Bhabhi

409 24 11
                                    

It's been 3 months since Karishma has become the SHO of JPT. Under her charge the residents of Gomtinagar are really happy and peaceful, the crime rate of that area has got really less. The trust of the residents of Gomtinagar on JPT which was lost due to Bulbul Pandey's doings has been gained back by Karishma and her team. Karishma has bonded really well with her team and they have become like family. Her team respects her alot not because she is their senior but because she has earned that respect.

Karishma comes to the thana in a bad mood.

Everyone: Jai Hind maddam.

Karishma: Jai Hind.

Mishra: Kya hua maddam aap bohot pareshaan dikh rahi hai.

Karishma: Arey kuch nahi hua Mishra ji.

Shalini: Pakka na maddam.

Karishma: Ha Thakur ji kuch nahi hua. Aap log itna load kahe le rahe hai. Chaliye sab apne kaam pe lag jaye.

Team: Ji maddam.

Karishma goes in her cabin and starts doing her work. Her phone rings and she sees it's Amar's call, she irritatedly cuts the call. He keeps calling her but she ignores it. Like this the day passes by, soon it's night time so Karishma leaves for home after her duty hours. Reaching back home she gets a surprise.

Karishma(surprised): Ragini bhabhi.

Ragini(happy): Karishma.

The duo hug each other.

Karishma: Bhabhi kaisi hai hai aap? Aap ne bataya kahe nahi ki aap aane wali hai. Pata hai bhabhi humne aapko aur Anu ko kitna miss kiya inn 6 mahinon mein. Jab aapko achanak apne bana ki dekh baal keliye maike jana pada Anu ko leke tab yeh ghar bohot suna suna lag raha tha.

Ragini: Tumko surprise dena chahte te hum. Pata hai humne bhi tumko bohot miss kiya, aur Anu ne bhi.

Karishma: Aakhir hai toh humara Anu apni bua ki jaan na. Bhaiya aur patidev ab tak nahi aaye?

Ragini: Nahi.

Karishma: Waise humara Anu kaha hai?

Ragini: Woh waha hai tumhara laadla Anu apne paalne hai.

Karishma excitedly goes and picks Anu up, she kisses him all over his face. Anu too is happy seeing his bua.

Karishma: Aley humara Anu kitna bada hogaya hai, ab toh tum ek saal ke honge.  Humare pyaare se Anu ka pehla birthday aanewala hai. Waise Anu tumne aapni iss bua ko miss kiya.

Anu gives a wide smile indicating a yes.

Karishma: Accha Anu hum fresh hoke aate hai phir bua aur Anu milke khub masti karenge.

Anu starts giggling hearing this. Karishma keeps him back in his cot.

Ragini: Accha Karishma suno.

Karishma: Ji bhabhi.

Ragini: Amar aur tumhare beech kuch hua hai kya? Tum dono ka koi jhagda hua hai?

Karishma(startled): Nahi bhabhi aisi koi baat nahi hai.

Ragini: Jhooth mat bolo, Anubhav ne humko sab kuch bataya ki kaise tum picchle do din se baat nahi kar rahi theek se Amar ke sath, na uska phone utha rahi ho na usse dekhti ho. Kya hua hai Karishma, apni bhabhi ko nahi bataogi?

Karishma: Bhabhi hum patidev se bohot krodhit hai, unhone bina kisi kaaran humpe zor se chillaya joh humko pasand nahi aaya.

Ragini: Lekin usne aisa kiya kyun?

Karishma: Choti si baat keliye woh humpe itna gussa horahe hai. Kuch dinon se humari tabiyat theek nahi hai, humne kaha patidev se ki yeh kaam ka stress hoga lekin woh manne ko taiyaar nahi hai. Doctor ke paas jaane ki zidd kar rahe hai patidev. Ama humne kaha na ki itni badi baat nahi phir bhi woh nahi maan rahe.

Ragini: Tumhari tabiyat theek nahi matlab? Kya hua tumko?

Karishma: Woh bhabhi picchle ek hafte se na baat baar humko chakkar aaraha hai, sar dard bhi bohot hota hai humko. Patidev ko lagta hai ki humhe koi beemari hogayi hai isliye doctor ke paas jaana hai lekin aisa nahi hai. Bas thane mein workload badh gaya hai aur ussi stress mein hum theek se khate peete nahi hai isliye liye humari tabiyat theek nahi hogi. Ab itni si baat keliye doctor ke paas kahe jaye? Iss baat pe humara aur patidev ka jhagda hogaya.

Ragini got a doubt in her mind hearing Karishma.

Ragini: Karishma sachmein sirf kaam ke wajah se hi tumhari tabiyat kharab hai ya koi aur baat hai?

Karishma: Nahi bhabhi aisa kuch nahi hai. Lekin kyun?

Ragini: Kuch nahi. Ek baar kahoon Karishma Amar toh bas tumhare liye chintit hai, iske kaaran usse jhagda mat karo. Dekho khudko Amar ki jagah rakh kar dekho, agar woh apna khyaal nahi rakhta aur aise hi woh beemar pad jata toh kya tum uski chinta nahi karogi? Karogi na.

Karishma: Humko humari galti samajh aagayi bhabhi, hum aaj hi patidev se shama maangenge. Ab hum jaake fresh hojate hai.

Karishma was going to go but suddenly she faints Ragini gets worried, she sprinkles water on her face and Karishma gets up.

Ragini: Karishma tum theek ho na?

Karishma: Ha bhabhi hum theek hai, bas phirse chakkar aagaya tha. Hum theek hai lekin abhi.

Karishma freshens up and comes downstairs to play with Anu. She sits on the sofa with Anu on her lap. They both are fully busy in each other. Amarbhav come back from their duty and sees Karishma busy playing with baby Anu. She fails to notice the duo, seeing her busy they go upstairs to freshen up. 10 minutes later Anubhav comes downstairs and sits on the sofa.

Karishma: Arey bhaiya aap kab aaye?

Anubhav: Hum toh kabka aagaye te jab tum apne Anu ke saath vyasth thi tab. Amar bhi aagaya hai, upar kamre mein hai woh. Accha chalo ab humko Anu dedo.

Karishma: Nahi humko khelna hai Anu ke saath.

Anubhav: Tum bohot samay se khel rahi ho, ab humari baari. Humko bhi toh apne bete ke saath samay vyathit karna hai.

Karishma: Humne kaha na humko Anu chahiye.

Anubhav: Agar tumko balakon ke saath samay vyathit karne mein itni hi ruchi hai toh swayam ka balak kyun nahi lati? Phir apne khudke baby ke saath khel sakti ho tum. Waise humko mama banna hai, kab sunaogi tum good news?

Karishma(blushes): Anu bhaiya ka aap bhi. Aapko Anu chahiye na, yeh lo aapka beta hum zara upar kamre mein jaate hai.

Karishma immediately runs from there shyly while Anubhav laughs.

Ragini Singh

Wife of Anubhav

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Wife of Anubhav. Bhabhi of Amrishma. Mother of Anurag.

Anurag Singh

Son of Anuragini

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Son of Anuragini.

Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

Amrishma Where stories live. Discover now