IV

595 35 12
                                    

Manisha uski baat sukar uska hath pakar leti hai kehti hai ab tu meri baat sun.
"Haa mai tumhe bachpan se janti hu.tum mere life ka ek permanent part ho.mai hamesha se tumse baat karna chahti thi.lekin tum prerna didi aur nischay bahiya se bahut alag the.tum hamesha ego me rehte the.maine tumse kaafi baat karne ki koshish ki lekin tum bas har jagah apna standard hi mujhse bada dikahate the.tum mere baat karne ke tarike ka mere dressing sense ka mazak udate the isiliye mai tumse door hoti chali gyi.

10 std me bhi jab tumne pure class ke samne meri insult ki toh mai toot gyi thi.
Tum mera wait karte the ki mai tumse baat karungi aur mai tumhara wait karti thi.

Maine phir tumse hamesha ke liye distance maintain kar liya lekin jab college me gyi toh hum phir ek dusre se mile toh lga ki Sayed ab sab kuch shi ho jaye.

Aunty mujhse hamesha puchti thi ki tum abbu se baat kyu nhi karti lekin mai unhe tumhare kartooto ke baare me bta kar uncle aunty ke samne tujhe villain nhi bnana chahti thi.

Tu chota tha nadan tha isiliye mai tumse badla lekar bhi Kya karti.

Mai tujhe shruaat se hi bahut manti hu isliye tumne mujhe itna pareshan Kiya phir bhi college me tumhari help karti thi kyu ki mai chahti thi ki tu apne life me kuch achha kare.

Lekin woh miss popular bahut hi ajeeb kism ki insaan thi tere liye shi nhi
Lekin tu mere itne close bhi nhi tha ki meri baat sunta.maine use pehle bhi kaafi baar uske ek bf ke sath range haatho pakra tha lekin usne mujh se request ki thi isiliye Maine tujhe nhi bataya.

Nhi chahti thi ki tumhara Dil toote.jab tumne party me mujhe sabke saamne bezzat Kiya toh mere mann me jo last hope thi hum dost banenge woh bhi khtm ho gyi.

Lekin Maine tujhe bahut pehle hi maaf kar Diya tha bas dobara hamare bich misunderstanding na ho isiliye tujhse door rehti thi.

Shreya sachhi dost hai usne mujhe sab kuch pta diya tha isiliye mere mann me tumhare liye koi grudes nhi hai.

Thank you Shreya mujhe aur iss abbu ko phir se milwane ke liye.love you 😊

Mai tujhe phir se pure dil se maaf karti hu aur Aaj se hum apni dosti ki nayi shuruaat karte hai.

Chahe kuch bhi ho jaye tu hamesha meri priority rehega.zindagi bhar tumhara hath tham kar rukhungi.bas abhi jaisa hai waise hi rehna.

Itna bole kar Manisha Abhishek ko gale lga leti hai aur udhar tv screen me ye sb dekh kar Abhishek aur Manisha ke parents bahut khush hote hai kyu ki woh hamesha se chahte the ki dono ek ho jaye aur finally iski shuruaat ho chuki thi.

Manisha aur Abhishek uske baad se apna jayadatar time ke dusre ke sath hi spent karte the.ghr Wale bhi iss change se shocked the lekin kisi ki itni himmat nhi thi ki unhe kuch bole kyu ki Mansiha aur Abhishek dono bahut strong player the.

Elvish ke aane ke baad bhi dono ke bich kuch bhi nhi badla.Elvish dono ka hi common friend tha.

Bb khtm hone tak Abhishek ke ander Mansiha ke liye feelings develop ho gyi thi aur jab bb finale ke din woh nhi Elvish trophy jeeta toh bhi use utna dukh nhi hua kyu ki usne toh life bhar ki trophy jeeti thi.

Bb finale ke baad jab Manisha aur Abhishek ghr ke liye ek sath hi nikale toh raste me Abhishek ne use propose kar Diya.

"Mansiha sun ek baat bolu mujhse tappad toh nhi maaregi na."

Manisha "bole na mai kyu marungi"

Abhishek "tu zindagi bhar meri bakbak sunegi I mean tu Mrs Abhishek Malhan bnna chahti hai."

Ye suker Manisha hasne lgi aur bolti hai
"Abhishek maine usi din tumse kha tha ki zindagi bhar tumhara hath thamungi lekin syd tujhe kuch samjh nhi aaya tha.
Meri haa toh kab se hi hai.mai toh bachpan se hi tujhe pasand karti hu isiliye toh Aaj Tak kisi aur ko apne life me aane nhi Diya.tumhari puri family hi mujhe kab ka accept kar chuki hai.tu hi itna late hai."

Abhishek "tu toh Khiladi nikali koi nhi ab tu sirf meri hai aur tujhe kisi ke taraf dekhne ki permission bhi nhi hai.ready ho ja tu meri rollercoaster jaisi life me mera sath dene ke liye.
Thank you maa papa nischay uncle aur Mansiha ki puri family ko aap sabhi ka plan work Kiya."

Ye sukar Mansiha shocked ho jati hai aur Abhishek uske expression dekh kar hasta hai aur use hug kar leta hai.

Genuine feelings Where stories live. Discover now