Planning

354 28 4
                                    

Singh Niwas
Everyone has had their dinner and retired to their rooms.

Ragini: Anubhav Karishma ki tabiyat na theek nahi hai picchle ek hafte se, workload ke kaaran usse bohot stress hogaya hai. Tum ek kaam karo na Karishma ko ek do din ki chutti dedo.

Anubhav: Tum uchit keh rahi ho Ragini Chanda ko chutti ki zaroorat hai, waise bhi usne picchle teen mahine se chutti nahi li SHO banne ke baad.

Morning 6.00 am
Anubhav is making the breakfast when Karishma comes there.

Karishma: Suprabhat Anu bhaiya.

Anubhav: Suprabhat Chanda. Accha suno hum tumhe ek hafte ki chutti dete hai, ghar pe bethke aaram karo. Suna humne tumhari tabiyat ke baare mein Amar aur Ragini dono se.

Karishma: Anu bhaiya hum theek hai, chutti ki avashyakta nahi. Aur ek hafta toh kuch zyada hogaya, itne samay tak hum kya karenge ghar pe bethke.

Anubhav: Woh sab humko nahi pata. Aur tum ghar pe akele thodi hogi tumhari bhabhi hai na tumhare sath. Aur tumhari jaan tumhara pyaara Anu bhi toh hai.

Karishma hits him on his arm.

Karishma: Ama bhakk apne hote bete se kahe jal rahe hai aap Anu bhaiya.

Anubhav: Toh hum kya kare? Jabse Anu aaya hai tum aur Ragini bas din raat Anu Anu karte rehte ho, humko toh koi puchta hi nahi.

Karishma(glares): Anu bhaiya khabadaar joh humare chote Anu ke baare mein kuch bhi kaha toh, cheta rahe hai hum aapko.

Anubhav: Shama kijiyega behna.

Karishma: Bohot badhiya.

Afternoon

Karishma: Bhabhi suno na.

Ragini: Bolo Karishma.

Karishma: Bhabhi agle hafte Anu ka first birthday hai aur humne abhi tak koi tayaari nahi ki uske birthday ki. Chaliye na shopping pe chalte hai, Anu keliye aur humare liye bhi kuch shopping kar lenge. Ka kehti hai aap.

Ragini: Tumhari baat sau takka sahi hai, chalte hai shopping pe. Lekin Anu?

Karishma: Anu ko saath leke jana hoga, ka hai na aapke patidev aur humare patidev dono aaj bohot vyasth hai toh unmein se kisiko phone karke hum bhula bhi nahi sakte Anu ko sambhalne.

Ragini: Theek hai leke chalte hai isse.

They go to get ready.

( Left is Karishma and right is Ragini )

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

( Left is Karishma and right is Ragini )

They along with Anurag leave for their shopping. After some hours they finish their shopping.

Karishma: Bhabhi yeh lijiye gaadi ki chabhi aur aap ghar jayiye.

Ragini: Kyun tum nahi aarahi ho kya?

Karishma: Nahi bhabhi asal mein humko na ek mahatvapurn karya karne jana hai, hum do ghante mein wapas aajayenge ghar.

Ragini: Ok.

Ragini leaves from there with Anurag while Karishma takes a taxi and goes somewhere.

At night
Karishma is looking really happy today, there is a certain glow on her face which is clearly visible. Karishma is sitting on the sofa with Anurag in her lap, she is whispering something in his ears with a wide smile to which he just giggles. Anubhav who had returned back from duty a while ago comes and sits on the sofa after changing his clothes.

Anubhav: Kya baat hai? Kya baatein horahi hai bua aur bhanje ke beech.

Karishma: Woh hum aapko kahe bataye? Yeh toh Anu aur uski bua ka secret hai. Haina Anu.

Anurag nods his head in a yes.

Karishma: Dekha ab Anu ne bhi keh diya. Good boy Anu.

Anurag: Ka..chi...ma.

Karishma(surprised): Ka kaha tumne Anu? Phirse kaho.

Anurag: Ka..chi..ma.

Anuragini are surprised too hearing this. Meanwhile Karishma is really happy, she gets zoned out thinking about something.

Ragini(happy): Anu ne apna first word kaha, woh bhi Karishma ka naam liya. Issi khushi mein muh mitha hojaye. Hum abhi kuch meetha leke aate hai.

Anubhav: Maan gaye behna tumne sachmein humare bete ko apni taraf kar liya isliye toh uska pehla shabd bhi tumhara hi naam tha. Lekin tum dekho jab tumhara baby hoga na tab hum usko apni taraf kar lenge.

Karishma listening this blushes a bit and thinks something in her mind.

Karishma: Waise bhaiya hum ka keh rahe te ki next week Anu ka pehla birthday aanewala hai. Bhabhi aur hum aaj mall gate te shopping karne Anu ke birthday ke liye. Lekin ab na humko ek idea aaya, kyun na hum ghar chale Anu ke birthday keliye. Uska pehla birthday uske apne ghar mein hi hona chahiye na.

Anubhav: Baat toh tumhari sahi hai behna, hum Anu ka birthday ghar mein hi manayenge.

After sometime Amar comes back and goes upstairs, seeing him Karishma smile widens. She hands Anurag to Anubhav and goes up to her room.

Amarishma's room
Karishma comes to the room and sees that Amar is in the bathroom now. She sighs and sits on the bed waiting for Amar to come out. The moment Amar comes out after changing into nightwear Karishma immediately hugs him tightly. She then tells him something hearing which he is surprised happy and excited all at the same time.

Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

Amrishma Where stories live. Discover now