2

85 23 10
                                    

Jaan's Perspective

"

Mumma, dekho na ye Naman tang kar raha hai."

"Tang kaha kar raha hai baccha, wo to bas mazaak kar raha hai."

"Aap bhi has rahe ho! Kuch aur naam nahi rakh sakte the mera? Bas Jeevan hi rakh dete!! Jaan kyu aaaah papa." I whined, but peeche mere ek daanav has raha tha. Ye Naman ki to-

"Jaan mein kya burai hai itna pyaar naam hai, or waise bhi tum ho bhi to humare Ghar ki jaan, humara pyara chota beta"

"Batao kya burai hai jaan mein?"

"Aapne saare efforts bhai ka naam rakhne mein laga diye. Mere time pe... bacha bas jaan? Sab mujhe jaanu jaanu meri jaan jaaniye kya kya kehte hai! Aaaaah"
Mom laughed ah mumma how can she laugh at me like this...

"Aunty maine bas itna hi to kaha jaanu aao bike pe ghumne chalte hai usi pe chilla raha hai itna." Naman laughed rolling on the floor YE JAAHIL AADMI-

MY MOTHER LAUGHED BACK

"MUMMA"

"kyu Naman? Kya tang karta hai mere bacche ko... Tere saath kyu bike pe ghumne jaayega mera jaan? Or wo bhi jaanu bolne pe? Jab meri Bahu bolegi usse jaanu bike pe ghumne chale... Tab jaayega wo!" My cheeks turned red. "Maaa!"

"Ab samajh aaya tu itna kyu Sharmata hai jab tujhe jaanu kahe? Hmm ye nickname mrs jaanu ke liye reserved hai.. haina jaan?"

"Tang mat karo mujhe! Abhi Tanishq Bhai ki shaadi pehle hogi!"

"Use to bhool hi jaao ki wo shaadi bhi karega. Mujhe nahi lagta wo wapas bhi aayega idhar." Dad walked in. "Arrey papa, chinta kyu karte ho. Aajayenge bhai kuch din ki baat hai."

"Haa Haan, wo to aajayega ab aap bataiye aap kyu itna shor macha rahe hai? Padhai nahi karni aaj?"

"Uncle aapko pata hai aaj—" i clasped namans mouth, but he bit it. "Aaj ek ladki ne jaan ko propose Kiya ye kehke "Jaan gupta, Roz laaungi tumhare liye paan, ban jaao mere husband."

"Papa aap bhi hawwww? Funny lag raha hai aap sabko ye? Mai to paan khaata bhi nahi. Kuch bhi rhyme karte hai log mere naam ke saath."

Very funny. Bleh

"Arey beta ghussa kyu hota hai. Tu Jaa aaram kar, ye Naman ko mai batati hu abhi. Bohot ho gaya iska tu dekh"

Hah. Finally.

Mummy to the rescue.

I walked to my room finally carefree, i jumped in my bed i was just going to sleep but then

"Tanishq bhaiya?"

"Mera chotu bhaiiii, kaisa hai tu... *Hiccup* kaisa hai meri jaan- *hiccup*"

Ok I'm yeeting myself if someone called me their jaan again.

"Bhai aapne drink ki hui hai?" I sighed, he's drunk. "Karni padhi jaan... Himmat nahi thi aaj..."

"Bhai aap thik ho?"

"Nahi jaan... I broke up with her... I- mahi- we're over..."

"Time hi nahi hai uske paas mere liye! Usko pyaar hi nahi tha mujhse! Mai kya karta.. hogaya tang bas ab nahi... Ab mai dukh mein rahu humesha...?"

"Pehle uska time na Dene ka dard... Fir usse alag hone ka dard.. kya mai yuhi akela rahunga.?"

"Jaan... Papa na sahi kehte the, ki wo ladki dhundege to khush rahunga khud dhunduga to apni jindagi ki maa ki- sorry jindagi kharab kar dunga... Par ab aur nahi."

I sighed, trying to calm him down "Bhai aap shaant ho jao... Ro nahi"

"Tu hai na mere liye mere bhai?"

"Haa bhaiya, mai humesha aapke saath hu... Chinta mat karo sab thik ho jayega.. mai baat karu mahi bhabhi se..?"

"Bhabhi nahi hai wo Teri Jaan! Wo bhabhi nahi hai teri... Akela hai tera bhai... Koi nahi hai mere paas..."

"Jaan... Mujhe shaadi karni hai. Bas bhot hogaya."

"Papa sahi kehte the... Jaan."

"Meri liye ladki dhundega na tu jaan... Bilkul achi jo mujhse pyaar kare?"

"Huh..?"

"Jaan... Mai shaadi karunga ab. Aur meri dulhan tu dhundega. Dhundega na?"

I gulped, mai introvert aadmi mai kaise ye... "Jaan?"

"Haa bhai... Dhunduga mai aapki dulhan."

I don't know if I'd be able to do this or not. But it's no more about finding a bride for my brother, but about brining his belief in love once again and giving him the best that he deserves.


.

.

.

.

.

.

Likh dia bas ab ye mat pucho kya likha hai bas likhdiya jo likhdiya 😭

Ishq Risk / Jungkook ft. Taehyung (India based ff)Where stories live. Discover now