3

65 22 14
                                    

Jaan's Perspective

"Good Morning Mumma," I hugged her. I don't know if should drop the conversation I had with Tanishq Bhai a few days ago, because still, after days I'm hesitant. Nahi jaan... Abhi nahi.

"Good morning mera baccha" Mumma replied, caressing my head and i tried to snooze on her shoulder, "Mumma, mai bahar Jaa Raha hu abhi aata thodi der mein..."

"Classes hai kya aaj? Abhi to Teri vacations chal rhi hai na beta, fir kyu itni garmi mein bahar Jaa Raha hai?"

"Aajaunga na mumma thodi der mein... Aap khaane mein kya bana rahe ho waise?" I asked but my face immediately turned to disgust as she removed the lid revealing the dish i hate the most.

"Teri favourite bhindi banai hai mere bacche"

"Arey papa ko ye sabzi itni pasand kyu hai... Meri pasand ka khaana bhi banaya Karo na kabhi"

"Kyu bhai? Wo apne pati ki pasand ka khaane banayengi... Agar tumhe itni hi apne pasand ka khaana ka shauk hai to shaadi karlo.. tumhari maa waise bhi thak jaati hai" sabko meri shaadi ki hi kyu padi hai? Aaaah. Im not blushing but why is it so hot suddenly mujhe sharm aarhi hai hey bhagwan bachalo.

"Sahi keh rahe hai aap... Kaha wo aurate jinke bete hote hai saara din aaram karti hai.. or kaha mai..." Mummy ka emotional atyachar.

"Arey mummy, mai to abhi chota hu... Pehle Tanishq Bhai ka number hai... Wo to kal raat keh bhi rahe the-" shit jaan ye kya bake jaa raha hai.

"Kya keh rahe the mahashay" papa aap bhi saari baate sun lete ho.

"Kuch nahi papa... Bhai keh rahe to unhe shaadi karni hai... Humari pasand ki ladki se..."

"Mai to Maan hi nahi sakta wo nalayak aisa keh Raha hoga. Or keh bhi Raha hoga to mujhe uspe ratti bhar vishwas nahi. Kabhi kisi cheez ko serious nahi leta-"

"Mere tannu ke liye kuch bhi mat bolo. Bohot responsible hai Mera beta, aapki hi company ko sambhal ke itni uchai pe pohchaya hai usne... Or aap keh rahe hai kisi cheez ko serious nahi leta?"

"Mummy... Papa lado mat please"

"Nahi kahunga aapke bete ke liye kuch. Mai to bas bechari us ladki ke liye pareshaan hu jisse uski shaadi hogi."

"Nalayak kabhi apni baat pe nahi tikta. Ek dum se kya hua? Pehle to kehta tha papa mai apni pasand ki ladki se shaadi karunga-"

"Jaan, tujhe bahar jaana tha na? Jaa beta tu. Tujhe der ho jaayegi" mumma said, glaring at papa in a way that meant business.

Nikal le Jaan yaha se. Papa ki class lagne waali hai.

I quickly wore my shoes and went out.

1 minute nahi hua mujhe bahar aaye or Tanishq bhaiya ka call aagya. "Hi Jaan,"

"Good morning bhaiya, apne subah subah kyu pi rakhi hai. Mummy papa ko pata chala aapne sharab peeni shuru kardi to bhot ghussa karenge. Papa to waise bhi aapke naam sunte hi nalayak Tanishq ye nalayak Tanishq wo ki baarishein shuru kar dete hai"

"Idhar raat hai abhi Jaan, or papa ka kya hai... Aaj mujhe nalayak bol rahe hai, kal khud nalayak ban jaayenge -"

"Kya bole jaa rahe ho bhai. Acha ye sab chodo. Wapas kab aa rahe ho aap?"

Ishq Risk / Jungkook ft. Taehyung (India based ff)Where stories live. Discover now