Dost,
Koun hote hai dost;*Dost woh hote hai jisse Dosti ek anjaan ke taur par shuru hoti hai lekin Kab woh Hamari jaan ban jaate hai hame padta hi nahin .
*dost wo hota hai jo apki khamoshi samjhe.
*dost wo hota hai jo apko akela na mehsus hone de.
*dost wo hota hai jo aapko apse behtar jaanta ho.*dost wo hota jisse dekhkar apke chehere pe muskurahat aajati ho.
*dost wo hota hai jo apki khushi mein ho ya na ho lekin gham mein zarur hota hai.
*dost wo hota hai jo aapko maarta bhi ho aur shabhashi bhi deta ho.
*dost wo hota hai jo apko pura karta ho.
*dost wo hota hai jo khud se zyaada aap pe bharosa karta ho.
*dost wo hota hai Jise dekhke aap apne sare pareshaniya bhul jate ho.
*dost wo hota hai jiske saamne aap khul kar jeete ho jiske saamne aapka koi mukhota nahin hota.
*dost wo hota jo aapko dard mein dekhkar khud tadapta hai.
*Das saal mein Das dost banana khaas baat nahin hai.
Das saal mein ek hi dost sahi uske saath saare khushi aur gham ke pal jeena woh khaas baat hai .
आप पढ़ रहे हैं
KUCH UNKAHI FEELINGS
PoetryJo Kuch keh nahi sake kisi se woh yaha akshar bankar bahar aate hai jo dil me tha Kuch unkaha wo yaha sab ko sunaate hai likhte hai dil halka karne aur issi chakkar mein apne ap ko khol jaate hai.