I'm really sorry everyone for being so late.. Please enjoy reading.................................................................
Susheela - are chalo na...
She held his hand and took him along with her. She excitingly went to a jewellery shop.
Susheela - mujhe jhumke lene hai.
Pramod - bhaisahab, inhe jhumke dikhaiye.
Shopkeeper - ji bhaisahab.
She picked one piece with had a sunflower design on it.
Susheela - ye wala le lu?
Pramod - tujhe theek lag raha hai to lele..
Susheela - aacha... Aur vo dusra wala?
Pramod - jitne aache lage le le..
Susheela - saare ke saare le lu?
Pramod - dimag thikane pe hai tera?
Susheela - huh... Aae bade... Suniye bhaiya...
Shopkeeper - ji bhabhi ji..
Susheela - ek wala.. Ek ye hare rang wala.. Ek vo upar wala.. Ek yaha jo rakha hai vo, ek halke nug wala... Ek vo peeche jo Hai vo... Aur ek ke alawa koi koi bhaari bhaari jhumke ho to vo bhi de do.. Aur saath me kangan bhi.. Aur paise inse le lena..
Pramod - aacha... Itna kuch lekar paise mai bharu? Ha vaise bhi tere Paas kaunsa paise hote hai?
Susheela - hai mere Paas paise... Aur aapne batue me jitne Hai na us se dugne hai mere Paas abhi... Lekin aaj paise aap hi doge.
Pramod - kaha se aae tere Paas itne paise?
Susheela - har hafte me mujhe thode thode se paise dete rehte ho to maine bhi jod liye... Lekin aaj kharcha aap doge. Chalo jaldi se paise do..
Pramod clenched his jaw and took out his wallet.
Pramod - kitne paise hue...?
Shopkeeper - do sau assi rupey..
Pramod - ruko deta hu...
He took out the cash from his wallet smiling internally that she will love these Jhumkas and bangles.
He paid the bill and took bag from the shopkeeper.
Pramod - ab ghar chale...
Susheela - vo... Vaha dekho...
Pramod - kaha dekhu?
Susheela - vo dekho.... Jhoola...
Pramod - kaun sa Jhoola..
He looked at the kid on the seesaw having fun.
Pramod - itni bhi choti nahi reh gayi tu.
Susheela - are vo to chota sa hai vaha dekho upar... Bada wala jhoola... Vo sabse bada...
Pramod lifted his vision and found the Giant wheel.
Pramod - hehe... Vo bade baccho ka hai tu kya karegi.. Chal... Tu bhot choti hai... Chal tujhe rasmalai khilata hu...
Susheela - nahi mai rasmalai nahi khaungi.. Mujhe to us jhoole me jana hai.
Pramod - are bawli... Bola na maine... Baccho ke liye thodi na hota hai ye Jhoola... Tujhe pata hai ye kitna bada hota hai... Tu darr jaegi.. Chal rasmalai khate hai.
Susheela - nahi na... Chalo na... Bhot maza aaega... Pata hai mai to bhot baar jhool chuki hu is jhoole me... Are bhot maza aata hai aur pata jab sabse upar jakar vo jhoola rukta Hai na to upar se sara gaav dikhta tha... Aur yaha se poora sheher dikhega. Chalo na...
Pramod - are.... Mujhe pata hai sab... Darr jaegi rone lagegi...
Susheela - are aise chote mote jhoolo se to mere farishte bhi nahi darte... Aur kitna maza aata hai... Aap jaldi chaliye na..
Pramod - nahi nahi mujhe bhot fikar hai teri... Mai nahi jane de sakta tujhe... Jo tujhe kuch ho gaya to...
Susheela - are... Mujhe kuch nahi hota.. Chalo.. Mai aapki ek nahi sun ne wali.
Pramod gulped and looked towards the giant wheel with some fear in his eyes.
Susheela - chale...
Pramod - nahi..
Susheela - to aap neeche ruk jana.. Mai to jaungi.
Susheela walked out leaving him behind.
Pramod - he bhagwan... Mai zindgi me bas do cheezo se dara hu... Ek mera vo baap aur ye dusra uuchaai..... Ho sake to aaj mujhe marne se baksh dena...
Susheela - chaliye na...
Pramod - mai tujhe akele nahi jaane de sakta hu... Aur mai...
Susheela - aur aap...
Pramod - mai...... Mai tere sath aaunga jhoole me aaunga...
Susheela - ha to jaldi chalo...
10 mins later.
Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa... Maaaaaaaaaa.. Mujhe neeche utaaar..... Mai... Mai gir jaunga... Ye jhoola toot jaegaaaa.... Hum dono mar jaaengeeeeee... Nahiiiiii.... Jhoola rok!!!! Maaa......... Are ye phir se neeche ja raha hai... Are... Mai mar jaunga.... Mai mar jaunga!!!! Bhenchod ye jhoola rukta kaha se hai... Are ruk saale.... Roko!!!!
Chatakkk!!!!
Pramod - tune.... Tune mujhe jhaapad mara... 😭
Susheela - balak hi byah diya mujhse se 🤦♀️
Pramod - tu to bhot buri nikli.... 😭
Susheela - chup chap baith jao... Aadmi ho... Chammach se doodh peete bacche nahi..
Pramod-mujhe darr lag raha hai...
Susheela - dekho... Jhoola chal raha hai... Ab laga darr.... Mera hath pakde rakho... Kuch nahi hoga... Dekho kitna maza aa raha hai..
Pramod looked at her face with some hiccups.
Pramod - tu to bhot buri hai... Tujhe mera darr nahi dikhta...
She wiped his tears by the edge of her pallu.
Susheela - jis cheez se darr lagta hai na... Usse ladna chahiye aur khatam karna chahiye...
Darr ko khatam.. Varna darr hame khatam kar deta hai... Ab dekho... Khatam hua na darr... Dekho jhoola bhi dheema ho raha hai aur hame pata bhi nahi chala... Mujhe nahi pata tha aap itne chote bache ki tarah bolte ho.Pramod - tu... Tu rahegi na hamesha... Mujhe darr se bachane ke liye...
Susheela - mai kaha jaungi... Aapke sath hi to rahungi hamesha.
Vote - 400+
Thankyou 😊
YOU ARE READING
Umar Se Pare
FanfictionBack to 90's. She was just a weak, timid, small 16 years old village girl who was unwantedly married to a 24 years old man. She was the youngest among the 3 brothers. Married at the age of 16 when she was just introduced to her responsibilities. H...