Present....
"Good morning Papa, how are you?"
SY asked KS as she came running at the dining table and hugged him."Good morning beta. I'm absolutely fit and fine. But what about you?"
The latter replied."I'm also good Papa. Just that the tiredness is still there. "
She replied while hugging RD and later whispered 'good morning' in his ears. The latter patted her back and wished her back. She quickly sat at her seat. Asha brought breakfast for her. They frequently talked while eating. SY was in hurry so she ate fast and finished the breky before the two. KS even spoke about it. After the two men finished their breakfast, RD got his office bag and other essentials."Chalein Sanyukta?"
He asked."Ha chalo chalo. "
She replied."Papa, ate hai hum. "
RD said to KS."Are Randhir beta, agar tum aaj akele hi office jao to chalega? Wo mujhe office me kuchh kaam hai to mai Sanyukta ke saath chala jata hu uske car se. Ek hi route pe hai na isiliye. "
"Nahi Papa. Aap mere saath aa jaiye na fir. Mujhe koi jaldi nahi hai office jane ki. Sanyukta ko time pe pohochna hota hai research centre me aur wo already late hai. "
"Nahi hoga late beta. Mai to pehle hi utar jaunga na. Bas saath me jana hi to hai. "
"Thik hai Papa. Jaisa aap kahe.
Mai keys lata hu Sanyukta ke car ki. Aap log age badho. Late ho raha hai. "
RD said and went to his room. The father daughter duo went out towards the car. RD came out in no time. They hugged each other and left."Papa ye achanak office kyu jana hai apko? Aisa kaunsa kaam hai?"
SY asked her father."Nahi beta. Kuchh khaas nahi. Thodi formalities hai bas. Aur waise bhi kabhi kabhar office ke chakkar lagane chahiye kaam thik se chal raha hai ki nahi dekhne ke liye.
Ankit to 2-3 mahine me ek baar aa jata hai office visit ke liye lekin mai kabhi nahi ata. Ab jab Mumbai me hu to socha ke jane se pehle office ho aau. ""Oh. Sahi hai. Jab tak khud ja kar na dekhlo, satisfaction nahi milta. Ab Randhir ko hi dekh lo. Pehle to bohot Nahi Nahi kiya responsibility lene ke liye, lekin jab le li to dekho, apne convenience ke hisab se Mumbai me branch khol ke sara kaam yahi se sambhal leta hai aur Delhi office me sirf 6 mahine me ek ya do baar jata hai.
Kisne socha tha ki Randhir jis insaan ko sabse jyada nafrat karta tha usi ki legacy age badhaega. ""Randhir hai hi bohot hunhaar. Har kaam me avval hai mera beta. Such me, bhagwaan ek hi aulaad de lekin wo Randhir jaisi de. Renuka ji ye din dekhne ke liye aaj yahan nahi hai warna khushi se phule nahi samati. Paras patthar hai Randhir. Jis cheez ko haath lagata hai, sona kar deta hai.
Isiliye mujhe uski chinta lagi rehti hai. ""Chinta kyu Papa?"
"Kyu na ho bhai? Office ka sara kaam sambhalta hai. Tumhare piche ghar bhi sambhalta hai aur sabse zaruri baat, tumhe sambhalta hai. Beta tumhara kaam aisa hai ki tumhe khud ke liye bhi time nahi milta. Aise me shukr hai ki Randhir tumhare saath hai warna tumhara khayal kaun rakhta?
Lekin afsos hai ke uska khayal rakhne ke liye koi nahi.""Koi nahi kaise? Mai nahi hu kya?"
"Tum? Hahahaha.
Beta..tum apna khayal to rakh paati nahi. Randhir ka kya rakhogi?
Such kahu to tumhari shadi ke waqt mujhe dar tha ke Randhir tumhe thik se rakhega ya nahi lekin shadi ke baad mujhe Randhir ki fikr hoti hai ke wo akela sab sambhal paega ke nahi. ""Papa aap kya bolna chahte ho? "
"Yahi ke shadi har cheez sath me karne ke liye ki jati hai, akele nahi.
Jab se aya hu maine dekha hai Randhir ko akele rehte hue. Khana akela khata hai. Ghar me jyada tar waqt akela hi hota hai. Raat ko tumhara intezar karte karte so jata hai. Are kal Pooja thi ghar me aur wo bechara akele hi sab manage kar liya ghar se kaam kar ke. Mai bhi ek company ka malik tha kisi zamane me. Achi tarike se janta hu ke kaam ka kitna pressure hota hai owner pe. Randhir to sab silently handle kar raha hai ke tum use dekh hi na saki. "
YOU ARE READING
SADDA HAQ l Season 3
Mystery / Thriller"Wow ! I'm so excited Randhir. I'm going to visit our college after a whole 7 years!!!" Sanyukta said with full enthusiasm while resting her head on Randhir's shoulder. Her heart bounced in excitement. " Me too Sanyukta. I've visited there a couple...