Chapter 8

259 44 11
                                    

Avneet: Main aaj office se leave le leti hoon. Main mummy papa se milne jati hoon. Jai ko bhi seedha karna hai.

Abhishek: Usne intentionally kuch nahi kiya. He was trying to help out Aarya. Aur bhaagna. Of course, he was concerned for his and my sister's life. He isn't at fault.

Siddharth: Aur uske is action se agar hume humari di vapas mil rahi hai. To usne to ye best kaam kiya hai na. Calmly baat karna usse.

Avneet nodded.

Abhishek: Main jata hoon apne room me.

Abhishek walked out of their room. He was going towards his room when Jayant called him.

Abhishek: Haa bolo?

Jayant: Tum unke room me kya kar rahe the kab se?

Abhishek: Ghar mera, bhai aur bhabhi mere, main baat unse kar raha tha, marzi meri... In short sab mera hai. To main tumhe kyun explanation doon?

Jayant stood staring at him for a few seconds.

Abhishek: Unko samajha raha tha don't misbehave with Aarya. Uski koi galati nahi hai.

Jayant (shocked): Kyun?

Abhishek: What do you mean by kyun? Tum chahte ho misbehave kare?

Jayant: Mera matlab samajha kyun rahe the? Unko itni samajh nahi hai kya?

Abhishek: Misunderstanding na ho. To meri jimedari hai har taraf se sab clear karna. Main vo kar raha hoon. Aur kuch hai kya tumhare pass bolne ko?

Jayant: Haa... Vo mujhe gaav vapas jana hoga. Vaise to ek do din rukne wala tha par khet ke kaam se jana hai. Ab Aarya tumhari jimedari hogi. Yaad rakhna meri behan ko takleef di to teri beti ki zindagi par khatra ho jayega.

Abhishek: Pehli baat to meri beti par se apni nazar hata. Abhi to main Avneet ko samajhane gaya tha na ke tere gaav par case na kare. Meri beti ki kasam leke bol raha hoon. Ek aur baar tune liya naam and in sab me drag kiya usko. Jo tera haal hoga vo sapne me bhi nahi soch sakta. Khud se samajhane gaya main unko situations puri kharab hai. Set hone me time lagta hai. Tumhari tarah nahi sar par gun rakh zabardasti kar lo.

Jayant: Dekh mujhe meri behan ki chinta hai. Vo bahut choti hai-

Abhishek (cuts him): Band kar ye natak. Choti hai na? Aur Itni hi chinta hai to aese zabardasti shaadi nahi karate. Jeene dete usko uski life. Ab ye clear words me bol raha hoon. Situations kharab hai time se sahi ho jayegi. Time dena tum logo ka kaam hai. Gun dikha kar kaam karna hume bhi aata par tum jaise nahi hai hum log. Aur agar time nahi de sakta to leke jaa apni behan ko.

Jayant: Theek hai 10 din hai. 10 din me sab theek kar varna main sab apne tarike se karuga.

Before Abhishek could have spoken. Jayant went towards the guest room to meet his sister.

Abhishek sighed.

Abhishek's POV: 10 days... Sab kuch hume 10 days me sort karna hoga. 10 days kam na pad jaye. Kuch karna padega jald hi.

He waited for a few minutes. After a few minutes, Jayant and Aarya walked in.

Jayant: Main chalta hoon. Tum dhayan rakhna.

He said to Aarya. She nodded. He shook his hand with Abhishek and left.

Neither Abhishek called his family to bid Jayant bye nor Jayant asked him to do so.

Abhishek: Tum rest kar lo. Shaam ko baat karte hai.

Aarya nodded and both left for their rooms.

Sometime later, Avneet left for her parent's home with Khushi, Siddharth left for his office and Reem left for her work. Only Vibha, Abhishek and Aarya were at home.

Skips to evening.

Siddharth, Avneet and Khushi came home back. Khushi saw Abhishek. She ran towards him but then her eyes fell on Aarya. She angrily turned towards Vibha.

Vibha: Nani ke ghar mil aayi sab se?

Khushi wobbled her head.

Abhishek took Khushi in his arms. She was wiggling, trying to jump out. Abhishek held her right.

Abhishek: Itna gussa papa se?

Khushi nodded.

Abhishek: Papa ki baat to suno.

Khushi (pointing at Aarya): No my mumma.

Abhishek: She isn't your mumma. Your mumma is Vaishu Na.

He took out his phone from his pocket. He showed her wallpaper.

Abhishek: See she is your mumma, hai na?

Khushi saw a wallpaper picture of her, Vaishnavi and Vibha.

Khushi: Yes! Khushu, Mumma, Dadi.

Abhishek (sighed): She is your mumma.

He hugs her, kissing her cheek.

Abhishek: Papa se gussa nahi hote hai. Papa loves Khushu...

Khushi nodded with a pout and hugged him back.

Siddharth, Avneet, Aarya and Vibha were looking at them silently. He is stressed as he gets to know his Vaish, his wife is alive. His mind is occupied by her thoughts only.

Vibha (breaking the silence): Kya socha tum logo ne?

Avneet: Maa pehle to hum soch rahe hai ek baar confirm kar le. Vo lady Di hi hai. If vo di hai to hume jald se jald unko vapas ghar lana hai.

Siddharth: Aarya ek kaam karo. Tum ghar phone kar baat karo aur unko bolo photo bheje. Abhi ke abhi nikal kar. Ek baar hum photo dekh confirm kar le. Then next step sochte hai kya hoga.

Avneet: But vo photo send karne ke liye kya reason degi. Aese na ho aur problem ho jaye koi. Ek to di unke under me hai.

Aarya: Rasam... Humara matlab hum kal path phere ki rasam ke liye ghar jaye. Hum aapko dikha sakte hai vahin par. Photo ki jarurat bhi nahi hogi. Path phere ki rasam ke liye bhai khud bol kar gaye hai kal aane ko.

Abhishek, Vibha, Siddharth amd Avneet looked at each other.

Vibha: Haa to ek kaam karte hai. Kal Abhishek, Aarya jayege Path phere ke liye. Main unke sath jaugi. Ladke ki maa hoon. Mujhe ladki ke parivaar se bhi milna hai aese bol kar. Vaha main aur Abhishek mil dekh aayege meri bachi ko.

Avneet was looking at Aarya with a suspicious look.

Avneet's POV: Ye di ke death ka name leke hume Trap to nahi kar rahi na? Path phere ke liye Maa aur bhai jayege no problem but what if vaha koi damki de kar ya koi pressure dala to? Kya pata di wali half information fake ho. Maybe she is using her name. Gun rakh shaadi kara sakte hai. Maybe ye sab planning ho inki.

To be continued...

MUDDLED LIFE (COMPLETED)Where stories live. Discover now