NAZAR ANDAAZ🙂

17 3 4
                                    

* Nazar andaaz karna!
* Kya hai ye Nazar andaaz karna.
* Nazar andaaz karna ek aisi feeling hai jiski wajah se insaan khud ko chota mehsoos karta hai.
* Ye feeling jisme insaan andar hi andar ghut ta hai.
* Ye feeling jisse usse suffocation mehsoos hoti ho.
* Ye feeling jiske karan ham sab kahin na kahin effect hue hai.
* Ye feeling jisme ham sab ne kahin na kahin apni self respect se samjhota kiya ho.
* Ye feeling jo hame khul kar jeene na de.
*Ye feeling jiske karan ham khud ko useless feel karte hai.
*Ye feeling jahan ham sirf unke mood ke hisab se use hote hai.
* Ye feeling jo hamara confidence khatam kardeti hai.
* Ye feeling jo insaan ko andar se toodh deti hai.
* Ye feeling jo insaan ko andar se khokla mehsoos karne pe majboor karti hai.
* Ye feeling jisme ham duniya pe ek bojh lagte hai.
* Ye feeling ki hame koi pyaar nahi karta.
* Ye feeling ki ham unke liye koi maayne nahi rakhte ye feeling insaan ko andar se maarne ke liye kafi hoti hai .
*Kya pata kon kon ye feel kar chuka hai aur kya pata kon kon ye feel karraha hai.
* Kyu ham kisi ko apni self respect ke sath khelne dete hai.
* Kyu ham kisi ko apni worth define karne dete hai.
* Kyu ham unse alag nahi ho paate ye jaan kar bhi ki woh hamse sirf isiliye rishta nibha rahe hai kyu ki ham nibha rahe hai.
* Kyu hanne unki hanari adat banali hai.
* Aur, kyu ham hamari adaat bahi badal sakte .
* Kyu ham khud ko unse alag nahi kar sakte .
* Har sawal ka bas ek jawab hai ki ya toh wo hamari adat ban chuke issiliye hame unko khud se alag karne mein itni mushkil horahi hai ya phir unse hanaari bohot si yaadien judi hai isiliye ham unhe chod nahi sakte.
* Lekin kya ye sahi hai kyu ki jab tak aap apni self respect giraa kar unse baat karte jaainge jab tak woh aapko aur neeche giraenge .
* Haan pata hai kuch adatein nahi chutti, lekin agar unhe chod ne mein hamari bhalai hai toh hame unhe chodh dena chahiye jitna jaldi jo sake utna kyu ki aap jitna aage jainge utni ki mushkil hogi apko lautne mein.
* Ek quote hai ki agar apko train chadne ke baad ye pata chale ki ap galat train me ho toh apko first stop par hi utar jaana chahiye kyu ki jitna train aage jaige utni hi mahengi ticket lagegi apko wapas aane mein.
* Yahan baat sirf train tak nahi hai ye baat hamare rishtoun par bhi laagu hoti hai.
* Ki agar ham kisi galat rishte mein phas jaiye toh hame uss se jald se jald nikal jaana chahiye kyu ki jitna aap yss rishte ko nibhate jainge utni hi apki mental health kharab hote jaigi.
* Aur agar ek rishta apko apki mental heath cost karraha hai toh woh bilkul bhi sahi nahi hai.
* Isi liye usse ham jitni jaldi nikle utna acha hoga.
* Esa nahi hai ki har rishta nazar andaaz hone se khatam kar dena chahiye kyu ki kuch log apse naraaz hokar apko nazar andaaz karte hai uss situation mein apko unhe manana chahiye aur apka rishta bachana chahiye lekin agar woh apko har waqt bina wajah nazar andaaz kare phir apko unke sath rishta khatam kardena chahiye kehte hai na ki close the window that hurts u no matter how beautiful the view is.
* So just break ur ties with the person that costs u ur self respect kyu ki woh insaan toh dubara aasakta hai lekin apki self respect dubaara nahi aasakti.

*Once you feel avoided by someone never disturb them again.

KUCH UNKAHI FEELINGSजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें