkar hoga isliye Haseena alag ho gyi par ab lag raha hai ki shayad tere bare mein pata chalne par usne chhod diya Haseena ko, chhi..pata nhi tha aisi aulad hai meri jo dusro ka ghar barbaad karta hai, sach sach bol talak isliye liya na kyunki Sameer ka nhi tera aur Haseena ka kuch tha, aur ab usi talakshuda se shaadi karni hai tujhe......!" Maa asked, angrily holding his collar.

Love-The Tales Of Hearts ✔Where stories live. Discover now