* Maa Baap
* Koun hote hai maa Baap
* Maa Baap wo hote Jo har ek bacche ke liye uska sab kuch hote hai
* Maa Baap wo hote hai jisse ham khuda ke barabar darjaa dete hai
* Maa Baap wo hote hai Jo hamari khushi ke liye apni saari khushiya qurbaan kar dete hai
* Maa Baap wo hote hai Jo apne sapne chodkar apne bacchoun ke sapne pure karte hai
* Maa Baap wo hote hai Jo apne bacchoun ke sapne mein apne sapne dhundte hai
* Maa Baap wo hote hai Jo apne bacche ke liye kisi bhi hadh tak jaa sakte hai
* Maa Baap wo hote hai Jo hame har khatre se mehfooz rakhte hai
* Maa Baap wo hote hai jinki ungli pakadhkar ham chalna seekhte hai
* Khuda har jagah nahin hota isliye usne maa baap banaye
* Maa Jo khud bhuke rehkar aap ko khana khilati hai
* Baap Jo hamari har khwahish puri karti hai chahe wo uske bas mein ho ya na ho
* Shayad issi liye Maa Baap ko khuda ka sabse keemti tohfa kaha jaata hai* Aur shayad isi hi liye ham apni Maa ko superwoman aur apne Paapa ko superman kehte hai
* Kyuki woh kisi bhi garz ke bina hamari saari khwahishein puri karte hai.
आप पढ़ रहे हैं
KUCH UNKAHI FEELINGS
PoesíaJo Kuch keh nahi sake kisi se woh yaha akshar bankar bahar aate hai jo dil me tha Kuch unkaha wo yaha sab ko sunaate hai likhte hai dil halka karne aur issi chakkar mein apne ap ko khol jaate hai.